Page 2 of 2

Posted: Thu May 05, 2005 11:57 pm
by najma
Hashmat Usmani wrote:salaam Hamsheerah saaHiba,

kaisi haiN aap? aapkii Ghazal paRhii aur do ek "gaRbaR" ke 'ilaava Ghazal bahot pyaarii lagii. matl'a meN "kia na kia" ke bajaaye "kia kia na" honaa chaahiye aur aage chal kar ek she'r meN aapne "Khudaa Haafiz" ko "Haafiz Khuda" Khuda kahaa hai. mere Khaayaal se ya'nii merii naaqis raaye meN in moHaavaraat ko aise baraatnaa ma'yuub lagtaa hai. aap plz nazar e saanii kar leN. shukria.

Har she'r umda hai so daad qubool kijiiye.

Hashmat

baradaram!
aapki raey aur daad, donoN sir aaNkhoN par.
bohat shukriya
khair andesh
najma
:-)

Posted: Tue May 10, 2005 9:40 am
by najma
saathiyo!
aadaab
aap meiN se kuch saathii hamarii ghazal ko urdu
hamarre kuch saathiyoN, khusuusi taur pe waqar sahib aur najm sahib ko hamari ye ghazal urdu meiN nazar nahii aasakii, lihaza ab ham, un ke hukm ki ta,meel meiN, ise roman meiN bhi pesh kar rahay haiN.
:grin:

kis qadar gum-raah thay ham, haey, kya kehte rahay
mud,datoN tak ek pat,thar ko khuda kehte rahay

ham tumheN DhoonDaa kiye har raah meiN, har moR par
is pareshaanii meiN janay kya se kya kehte rahay

waAey naakaamii, na nikla mo,tabar wo shakh,s bhii
jisko ab tak zindagii ka aasraa kehte rahay

Doobne waala to kosoN duur jaa ponhcha, magar
ehl-e-saahil sirf ik harf-e-dua kehte rahay

wo to unka zarf tha, aur ye hamara hauslah
zulm wo karte rahay, ham marhaba kehte rahay

dekh leN wo, aasmaaN ki qehr-aaluudah nazar
aaah ko merii jo, aah-e-naa-rasaa kehte rahay

dard-o-Gham, ranj-o-alam, aah-o-fuGhaaN thay mere saath
aap phir kese mujhe tanhaa bhalaa kehte rahay

jaane waale ne to muR kar bhi na dekha ik nazar
dekhiye! mat jaaiyye!! ham baar,haa kehte rahay

zindagii meiN ham ne paiham, kis-qadar khaaey fareb
har qadam par rah-zanoN ko, rah-numaa kehte rahay

sun,ne waale NAJMA, jaane kaun se aalam meiN thay
khud hi apne she,r par ham marhabaa kehte rahay

:NAJMA ANSAR NAJMA:

Posted: Wed May 11, 2005 4:26 pm
by khurram_shaikh
najma wrote:saathiyo!

Assalaam o alekum,

Bahoooot khooob bahooot hi zabardast ghazal share ki aapnien najma baaji meri jaanib se dili daad qabool kairen khush rahien iss sher ke saath :-)

Posted: Sun May 15, 2005 10:54 am
by najma
khurram_shaikh wrote:

meri is kawish ko aur khaas taur se is she,r ko ziyada pasand karne ka be-had shukriya
sada khush raho, tum bhi bas apne hi kharche pe raho khushhhhhhhhh
:P

Posted: Sun May 15, 2005 5:55 pm
by little abbasi
SALA/\/\.

WAH BOHAT BOHAT KHOOB GHAZAL HAY JI.

ATTIQ ABBASI

Posted: Mon May 16, 2005 12:21 am
by najma
little abbasi wrote:SALA/\/\.

WAH BOHAT BOHAT KHOOB GHAZAL HAY JI.

ATTIQ ABBASI

tanx attiq
:-)