Page 2 of 12

Posted: Mon Apr 25, 2005 8:49 am
by Ibn-e-siddique
abr-e-reHmat tha ke thi ishq ki bijlee yaarab
jal gayee mizra-e-hasti, tu ugaa dana-e-dil

Posted: Mon Apr 25, 2005 11:48 am
by Hashmat Usmani
Image

Posted: Mon Apr 25, 2005 12:54 pm
by najma
ek saahil hi tha girdaab-e-shinaasaa pehle
ab to har dil ke safeene meiN bhanwar lagta hay
bakhsh lyalpurii

Posted: Tue Apr 26, 2005 1:54 am
by Hashmat Usmani
aisaa bhii nahiiN k vo lauT kar na aayegaa
be_vafaa vo sahii, par itnaa bhii nahiiN!!!


Zor Daccanii

"alif"

Posted: Tue Apr 26, 2005 4:33 am
by Abdullah Nazir



aagayaa jab mauj meiN besaakhtah qaatil miraa

MaiN ne yeh samjhaa chalou dunyaa ko raahat hougaii.



Nazir.


Posted: Tue Apr 26, 2005 4:45 am
by Hashmat Usmani
aaNkhoN se jo utrii hai dil meN
tasveer hai ik anjaane kii
use DhoonDh rahii hai shamm'a
kia baat hai us parvaane kii


MajrooH Sultaanpurii

"alif"

Posted: Tue Apr 26, 2005 4:51 am
by Abdullah Nazir



"intihaay-e-laagharii meiN jab nazar aayaa nah maiN

hans ke wo boule ke ab bistar ko jhaaRaa chaahiye."


Posted: Tue Apr 26, 2005 6:11 am
by Hashmat Usmani
izhaar-e-moHabbat na kiyaa bas isii Dar se
aisaa na ho gir jaauun kahiiN unkii nazar se


Faiyaaz Haashmii

Posted: Tue Apr 26, 2005 10:13 am
by najma
aaj hanste haiN mire haal pe, haey re sitam!
wo, jo dete thay har-ik gham meiN dulaase pehle
khawar qureshi

Posted: Wed Apr 27, 2005 12:25 am
by najma
aghyaar haiN keh mast haiN sehba-e-aish se
maiN hooN keh meri hasrat-e-murdah khamosh hay
khawar qureshi

Posted: Wed Apr 27, 2005 1:24 am
by Hashmat Usmani
aa bhii jaao k zindagii kam hai
tum nahiiN ho to har Khushii kam hai


Yaaminii Daass

"alif"

Posted: Wed Apr 27, 2005 3:32 am
by Abdullah Nazir



idhar hameN unkii bebasii kii khabar nahiN thii

urhar wo aalaam-e-shaam-e-furqat samajh nah paaye.



Nazir.


Posted: Wed Apr 27, 2005 4:13 am
by Hashmat Usmani
aa jaayeN ham nazar jo koii_dam, bahut hai yaaN
mohlat basaan-e-barq_o_sharaar kam bahut hai yaaN


Meer Taqii "Meer"

Posted: Wed Apr 27, 2005 11:05 am
by najma
eemaan-o-aagahii ki ho ab khair, ham ne khud
dekha hay raushni se andheroN ka joR toR
khawar qureshi

Posted: Wed Apr 27, 2005 11:10 am
by najma
utra hay such ka teer mire dil me yak-ba-yak
barbaad hogaya mira barsoN ka jpR toR
khawar qureshi