Page 2 of 3

Posted: Mon Aug 20, 2007 8:01 am
by munir-armaan-nasimi
Mohtaram Hassan Bhai Saaheb,

Aala Hazrat (R.A) ka Naatiya sher to mujhe yaad hai magar aap ka sher waqai sochne par majboor kar raha hai. Teri khushboo Mahakne Lagi mere ghar..... (kahin kisi Itr-farosh ki shahzaadi se to??????)

Phir bhi Khushboo Mahakne lagi....... shayad ustaad-e-fan iss aur kuch kahein... khushboo aur mahak dono ham-maani lafz hain.

BAHUT BAHUT SHUKRIYA HASSAN BHAI...!!

aap ka

armaan

Posted: Mon Aug 20, 2007 10:08 am
by balvinder
ji Arman sahab aaiNdaa khayaal rakkhooNga ki lafz ''mahak'' par hi ash'aar pesh hoN....liijiye krishn bihari ''noor'' sahab ka hi ek aour sher haazir hai....

mahak-mahak uThaa jo shabd chhoo liyaa maiN ne
pachaas saal mujhe ik yahii kamaal rahaa

Posted: Mon Aug 20, 2007 10:40 am
by balvinder
dil me ek sholaa bhaRhak uThaa hai aaKhir kyaa karooN
meraa paimaanaa chhalak uThaa hai aaKhir kyaa karooN
zaKhm siine kaa mahak uThaa hai aaKhir kyaa karooN

ai gham-e-dil kyaa karooN ai vahashat-e-dil kyaa karooN

Posted: Mon Aug 20, 2007 2:22 pm
by balvinder
har subah uThe, uTh ke aNdhere se nahaaye
aaNkheN jo uThaaye bhii ti nazareN na milaaye
raatoN ka magar bhed chhupaaye na chhupe
bhiige hue baaloN se mahak-si aa jaaye

jaaN nisaar ''akhtar''

Posted: Mon Aug 20, 2007 2:24 pm
by balvinder
koii aahaT si aNdheroN meiN chamak jaati hai
raat aatii hai to tanhaaii mahak jaatii hai

Posted: Mon Aug 20, 2007 2:27 pm
by balvinder
hai tumhari mahak meiN huzn-e-khayal
jaise tum ho bhii, aour naheeN bhii ho

J.Elia

Posted: Mon Aug 20, 2007 2:29 pm
by balvinder
hamari saaNsoN meiN aaj-tak wo hina ki Khushboo mahak rahi hai
laboN pe naghme machal rahe haiN, nazar se mastii chhalak rahi hai

Posted: Mon Aug 20, 2007 2:31 pm
by balvinder
mahak rahii hai zamiiN chaaNdani ke phooloN se
Khudaa kisii ki muhabbat pe muskuraaya hai

Posted: Mon Aug 20, 2007 4:13 pm
by munir-armaan-nasimi
WAH WAH BALVINDER BHAI,

AAP NE TO KAMAAL KAR DIYA BHAI... MAHAK KE UPAR AAP NE MUJHE ITNE SAARE ASHAAR DE DIYE KE MERE DIL KI DUNIYA MAHAK UTHI HAI. MAIN AAP KA BAHUT BAHUT SHUKR GUZAAR HOON. KHUDA KARE KUCH AUR SHER AAP KO YAAD AA JAAYEIN TO MUJHE KUCH AUR ASHAAR MIL JAAYEIN.

Aap ka apna,

Munir Armaan Nasimi

Posted: Thu Aug 23, 2007 8:03 am
by balvinder
aapko ash'aar pasaNd aaye ''armaan'' sahab merii mehnat vasool huii....liijiye ye sher dekhiye janaab gopal das ''neeraj'' sahab ka, kyaa farmaate haiN...

jiskii khushboo se mahak utthe paRhosii ka bhi ghar
phool iss kism kaa har simt khilaayaa jaaye

Posted: Thu Aug 23, 2007 8:04 am
by balvinder
aaj woh aakhrii tasveer jala di ham ne
jis se us shahar ke phooloN ki mahak aati thii

Posted: Thu Aug 23, 2007 8:33 am
by balvinder
maNzil is mahak kii kahaaN kis chaman men hai
is kaa pataa safar meN havaa ne nahiiN diyaa

Posted: Thu Aug 23, 2007 9:47 am
by balvinder
aablaa paaee se veeranaa mahak jata hai
kon pholooN se meraa rastaa Dhak jataa hai

Posted: Thu Aug 23, 2007 2:59 pm
by munir-armaan-nasimi
Bhai Balvinder... Ye Hoyi na baat.....

Mohtaram ''Neeraj'' Saaheb ka ye sher... Dil ki gehraayeeon ko chhhoo gaya... yon samajh liziye ke meri TALAASH ko MANZIL mil gayi............ Viseshh Dhanyabaad...!!

jiskii khushboo se mahak utthe paRhosii ka bhi ghar
phool iss kism kaa har simt khilaayaa jaaye
[/b][/quote]

WAH WAH.... BAHOT KHUB.. KYA KEHNE HAIN... PHOOL ISS QISM KA HAR SIMT KHILAAYA JAAYE... Kaas Hamare India ke 100 Crore logon main se sirf EK PER CENT log ye baat maan lein to jara sochein Balvinder Bhai...... Har taraf phool hi phool ho aur mohabbat ki mahak se... Hindustaan Waqaayi Gulistaan Ban Jaaye...!!

Hai na????

aap ka chota bhai,

Armaan

Posted: Thu Aug 30, 2007 2:52 am
by ummassad
kounain ka her gosha khoushboo se mahak uttha.
touheed ka phoola wo gulzar madeney main.