AIK NAZM "BAHOO"

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

AIK NAZM "BAHOO"

Post by Mahtab Qadr »

DOSTO
Aik nazm Bahoo pesh e khidmat hai. aap ki raye aur mashwaroN ka intezar rehega
shukria

NAZM BAHOO
BY Mahtab Qadr

(mai)
Mera beta jawaan hone laga
ek naya imtehaan hone laga
log charoN taraf se aane lage
bagh mujhko haseeN dikhane lage
kahiN visa ticket hai US ka
kahiN offer aik biznes kaa
kahiN larkhki kamaane wali hai
shaan e susraal bhi niraali hai
har qisam ka kamaal hazir hai
chaheiN biznes to maal hazir hai

(Mera Zameer)
mool karta nahi mai bete ka
beta number nahi hai satte ka
uski ghairat ko baich kar kaise
kwab dekhoN ameer hone ka

mere ghar ke har aik goshe mai
ghairatoN ke charagh jalte haiN
mishaleiN hirs ki bujhaa daalo
in se auroN ke bagh jalte hiaN

(awaaz e ghaib)
beti rozi hai beti roti hai
beti barkat ki cheez hoti hai
jinse bazaar mat banaao usay
itni zillat na tum dikhaao usay
roop dekar bahut ko beti ka
apne seene se tum lagaao usay
uski ghairat mai apni ghairat hai
uski izzat mai apni izzat hai

kaisi maiN haiN jin ki janib se
koshish e ifteraaq hoti hai
arsh e maula bhi kaaNp jaata hai
jab kisi ko talaq hoti hai

shukria
Mahtab Qadr
Attachments
bahoo1.gif
bahoo1.gif (29.42 KiB) Viewed 787 times
Last edited by Mahtab Qadr on Sat Dec 24, 2005 9:42 pm, edited 11 times in total.
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

Mahtaab saheb
aap ki nazm achi lagi
aik typo mistake theek kar laiN Arsh-e-Muala ko aap ne durust nahiN likha
aur aik sher samajh nahiN aaya
beti rozi hai beti roti hai
beti barkat ki cheez hoti hai

beti ko rehmat kaha jata hai aur woh koi cheez nahiN insaan hoti hai
meray comment ka bura mat maaniye ga aik beti honey ki haciat se clarify karna mera haq thaa
regards
zmufti
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

shukria

Post by Mahtab Qadr »

zarqa sahiba
aapki pasand ka shukria
Arsh e Maula mai laam par alif likhna bhool gaya ye typo inshallah durust karli jaigi. rahi baat beti ke rozi aur roti hone ki to ye bhi kahaa jata hai jab beti paida hoti hai umooman ke beti roti yani beti se roti mai barkat hoti hai rozgaar mai izafa hota hai ,islye aisa kahne mai koi harj nahi albatta cheez kahna kitna sahi hai aur kitna ghalat agar dosre ahbaab bhi is par raye deiN to mai tahqeeq ke baad soch sakta hoN.
shukria
Mahtab Qadr
zmufti wrote:Mahtaab saheb
aap ki nazm achi lagi
aik typo mistake theek kar laiN Arsh-e-Muala ko aap ne durust nahiN likha
aur aik sher samajh nahiN aaya
beti rozi hai beti roti hai
beti barkat ki cheez hoti hai

beti ko rehmat kaha jata hai aur woh koi cheez nahiN insaan hoti hai
meray comment ka bura mat maaniye ga aik beti honey ki haciat se clarify karna mera haq thaa
regards
zmufti
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Janaab Mahtab Qadr Sahib
ASAK
Nazm bohat pasand ayee.
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

:)shukria

Post by Mahtab Qadr »

Walaikum salam
Salem bhai behad shukria ,inayat :)
sbashwar wrote:Janaab Mahtab Qadr Sahib
ASAK
Nazm bohat pasand ayee.
Salem Bashwar
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Mahtab Qadr SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki nazm "bahu" paRhkar bahut luTf aayaa. Mahoul ki bahut achchi Akkasi kii hei aap ne.

BaAZ mulaaHizaat aapki nazr heiN:

1- doosre sheAr ke pahle miSreA meiN TibaaAat kii ghalati kii vajah se "lage" kii bajaye "lagaa" hougayaa hei.
2- Chauthe sheAr ke doosre miSreA meiN (shaan-e-samdhi) ki izaafat ghalaT hei kiyunkeh "samdhi" hindi ka lafz hei jisko izaafat meiN nahiN isteAmaal kiyaa jaasaktaa.
3- paanchweN sheAr ke pahle miSreA meiN "qisim" ghalaT hei kiyunkeh is ka saHeeH talaffuz hei "qism" yani Harf "seen" per sukoon hei.
4- Doosre band meiN "roop dekar bahu ko beTi kaa......apne seene se tum lagaao use" meiN mukhaaTibat kuch yooN hougaie hei jaise ke aap bahu nahiN laarahe heiN balke beTi kisi ko de rahe heiN. MaAnavi liHaaz se tasalsul baaqi nahiN rahaa.

BaharHaal daad aur mubaarakbaad HaaZir hei.

Aapkaa MukhliS,
Nazir.

User avatar
rahmed25682
-
-
Posts: 126
Joined: Thu Dec 09, 2004 8:28 am
Location: Karachi
Contact:

Post by rahmed25682 »

Salam Mahtab sahab ...

