Page 2 of 2
Re: waah waah
Posted: Thu May 05, 2005 11:43 pm
by najma
Mahtab Qadr wrote:waah waah Najma sahiba aapka aik aik sher murassa hai, aur aapki kuhnamashqi ka suboot bhi. bahut khooob .
janab mahtab qadr sahib!
assalam-o-alaikum
apki be-had mamnoon hooN.baRee baat hay ke jisi ko sabhi ash,aar pasand ajaeiN.ise maiN apka husn-e-nazar hi keh saktii hooN.
nawazish
khair andesh
najma
Re: waah waah
Posted: Wed May 11, 2005 8:33 am
by najma
Mahtab Qadr wrote:waah waah Najma sahiba aapka aik aik sher murassa hai, aur aapki kuhnamashqi ka suboot bhi. bahut khooob .
janab Mahtab Qadr sahib!
aapki is pazeeraaee ke liye ba-had mamnoon hooN.
sada khush rahiye
Posted: Wed May 11, 2005 8:37 am
by najma
Star Mind wrote:Najma SaaHiba, aadaab :)
janaab , aap ki konsee aisee Ghazal hai jo zehn-0-dil par qayaamat na Dhaati ho ?
aap ka jitnaa bhi kalaam abtak nazar se guzraa hai , ham Sirf masHoor hi hote rahe , aek aek she'ar dil maiN utar jaataa hai !!
aap ki ye Ghazal bhi qayaamat-khez hai !! , tamaam ash'aar hi Ghazab k haiN , meeri jaanib se daad qabool kejeye. shukriya
moKhliS: Zia Baloch
zia baloch sahib!
is qadar bhi naheeN huzoor
aap jaante haiN ke ham to abhi tifl-e=maktab haiN.zara kuch seekh leN, zara kuch hunar ajaey, tab aap kahiyye.
zia!
aapki is bhar-pur hausla afzaaee ke liye ham be-had mamnoon haiN.
sada khush rahiye
Posted: Wed May 11, 2005 9:09 am
by little abbasi
SALA/\/\.
BOHAT KHOOB HAI JI YA POST AAP KI
ATTIQ ABBASI
Posted: Wed May 11, 2005 9:13 am
by najma
little abbasi wrote:SALA/\/\.
BOHAT KHOOB HAI JI YA POST AAP KI
ATTIQ ABBASI
shukriya attiq
khush raho
Re: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4
Posted: Wed May 11, 2005 4:16 pm
by khurram_shaikh
najma wrote:sathiyo
aadaab
tarahii ghazal g/4 k saath hazir hooN.asaatizah ki aa,raa, ki muntazir rahoongii.
W salaam,
waah waah bahoot khoob najma baaji kyaa ghazal share ki hai apnien bahoot umdeh aise hi apnien behtreen aur dilkash kalaam humse share kerti rahaa karien aur daad leti rahien khush rahien sada apnien kharchey per
Re: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4
Posted: Mon May 16, 2005 12:07 am
by najma
))
sirf apne hi kharche kyuuN?
tumhare pe kyuuN naheeN?
kya behnoN ka haq naheeN hota?
sada khush raho
Posted: Tue May 31, 2005 11:20 am
by najma