Page 18 of 33
Posted: Sun Jul 09, 2006 7:27 am
by zmufti
yahii kahanaa thaa shero ke aaj "Zafar" merii aah-e-rasaa me.n huaa na asar
tere hijr me.n maut na aaii magar meraa chain gayaa merii nii.nd gaii
maqTaA
Posted: Sun Jul 09, 2006 5:47 pm
by Abdullah Nazir
"SubH-e-meHshar ke siwaa Subh-e-shab-e-hijr nahiN
yeh balaa wo nahiN :aatish: jo balaa phirti hei."
Shayer: Haider Ali aatish
Nazir.
maqTaA
Posted: Fri Jul 14, 2006 6:57 am
by Abdullah Nazir
"agar maiN khaak bhee houngaa to :aatish: gardbad aasaa
makhegi mujhko sargashtah kisi kee aarzoo barsouN".
Shaayer:Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Sat Jul 15, 2006 3:04 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Gharq-e-e'shrat ban ke jine se kaheeN behtar hai "joosh"
dars-e-e'brat ban ke mar jana zamane ke liye.
Josh maleH aabadee.
maqTaA
Posted: Sun Jul 16, 2006 2:50 am
by Abdullah Nazir
"shehr meiN qaafiyah paimaayi bahut kee aatish
ab iraadah hei miraa baadiyah-paimaayi kaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
maqTaA
Posted: Wed Jul 19, 2006 9:02 am
by Abdullah Nazir
"naalaaN rahe ham koocha-e-meHboob meiN :aatish:
bulbul ne bukhaar apnaa gulistaaN se nikaalaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Mon Jul 24, 2006 8:04 am
by Maha
Apni see kar leeni ray mosay naina milaikay
Khusrau Nijaam kay bal bal jayyiye
Mohay Suhaagan keeni ray mosay naina milaikay
Ameer Khusrau
maqTaA
Posted: Mon Jul 24, 2006 8:12 am
by Abdullah Nazir
"dast o baazoo ke taSavvur meiN houaa :aatish: meiN qatl
paaye bousi kee havas ne khaak se yaksaaN kiyaa".
Shaayer: Haider Ali aatish
Nazir.
Posted: Mon Jul 31, 2006 1:11 pm
by hassan_bashir
pheNk do kaaT ke jaR naKhl-e-tamannaa kii "Ameer"
phuul kam-baKht meiN aaye na kabhii phal aaye
~ Ameer Minai ~
maqTaA
Posted: Tue Aug 01, 2006 4:46 am
by Abdullah Nazir
"Kiyaa hei ishq ko aasaaN samajh ke :aatish: ne
kamaal ham ko tou mushkil yeh fun nazar aayaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Sat Aug 05, 2006 10:18 am
by hassan_bashir
mujhko jinhoN ne qatl kiyaa hai koii unheN batlaaye :Nazir:
miree laash ke pehlu meiN voh apnaa khaNjar bhuul gaye
maqTaA
Posted: Mon Aug 07, 2006 5:48 am
by Abdullah Nazir
b]
"khaT-e-nauras ne dilwaaye lab-e-jaaNbakhsh ke bouse
dikhaayaa Khisr ne :aatish: ko chashmah aab-e-HaiwaaN kaa"
Shaayer: Haider Ali :aatish:.
Nazir.
[/b]
Posted: Tue Aug 08, 2006 4:36 pm
by Daanish
Aatish zameen-e-shayr ho har chand sanglaaKh
laGhzish se aashna nahiN ahl-e-sukhan ke paaoN-Aatish
Posted: Tue Aug 08, 2006 11:31 pm
by Maha
زمین شعر سرور کے لئے ہے اس قدر مشکل !
بصد کوشش بھی اس رنگیں بیاں کچھ نہیں ہوتا
Posted: Wed Aug 09, 2006 1:46 pm
by Daanish
tujhe ai Mus'Hafi kya hai Khabar dard-e-moHabbat ki
na ai bedard mere saamne le naam darmaaN ka