aadaab
ek ghazal ke saath phir hazir hhooN, isiummeed ke saath, kehapko pasand aeygii.asaatizah kiraam ki aa,raa kibhi muntazir rahooN gii.

atrz hay
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
dunya wrote:
Muhtaramah
Najma Saahibah,![]()
Aapki ghazal mujhe bahut pasand aayii.
Aap ne is ghazal meiN muhaaviraoN ko badal diyaa hei jaisa ke maTleA meiN "kyaa kyaa nah" ko "kyaa na kyaa" aur chauthe shear meiN "khuda hafiz" ko "hafiz khuda" jis kii vajah se mere khayaal meiN ghazal kii khoobsoorati per acar paRrahaa hei. Aapka kya khayaal hei?
Khair Andesh,
dunya,
sara_j wrote:Najma ji,
salaam.
aapki ghazal pasand aayi, ye ashaar kuch ziyada pasand aaye:
kisqadr gumraah the hum, kiya na kiya kehte rahe
muddaton tak aek pathar ko khuda kehte rahe.
waah bohat khoob!
hum tumhe dhoonda kiye har raah mein, har moRh per
tum na mil paoge, dil ko baraah kehte rahe
doobne wala tou kosoN door ja pahuncha magar
ahle saahil dair tak hafiz khuda kehte rahe
voh tou unka zarf tha aur ye humara hosla
zulm voh karte rahe, hum marhaba kehte rahe
dekh lein voh aasmaaN ki qahr aaludah nazar
aah ko meri jou aah narisa kehte rahe
yun gaye muRh ker na dekha, raahiye mulke adam!
dekhiye! mat jaiye!! hum bermala kehte rahe
sunne wale tou na jaane kaun se aalam mein the
khud hi Najma shair per hum marhaba kehte rahe
waah najma ji daad qubool keejiye.
sara
Sarwar Raz wrote:mukarramah Najma SaaHebah: aadaab!
aap kee Ghazal dekh`ee aur pasand aayee. tafSeelee tabSirah likh`aa aur woh Kuhdaa jaane kahaaN Ghaa,ib ho gayaa! ab ph`ir likh` rahaa hooN!
sab se pehle is kaamyaab kaavish par meree daad qubool keejiYe. yeh Ghazal aap ke maKhSooS raNg kee aa,eenah-daar hai. Khayaalaat aur bayaan donoN hee Saaf aur achh`e haiN. aap kee ijaazat se do ek baateN a'rZ^ kar rahaa hooN. yeh nah to tanqeed hai aur nah hee :iSlaaH:! haaN aap is ko :fikr ba-aawaaz-e-baland: keh saktee haiN.
----------------------------
kis qadar gumraah th`e ham, kyaa nah kyaa kehte rahe
muddatoN tak ek patth`ar ko Khudaa kehte rahe
waah! bohat achh`aa mat^la' hai. daad HaaZ^ir hai. :kyaa na kyaa: albattah qadre Ghair-maanoos hai. yooN keh sakte haiN:
kis qadar gumraah th`e ham, haaYe! kyaa kehte rahe
zindagee bh`ar ek patth`ar ko Khudaa kehte rahe
--------------------------------
ham tumheN Dh`ooNDaa kiYe har raah meN, har moR par
tum nah mil paa,oge dil ko baarhaa kehte rahe
pehlaa miSra' bohat achh`aa hai lekin doosraa us kaa saath` naheeN de paa rahaa hai. :ko: kee bajaaYe :se: behtar hai lekin is se bh`ee miSre' kee kamzoree kaa i'laaj naheeN hotaa hai. ek baar aur dekh` leN?
----------------------------------
waaYe naakaamee keh woh ik shaKhS bh`ee maHram nah th`aa
jis ko ab tak zindagee kaa aasraa kehte rahe
:maHram: jis ma'nee meN ma'roof hai us ke pesh-e-naz^ar tabdeelee behtar hai. yooN soch sakte haiN:
waaYe naakaamee! nah niklaa mo'tabar woh shaKhS bh`ee
jis ko---------
--------------------------
Doobne waala -------
ahl-e-saaHil------------
ek to :Haafiz^ Khudaa: kuch` a'jeeb saa hai aur doosre she'r apne mat^lab meN waaZ^eh naheeN hai. meree raaYe meN is par naz^ar-e-caanee kee Z^aroorat hai. yooN aap behtar jaantee haiN.
-------------------------------
woh to un kaa z^arf th`aa aur yeh hamaaraa HauSilah
z^ulm woh karte rahe, ham marHabaa kehte rahe
bohat Khoob! daad!! yooN keh kar is kee bandish ko chust kar sakte haiN:
woh th`aa us kaa z^arf aur yeh th`aa hamaaraa HauSilah
z^ulm woh kartaa rahaa, ham marHabaa kehte rahe
----------------------------
dekh` leN ----------
aah ko ----------------
yeh she'r meree samajh` meN mukammal t^aur se naheeN aayaa. tashreeH kar deejiYe. shukriyah!
-------------------
dard-o-Gham------------
aap ph`ir -------------
waah! achh`aa she'r hai!
---------------------------
yooN gaye muR kar nah dekh`aa raahee-e-mulk-e-a'dam
dekh`iYe mat jaa,iYe ham barmalaa kehtr rahe
pehle miSre' meN :raahee-e-mulk-e-a'dam ne: honaa chaahiYe. :barmalaa: kaa yeh ista'maal bh`ee tavajjuh chaahataa hai. ek baar aur dekh` lene meN harj naheeN hai. aur pehlaa miSra' yooN ho saktaa hai:
yooN gayaa muR kar nah dekh`aa us ne ham ko ik naz^ar
dekh`iYe mat jaa,iYe ham barmalaa kehtr rahe
----------------------------
zindagee meN ham ne paiham is qadar khaaYe fareb
har qadam par rehzanoN ko rehnumaa kehte rahe
she'r kaa mat^lab yooN bh`ee nikal saktaa hai jaise rehzanoN ko rehnumaa kehnaa zindagee ke fareb kaa nateejah ho! aur yeh aap kaa maqSad naheeN hai. :is: ko :kis: se badal deN to yeh ibhaam door ho jaataa hai.
----------------------------
sun,ne waale to nah jaane kaun se a'alam meN th`e
Khud hee :Najma: she'r par ham marHabaa kehte rahe
kis ke she'r par?
sun,ne waale jaane :Najma: kaun se a'alam meN th`e
Khud hee apne she'r par ham marHabaa kehte rahe
======================
aur raawee sab chain boltaa hai!
Sarwar A. Raz :Sarwar:
Hashmat Usmani wrote:salaam Hamsheerah saaHiba,
kaisi haiN aap? aapkii Ghazal paRhii aur do ek "gaRbaR" ke 'ilaava Ghazal bahot pyaarii lagii. matl'a meN "kia na kia" ke bajaaye "kia kia na" honaa chaahiye aur aage chal kar ek she'r meN aapne "Khudaa Haafiz" ko "Haafiz Khuda" Khuda kahaa hai. mere Khaayaal se ya'nii merii naaqis raaye meN in moHaavaraat ko aise baraatnaa ma'yuub lagtaa hai. aap plz nazar e saanii kar leN. shukria.
Har she'r umda hai so daad qubool kijiiye.
Hashmat