Page 2 of 2
miSraA <--->
Posted: Wed Sep 13, 2006 5:39 pm
by Abdullah Nazir
kyaa jaane dard o gham kaa kareN pesh kyaa ilaaj-->Nazir
"aaye tou heiN wo Azm-e-dil o jaaN liye houe".
Nazir.
Re: miSraA <--->
Posted: Thu Sep 14, 2006 3:55 am
by Daanish
WEBMASTER wrote:
kyaa jaane dard o gham kaa kareN pesh kyaa ilaaj-->Nazir
"aaye tou heiN wo Azm-e-dil o jaaN liye houe".
bohat Khoob MoHtaram Nazir SaHeb! kya kehne:
agla misr'a dewan-e-Ghalib se:
'ab woh ra'anaai-e-Khayaal kahaaN'
Posted: Thu Sep 14, 2006 1:56 pm
by ummassad
thi wo aik shakas key tasawer se
ab wo ra'anaai.e.khayaal khan
(hamain hamarey raqeeboun ney motaber janaa)
Posted: Sun Sep 17, 2006 12:51 pm
by Mayank
ummassad wrote:
(hamain hamarey raqeeboun ney motaber janaa)
huzoor zara Shayar\shayra ka naam bata dete tau aasaani hotii..
-Mayank
Posted: Sun Sep 17, 2006 4:15 pm
by ummassad
lijiye.janaab
Hum apney ishq ki ab awr kiya sahaadut daain .
hamain hamrey raqeeboun ney motaber janaa.
Aalamtab tishna;
dusra misra;
visaal vo hijer hey kiya mousam.e.gulaab hey kiya
(noshi gylaani )
misraA
Posted: Tue Sep 19, 2006 1:16 am
by Abdullah Nazir
b]
zaraa bhee housh nahiN ham ko dasht-gardi meiN -->Nazir
"viSaal o hijr hei kyaa mausam-e-gulab hei kyaa".
MiSraA:
"jabkeh daaman hei salaamat nah girebaaN SaaHib"
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
[/b]
Posted: Mon Jul 16, 2007 11:07 am
by muhammad_19k
ub ho kis baat pe deewana preshaaN SaHeb---------------------Khawar.
jabkeh daaman hei salaamat na girebaaN SaaHib
miSra'
kis qadar jal badal jaatay haiN insaaN jaanaaN
Posted: Tue Jul 17, 2007 6:08 am
by muhammad_19k
leejiaye ye thaa,
yooNhi mosam ki adaa daikh ke yaad aaya hai,
kis qadar jald badal jaate haiN insaaN jaanaa ----------ahmed faraz.
naya tarHi miSra,
maire maaHol meN har shakHs khudaa ho jaise