Page 12 of 33

Posted: Wed May 31, 2006 6:53 am
by hassan_bashir
nigaah-e-Qais, tirii dast-ras ko maan gaye!
*kahaaN kahaaN* se mazaameeN churaaye haiN *kyaa kyaa*!!!

maqTaA

Posted: Fri Jun 02, 2006 3:55 am
by Abdullah Nazir



"Jalaal-e-kibriyaa chaane ko hei :Seemaab: dunyaa per

koie din aur bandaoN ko khudaa se khe lene do"


Shaayer: Seemab Akberaabaadi.


Nazir.


Posted: Fri Jun 02, 2006 4:29 pm
by zmufti
kyaa qayaamat hai "Munir" ab yaad bhii aate nahii.n
vo puraane aashnaa jin se hame.n ulfat bhii thii

maqTaA

Posted: Fri Jun 02, 2006 5:47 pm
by Abdullah Nazir



"Shauq aansoo hee zabaan-e-gham o aalaam nahiN

kuch tabassum bhi yeh mafhoom adaa karte heiN."


Shaayer: khwaajah Shauq


Nazir.


Posted: Sat Jun 03, 2006 5:50 pm
by zmufti
ga.njiinaa-e-ma'anii kaa talism usako samajhiye
jo lafz kii "Ghalib" mere ashaar me.n aave

maqTaA

Posted: Sun Jun 04, 2006 6:54 am
by Abdullah Nazir



"hougaie do rouz ki ulfat meiN kyaa Haalat abhi

Mumin-e-weHshi ko dekhaa is Taraf se jaaye thaa".


Shaayer: Mumin


Nazir.


Posted: Mon Jun 05, 2006 6:46 pm
by zmufti
"Dard" kuchh maaluum hai ye log sab
kis taraf se aaye the kidhar chale

maqTaA

Posted: Mon Jun 05, 2006 11:16 pm
by Abdullah Nazir



"sitam keh tegh-e-qalam deN use jo ai MajrooH

ghazal ko qatl kare naghme ko shikaar kare."


Shaayer: MajrooH SulTaanpuri


Nazir.


Posted: Wed Jun 07, 2006 7:56 pm
by zmufti
fizaaye muqaddar badal di hai saaghar
nazar jab kabhi zindagi se milaaii

maqTaA

Posted: Thu Jun 08, 2006 1:32 am
by Abdullah Nazir



"lazzat-kash-e-aarzoo hooN :Fani:

Daanistah fareb khaarahaa hbooN".


Shaayer: Fani Badauni


Nazir.


maqTaA

Posted: Thu Jun 08, 2006 8:28 pm
by Abdullah Nazir



"Hareem-e-naaz kyaa hei, jalvah-gaah-e-be-tamaashah hei

nigaah-e-yaas kehti hei, kidhar aaye kahaaN aaye"


Shaayer: Yaganah Changezi :Yaas:


Nazir.


Posted: Sun Jun 11, 2006 12:55 pm
by Zahid Jahangir
yeh zard zard chehra, yeh laaghri badan mein

kia ishq mein howa hai aye Meer haal tera

maqTaA

Posted: Sun Jun 11, 2006 6:04 pm
by Abdullah Nazir
color=blue]


"Fani dakan meiN aake yeh uqdah khulaa ke ham

HindoustaaN meiN rehte heiN HindoustaaN se door".


Shaayer: Fani Badauni

[/color]
Nazir.


Posted: Sun Jun 11, 2006 6:53 pm
by zmufti
to.D gaye paimaan-e-vafaa is daur me.n kaise kaise log
ye mat soch 'Qateel' ki bas ik yaar teraa harajaa_ii hai

maqTaA

Posted: Tue Jun 13, 2006 1:55 am
by Abdullah Nazir



"kaifiyyat-e-chashm uski mujhe yaad hei :SAUDA:

saaghar ko mire haath se lenaa ke chalaa maiN".


Shaayer: :Sauda:


Nazir.