Page 2 of 33
"maqTaA"
Posted: Sun Jan 22, 2006 2:35 am
by Abdullah Nazir
nah pooch Aalam-e-bargashtah-TaaliAi :aatish:
barasti aag jou baaraaN ki aarzoo karte.
Shayer: Haider Ali aatish
Nazir.
maQTaA
Posted: Sun Jan 22, 2006 2:19 pm
by Abdullah Nazir
gilah lab tak nah aayaa :Meer: hergiz
khapaa jee hii meiN saaraa gham hamaaraa.
Shayer: Meer Taqi Meer
Nazir.
maQTaA
Posted: Mon Jan 23, 2006 11:49 am
by Abdullah Nazir
"shab-e-viSaal maiN us chehra-e-munavvar se
haTaake sulf ko :aatish: balaa ko Taal diyaa"
Shayer: Aatish
Nazir.
MaqTaA
Posted: Tue Jan 24, 2006 6:57 am
by Abdullah Nazir
"kahtaa hei wo ham Daagh ko dil meiN nahiN rakhte
MaiN chaahooN jagah de mujhe dildaar zaraa si.".
Shayer: Daagh Dehlawi
Nazir.
Posted: Tue Jan 24, 2006 7:00 am
by Waqar Zaidi
kiaa ghazab hay keh Habaab aik hi kashti kay sawaar
haath mein aatay hi patwaar, badal jaatay hain
Habaab Tirmazi.
===============================================
aye adam
Posted: Tue Jan 24, 2006 8:57 am
by Mahtab Qadr
aye adam sab gunaah kar laikin
dostoN se ryaa ki baaat na kar
maqTaA
Posted: Tue Jan 24, 2006 11:52 am
by Abdullah Nazir
Jaleel aasaaN nahiN aabaad karnaa ghar muHabbat kaa
yeh unkaa kaam hei jo zindagi barbaad karte heiN.
Shaayer: Jaleel Manikpoori (Jaleel Yar Jundg, Hyd)
Nazir.
Posted: Tue Jan 24, 2006 1:27 pm
by Waqar Zaidi
aiy Kaif saaz e kaif o musarrat ko chhorh kar
kiyun main hoon mehv e naala o aah o fughaan na poochh
Kaif Banarsi
===============================================
maqTaA
Posted: Tue Jan 24, 2006 2:24 pm
by Abdullah Nazir
"ye aur baat hai ke "Ali" ham na sun sake
aavaz us ne dii hai hame.n har maqaam se".
Shayer: Ali Ahmed Jaleeli (marHoom)
Nazir.
Posted: Tue Jan 24, 2006 5:35 pm
by Waqar Zaidi
bhoolay say muskuraa to diye thay woh aaj Faiz
mat poochh walwalay dil e na kardah kaar kay
Faiz Ahmad Faiz
===============================================
Posted: Fri Jan 27, 2006 4:26 am
by ummassad
kitna hy badnaseeb zafar dafan keliye.
doo gaz zameen bhi na mili koa yaar main
bahadursha zafar
maqTaA
Posted: Sun Jan 29, 2006 4:31 am
by Abdullah Nazir
"saari raunaq hei yeh deewaanaoN ke dam ki :aatish:
Tauq o zanjeer se houtaa nahiN zindaaN aabaad."
Shayer: aathish
Nazir.
Posted: Sun Jan 29, 2006 7:27 pm
by ummassad
dard minat kash-e-dawa na hua
main na accha hua bura na hua
Posted: Mon Jan 30, 2006 6:48 pm
by ummassad
vo uttha shor-e- maatam aakhri deedar-e- maiyet per
ab uttha cahati hy laash-e- FAANI deekhte jaao
Posted: Tue Jan 31, 2006 3:49 am
by Hashmat Usmani
vahiiN chalo, vahiiN ab ham bhii haath phailaayeN
"Shamim!" saare jahaaN ko jahaaN se miltaa hai
Shamim Jaipuri