Page 2 of 4
"ghain"
Posted: Sun Nov 26, 2006 2:38 pm
by Abdullah Nazir
ghaflat-e-yaar ne ik lamHah bhee soune nah diyaa
ThouRi furSat nah mili shamA bujhaane ke liye.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:02 am
by hassan_bashir
:Ghalib: mere kalaam meiN kyuN kar mazaa na ho
piitaa huuN Khusro-e-shiiriiN-suKhan ke paaNv
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:33 am
by hassan_bashir
Ghalat naheeN k zamaane meiN laa-javaab haiN ham
samajh sake na hameN koee voh kitaaaaab haiN ham
ghain
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:42 am
by Abdullah Nazir
gham-e--firaaq se bachnaa muHaal hei jab se
MaiN teri yaad kee shamAeN jalaaye rakhtaa hooN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:46 am
by hassan_bashir
Gham-e-aashiqii se kah do raah-e-aam tak na pahuNche
mujhe Khauf hai ye tohmat mere naam tak na pahuNche
ghain
Posted: Tue Nov 28, 2006 7:52 am
by Abdullah Nazir
ghurbat meiN nahiN zaraa bhee sukoon
kab tak sahe jaayeN sitam janaab.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
ghain
Posted: Tue Nov 28, 2006 4:43 pm
by Abdullah Nazir
gham nhiN raah-e-wafaa meiN mujhe luT jaane kaa
gham tou yeh hei keh tiraa saath moyassar nah houaa.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Wed Nov 29, 2006 6:25 am
by hassan_bashir
Gham baRhe aate haiN qaatil kee nigaahoN kee tarah,
tum Chhupaa lo mujhe ai dost gunaahoN kee tarah!!
ghain
Posted: Fri Dec 01, 2006 12:12 pm
by Abdullah Nazir
ghaur se dekh mire chaak girebaaN ki Taraf
sab ko maAloom hei yeh Haal kiyaa hei kis ne.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Dec 04, 2006 7:39 am
by hassan_bashir
Gham hai na ab Khushii hai na ummiid hai na yaas
sab se najaaaaaat paaye zamaaaaane guzar gaye
Posted: Wed Dec 06, 2006 10:01 am
by hassan_bashir
Ghalib teree zameeeeeeen pe likhii to hai Ghazal
tere qad-e-suKhan ke baraabar nahiiN hooN maiN
Posted: Thu Dec 07, 2006 6:43 am
by hassan_bashir
Ghazal-go'ii ko'i mushkil naheeN, par vaaqe'a yeh hai
Ghazal-go'ii meiN aataa hai kamaal aahista aahista
R.K. "Qais"
ghain"
Posted: Fri Dec 08, 2006 3:14 am
by Abdullah Nazir
ghubaar-e-raah se bachnaa muHaal hei lekin
kiyaa hei Azm ke manzil peh jaake dam lenge.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
ghain
Posted: Sat Dec 09, 2006 3:20 am
by Abdullah Nazir
gham-e-dil baRhte baRhte hougayaa bardaasht se baahar
tiri ghaflat shiAaree ab sahee jaatee nahiN mujh se.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Sun Dec 10, 2006 7:13 am
by hassan_bashir
Gham se marataa huuN ke itanaa nahiiN duniyaa meiN koii,
ke kare ta'aziiyat-e-mehar-o-vafaa mere baaaaaaaaaaad!!