Page 11 of 33
Posted: Tue May 23, 2006 3:38 pm
by zmufti
zaalim mai.n kah rahaa thaa ki tuu is Khuu.N se dar guzar
"Sauda" kaa qatl hai ye chhupaayaa na jaayegaa
Posted: Tue May 23, 2006 6:57 pm
by hassan_bashir
kyaa mazaa detii hai bijalii kii chamak mujhako "Riaz"
mujhase lipaTate haiN, mere naam se Darane vaale
maqTaA"
Posted: Tue May 23, 2006 11:08 pm
by Abdullah Nazir
"Khinchi hei jab kabhi baaTil ki tegh ai :Shaayer:
Chamak uThi hei Sadaaqat mire luhoo ki TaraH."
Shaayer: Shaayer Lucknawi
Nazir.
Posted: Wed May 24, 2006 1:09 pm
by hassan_bashir
yeh kya k sab se bayaaN dil kii haalteN karniiN?!
"Faraz"! tujh ko na aayiiN muhabbateiN karniiN!!
Posted: Wed May 24, 2006 1:36 pm
by Zahid Jahangir
Aa~o ik sajda kareN aalim e madhoshi mein
log kehte hain k Saghir ko Khuda yaad nehin
Posted: Wed May 24, 2006 1:52 pm
by hassan_bashir
Iqbal bhi Iqbal se aagaah nahIN hai !!!!!!!!!!!!!!!
kuch is meiN tamaskhar nahiN vallah nahiN hai!
MaqTaA
Posted: Wed May 24, 2006 6:02 pm
by Abdullah Nazir
"Akhtar" dayaar-e-husn me.n pahuNche haiN mar ke ham
kyuuN kar huaa hai tay ye safar kuchh na puuchhiye
Shaayer: Akhtar Sheeraani.
Nazir.
Posted: Fri May 26, 2006 8:15 pm
by Abdullah Nazir
"Apne dushman se hooN waaqif Taabish
Kisi dereenah shanaasaa ki TaraH"
Shaayer: Taabish dehlawi
Nazir.
maqTaA
Posted: Sat May 27, 2006 12:58 am
by Abdullah Nazir
"KuNwaiN meiN phaink ke pachtaarahaa hooN ai Daanish
kamand thii jo minaaraoN peh Daalne ke liye."
Shaayer: IHsaan Daanish.
Nazir.
Posted: Sun May 28, 2006 6:40 pm
by zmufti
umr to saarii kaTii ishq-e-butaa.N me.n "Momin"
ab aaKhirii vaqt me.n kyaa Khaak musalamaa.N ho.nge
maqTaA
Posted: Mon May 29, 2006 3:58 am
by Abdullah Nazir
"Shikeb kaisi uRaan ab wo par hi TooT gaye
Keh zer-e-daam jab aaye thay phaRphaRaaye bahut."
Shaayer: Shikeb Jalali,
Nazir.
Posted: Mon May 29, 2006 5:21 pm
by zmufti
aaj ana-ul-ans ka mafhoof ana-ul-haq hai nadeem
daar par khinch ke bhee badli nahiN neeat maiN ne
Posted: Tue May 30, 2006 9:25 am
by hassan_bashir
"Shakeel" apane mazaaq-e-diid kii takamiil kyaa hotii
idhar nazaroN ne himmat kii udhar ruKh par naqaab aayaa
maqTaA
Posted: Tue May 30, 2006 8:26 pm
by Abdullah Nazir
"muntazir shaam ke rahou nah Qamar
unke aane kaa iAtibaar nahiN".
Shaayer: Qamar Jalalawi.
Nazir.
Posted: Wed May 31, 2006 6:33 am
by zmufti
hotii hai is me.n husn kii tauhiin ai 'Majaz'
itanaa na ahal-e-ishq ko rusavaa kare ko_ii