Page 2 of 2

Re: aoa

Posted: Fri Apr 15, 2005 9:26 pm
by najma
Dawood_Rizwan wrote:mashaallah najma ji

mujay zati toor par teesra sher bhuhat acha laga. dad qabool kijay
rizwan




janab dawood rizwan sahib
bohat shukriya.
poori ghazal me se 1 she,r bhi pasand ka nikal aaey to baRii baat hotii hay.
apko pasand aya.bohat shukriya
:-)




janab dawood rizwan sahib
bohat shukriya.
poori ghazal me se 1 she,r bhi pasand ka nikal aaey to baRii baat hotii hay.
apko pasand aya.bohat shukriya
:-)

Posted: Sun Apr 17, 2005 7:04 pm
by najma
zmufti wrote:Najma jee,
Aap ki ghazal behad pasand aayi dad qabool kijye
I like the 2nd last best
zarqa



dear zarqa
bohat shukriya keh apko meri ye kawish achi lagii.
sada khush rahiye
:-)

Posted: Sun Apr 24, 2005 1:17 pm
by najma
Ibn-e-siddique wrote:Najma baji

aap ki ye ghazal mujhe pasand aayee

meri jaanib se daad Haazir hai, zaroor qubool keejiye ga :)

amjad


azeezam amjad!
aap ne hamesha meri kawish ko bohat hi saraha hay.bohat bohat shukriya.
sada khush rahiye
:grin:

Re: EK GHAZAL:ho sake to aap mujh par ek eh,saaN kijiye

Posted: Wed May 11, 2005 5:07 pm
by khurram_shaikh
najma wrote:sathiyo!
ek ghazal k saath is ummeed par hazir hooN ,keh apkopasand aeygii.asaatizah kiraam ki aa,raa ki bhi muntazir rahoongii.
:-)


1=ho sake to mehrbaaN! mujh par ik ehsaaN kijiye
aap haiN jis meiN makeeN, wo dil na weeraaN kijiyey


2=mausim-e-gul ka taqaazah hayba-unwaan-e-bahaar
aap agar hamraah hoN, khud ko Ghazal-khaaN kijiyey



3=shiddat-e-eh,saas se har aaNkh lau dene lagay
dil ke daaGhoN ko kuch-is,tarhaa numaayaaN kijiyey


4=dekh kar unko pishemaan-e-jafaa, kehta hay dil
nazr-e-husn-e-dost phir naqd-e-dil-o-jaaN kijiyey



5=asr-e-nau ke aadamii ke muzmahil eh,saas ko
mish,al-e-eesaar ki zau se furozaaN kijiyey


6=zindagii ke aainah-khaane pe yuuN kije nigaah
aap hoN hairaan, NAJMA ko bhi hairaaN kijiyey

:NAJJMA ANSAR NAJMA

Assalaam o alekum,


Najma baaji bahoot khoob kyaa kehnien bhai waah kyaa ghazal pesh ki aapnien shukriyaa humse share kernien kaa khush rahien

Posted: Fri May 13, 2005 5:06 am
by Star Mind
moHtarama Najma SaaHiba, aadaab :)

kyaa kahoN k lab basta hai dil !

aap ki Ghazal, aap ka andaaz, aap ki mazmoon-nigaari , aap ka Husn-e-intekhaab, aap ki buland-parwaazi , maiN kis kis ko daad doN ?

har liHaaz aek kaamyaab taKhleeq par meeri jaanib se daad qabool kejeye :) bahut abhut shukriya

moKhliS : Zia Baloch

Re: EK GHAZAL:ho sake to aap mujh par ek eh,saaN kijiye

Posted: Fri May 13, 2005 8:01 pm
by najma
khurram_shaikh wrote:
najma wrote:sathiyo!
ek ghazal k saath is ummeed par hazir hooN ,keh apkopasand aeygii.asaatizah kiraam ki aa,raa ki bhi muntazir rahoongii.
:-)


1=ho sake to mehrbaaN! mujh par ik ehsaaN kijiye
aap haiN jis meiN makeeN, wo dil na weeraaN kijiyey


2=mausim-e-gul ka taqaazah hayba-unwaan-e-bahaar
aap agar hamraah hoN, khud ko Ghazal-khaaN kijiyey



3=shiddat-e-eh,saas se har aaNkh lau dene lagay
dil ke daaGhoN ko kuch-is,tarhaa numaayaaN kijiyey


4=dekh kar unko pishemaan-e-jafaa, kehta hay dil
nazr-e-husn-e-dost phir naqd-e-dil-o-jaaN kijiyey



5=asr-e-nau ke aadamii ke muzmahil eh,saas ko
mish,al-e-eesaar ki zau se furozaaN kijiyey


6=zindagii ke aainah-khaane pe yuuN kije nigaah
aap hoN hairaan, NAJMA ko bhi hairaaN kijiyey

:NAJJMA ANSAR NAJMA

Assalaam o alekum,


Najma baaji bahoot khoob kyaa kehnien bhai waah kyaa ghazal pesh ki aapnien shukriyaa humse share kernien kaa khush rahien
bohat shukriya khurram!
apko ghazal pasand aaee, goya meri mehnat wusool hogaee.
khush raho
:-)