Page 2 of 2
Posted: Fri Feb 18, 2005 10:14 am
by Ibn-e-siddique
kisee kee yaad meiN poNhache haiN ham iss aalam ko
suboo banaa diyaa gul ko, sharaab shabnam ko!
sarwar raz :)
Posted: Fri Feb 18, 2005 12:31 pm
by Shummu
Partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak
Posted: Fri Feb 18, 2005 11:48 pm
by Ibn-e-siddique
Jab koii kale sehne gulistaaN meiN khili hai
Shabnam se meree aankhoN meiN tair gaee hai
Posted: Sat Feb 19, 2005 9:14 am
by fatimah
aslaam_u_alikam
shabnam jo miley khawahish_e_deryaa nahin kertey
hum had sey kabhi barh ker tamnaa nahin kertey
Posted: Sat Feb 19, 2005 11:33 am
by tabasum
jugnoo,shabnam,tare bankar meri ankhein dhoond rahi hain
aane wale tu hi bata dey mere humdam kaise hain......
Posted: Mon Feb 21, 2005 12:50 pm
by Shummu
yuN 'araq jalwah gar hai us rukh par
jaise shabnam ho Phuul par daiKho
(Meer Taqi Mir)
Posted: Mon Feb 21, 2005 3:09 pm
by syed bilal armaan
mumkin nahi hai shola-o-shabnam ki dosti
mat kijye aag se pani ka tazkira..........