Page 14 of 33

Posted: Thu Jun 29, 2006 1:35 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
bas keh hoN Ghalib aasiree meN bhee aatish zeer-e-pa
mo-e-aatish didah hai Halqah meree zanjeer ka

maqTaA

Posted: Fri Jun 30, 2006 9:26 am
by Abdullah Nazir



"Geh gham-e-Hoor gahe ishq-e-butaaN ai Mumin

maiN sadaa sookhta-e-Husn-e-khudaa-daad rahaa."


Shaayer: Mumin.


Nazir.


Posted: Fri Jun 30, 2006 12:49 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
sab ko mara jigar ke sheroN ne
aor jigar ko sharab ne mara.

jigar murad aabadee.

Posted: Fri Jun 30, 2006 6:57 pm
by zmufti
puuchho to 'Mir' se kyaa ko_ii nazar pa.Daa hai
cheharaa utar rahaa hai kuchh aaj us javaa.N kaa

Posted: Fri Jun 30, 2006 11:42 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
yeh kehna tum se bichaR kar bikhar geya tishna
keh jese haath se gir jae aaenah kehna.

Aalamtaab Tishnah.

maqTaA

Posted: Sat Jul 01, 2006 5:56 am
by Abdullah Nazir



"maiN jab Qateel apnaa, sab kuch luTaa chukaa hooN

ab meraa pyaar mujh se, daanaayi chaahtaa hei."


Shaayer: Qateel Shifaayi


Nazir.


Posted: Sun Jul 02, 2006 7:38 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
paRhne diya nah dil kee taRap ne mujhe ameer

aese hajoom-e-shaoq meN aaya udhar se khat^

ameer.

maqTaA

Posted: Mon Jul 03, 2006 2:33 am
by Abdullah Nazir



"NahiN jis meiN taHammul mushkilaat-e-raah-e-manzil kaa

wo pachtaayegaa ai :seemaab: meraa hamsafar houkar."


Shaayer: seemaab akbaraabaadi


Nazir.


Posted: Wed Jul 05, 2006 12:41 pm
by hassan_bashir
haath pahuNche bhii na the zulf dotaa tak "Momin"
hathakaRii Daal dii zaalim ne Khataa se pahale

Posted: Wed Jul 05, 2006 5:09 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kehte haiN jab safine peh bijlee giree a'dam
saHil ke aas paas tha t^ufaaN se door tha.

Abdul Hameed Adam.

maqTaA

Posted: Thu Jul 06, 2006 1:34 am
by Abdullah Nazir



"Jinko aansoo samajh rahe hou Shakeel

dil ke TooTe houe sahaare heiN."


Shaayer: Shakeel Badauni


Nazir.


Posted: Thu Jul 06, 2006 9:50 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
kitne nadaan haiN Aadam zahed
mujh ko jannat meN band karte haiN.

Abdul Hameed Adam.

maqTaA

Posted: Fri Jul 07, 2006 4:08 am
by Abdullah Nazir



"hamaare dil peh baarish kaif kee :seemaab: houti hei

takalluf barTaraf, ham baada-e-bejaam peete heiN."


Shaayer: seemaab akbaraabaadi.


Nazir.


Posted: Fri Jul 07, 2006 2:53 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Shakeel is darjah mayosee shuro'-e-e'shq meN kesee
abhee to hona hai kharab aahistah aahista.

Shakeel badauni.

maqTaA

Posted: Sat Jul 08, 2006 6:19 am
by Abdullah Nazir



"aashuftah naam-e-ishq ne le phir tamaam umr

dekhe jou koii mere dil-e-zaar kee tashbeeh."


Shaayer: aashuftah.


Nazir.