Apni giraaN-qadr nazm se humain nawaznay ka shikriya.

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
Kab Say HooN , Kia BataaooN Jahan-e-Kharab Main
Shab-Haaye Hijr Ko Bhee RakhooN Gar Hisab Main
=============================
Ghalib
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Bahut khoob

Post by Mahtab Qadr »

Mohatrame Abdullah bhai salaam e masnoon
Aap ke giraNqadr irshaadat se mustafeed huva aur behad mashkoor hoN aapki nazar e karam ka.
1-ghalati kitabat ki hai ab usay durust karna parhega.magar inp file mai. yani waqt lagega inshallah kardoNga.
2-shan e samdhi ki koi mutabadil aapki nazar mai ho to zaroor marhamat farmaiN . hindi ke lafz par izafat ki majboori mauzoo ki nazakat ke sabab hai warna badal deta . aap ki kya raye hai.
3- is ghalati ko mai ne mahsoos nahi kia ya chook ho gai baharhal nazm kahte waqt sirf mauzoor itna ghalib tha ke zaban o bayan ki taraf baad mai tawajju huvi.
4- is masalay mai ye arz hai ke yahaN nazm ko aik morh bhi dena tha aur compact bhi karna tha islye lahja aur khitaab ko badalna parha , agar ho sakay to ispar bhi ghaur karoNga.inshallah
aapki tajaweez baharhaal bilkul durust aur mere lye mishal e raah hain.
Jazak Allah khair
shukria
Mahtab Qadr
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Mahtab Qadr SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki nazm "bahu" paRhkar bahut luTf aayaa. Mahoul ki bahut achchi Akkasi kii hei aap ne.

BaAZ mulaaHizaat aapki nazr heiN:

1- doosre sheAr ke pahle miSreA meiN TibaaAat kii ghalati kii vajah se "lage" kii bajaye "lagaa" hougayaa hei.
2- Chauthe sheAr ke doosre miSreA meiN (shaan-e-samdhi) ki izaafat ghalaT hei kiyunkeh "samdhi" hindi ka lafz hei jisko izaafat meiN nahiN isteAmaal kiyaa jaasaktaa.
3- paanchweN sheAr ke pahle miSreA meiN "qisim" ghalaT hei kiyunkeh is ka saHeeH talaffuz hei "qism" yani Harf "seen" per sukoon hei.
4- Doosre band meiN "roop dekar bahu ko beTi kaa......apne seene se tum lagaao use" meiN mukhaaTibat kuch yooN hougaie hei jaise ke aap bahu nahiN laarahe heiN balke beTi kisi ko de rahe heiN. MaAnavi liHaaz se tasalsul baaqi nahiN rahaa.

BaharHaal daad aur mubaarakbaad HaaZir hei.

Aapkaa MukhliS,
Nazir.

User avatar
nazneen_72
-
-
Posts: 5
Joined: Wed Jan 26, 2005 4:10 pm
Location: karachi
Contact:

Post by nazneen_72 »

as salaam o alekum.

wahhhhh buhat khoob ..kaise hain aap? ummed hai theek thaak qisam k honegay :-) waise kia hmmmm acha chorein nahi pochte. :P esi tarhan lekhte rahye Allah apko aur tarraqi de aamin
Grace Of God
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

wah bahut khoob....!!!!

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Shukria

Post by Mahtab Qadr »

Azeez Raheel Ahmed sahib
Walaikum salaam wa rahma
Behad mashkoor hoN ke aap ne nazm ko qadr ki nigaah se dekha.
shukria
Mahtab Qadr
rahmed25682 wrote:Salam Mahtab sahab ...

Apni giraaN-qadr nazm se humain nawaznay ka shikriya.

Khush rahain

Khair Andesh

Raheel Ahmed
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Nawazish

Post by Mahtab Qadr »

Walaikum Salaam
Bahut Bahut Shukria . Allah ka karam hai acha hoN. aapki duaiN haiN. himmat afzai ka shukria . Allah aap ko khush rakhe.aameen
Mahtab Qadr

nazneen_72 wrote:as salaam o alekum.

wahhhhh buhat khoob ..kaise hain aap? ummed hai theek thaak qisam k honegay :-) waise kia hmmmm acha chorein nahi pochte. :P esi tarhan lekhte rahye Allah apko aur tarraqi de aamin
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

InayateiN

Post by Mahtab Qadr »

shummu ji InayateiN haiN aapki .
shukria
Mahtab Qadr

Shummu wrote:wah bahut khoob....!!!!
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Aapki nazm nazar-e-caani ke baAd

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami
Bhayi Mahtab Qadr SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aap ne apni nazm "Bahoo" per nazar-e-caani karke usko bahut hi achche Tareeqe se pesh kiyaa hei.

Aise munfarid mauZooA ko ikhtiyaar karne per aur usko apne khoobSoorat andaaz meiN pesh karne per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
[color =brown]

Aapka MukhliS,
Nazir.

[/color]
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Aapki nazm nazar-e-caani ke baAd

Post by Mahtab Qadr »

Mohatram Abdullah Bhai
salaam
Aapki nazr e inayat mere lye qeemti asaasa hai. behad mashkoor o mamnoon hoN.

Post Reply