Posted: Sat Jan 22, 2005 2:32 am
Mohatram Sarwar Raaz Sahib aadaab o tasleemaatSarwar Raz wrote:mukarramee Mehtab SaaHeb:aadaab!
aap ke Khut^oot^ ko paRh kar maiN is nateejah par poNhchaa hooN keh ham donoN alag alag :wave lengths: par haiN aur :ijtimaa'-e-Z^iddain: kee koyee ummeed naheeN hai. aap ne jo kuch` kahaa hai woh aap kee taaweelaat ke nateejeh meN SaHeeH ho gaa aur mujh` ko in se koyee pareshaanee naheeN hai. aap ko mukammal iKhtiyaar hai keh aap apne mauqif par qaa,im raheN aur mujh` ko apne mauqif kaa Haq hai.
afsos keh maiN aap kee raaYe par a'mal naheeN kar saktaa hooN kyoN.k mere nazdeek us meN koyee wazn naheeN hai. gustaaKhee mua'af! in Haalaat meN behtar yehee hotaa hai keh beHc ko Khatm kar diyaa jaaYe. aap chaaheN to likh`eN. lekin mujh` ko is besood beHc se aa,indah ma'Zoor samajh`iYe: aur bh`ee Gham haiN zamaane meN muHabbat ke siwaa!
Khudaa-raa yeh nah samajh`iYe gaa keh maiN Khafaa hooN! aisee koyee baat naheeN hai. Allah aap ko Khush rakh`e.
Sarwar A. Raz :Sarwar:
Huzoor e waala , mai aik talib e ilm aur aap aik professor , mera aapse ya aapka mujh se kia muqabila , zameen o aasmaN zaher hai barabar nahi ho sakte . magar mere mohatram buzarg aap ke mere darmiaan aik cheez zaroor mushtarik hai aur vo hai LAAI LAHA ILLALLAH ,ye aik aisi qadr e mushtarik hai jo aap ko mujh se kabhi juda nahi karsakti. ijtema e ziddain ki istelah hamare darmiaan chust nahi hoti. mohatram mai ne jo kuch kaha hai vo taaweelat ka tatijaah hargiz nahi haiN balke haqayeq haiN , aise haqayeq ke jinke tasleem na karna aap jaise ahl e ilm (shajar e samardaar) ki shaan ke khilaaf hai. yaqeenan kahne sunne ki aazaadi hai magar is kahne sunne se aik dosre ke jazbaat par bajliaN girti hoN aur ehsasaat majrooh hote hoN to aisi batoN se ijtenaab bhi zaroori hai.
mujhe iska koi afsoos nahi ke aap meri baat ko mustarad farma deiN ya bewazan hone ka taana dekar daman bacha jaiN. mai ne to apne taiN apna "wama alaina illal balagh " ka haq ada karne ki koshish ki hai. mai aapse kabhi khafa na huva na ho sakoNga ke
kisee ki madha saraai na kar sakay laikin
ham aiteraf e kamaal e hunar to karte hain.
aapki aalimana shan ka mai ne hamesha aiteraf kia hai aur aap ke ilmi tabahur ka qadardaan bhi hoN. bhale aap meri is post ka jawab na deiN, haN aik eltemas hai aap se agar aapki masroofiat se koi lamhe nikal aiN to is qisam ke tamam ashaar ko jama farmadeiN ke kisi tahqeeq karne wale ke kaam aiNge. waise mujhe bhi is baat ka shaoq ab chura raha hai ke mai is mazoo par tahqeeq karoN aur un tamam gustakhioN ka jawab de sakoN jo deen aur mazhab ke khilaaf ki gai haiN, mai adab ko zindagi ka aik hissa samajhta hoN sirf tafreeh ka samaan nahi. mai is bahes mai nahi parhoNga ke aap adab baraye adab ke qayel haiN ya adab baraye zindagi ke , ke ye mazoo bahut puraana ho chuka hai. baharhaal aapke qeemti waqt ko meri is post par barbaad hone kelye muaziratkhawh hoN.
banda e nacheez
Mahtab Qadr