Page 19 of 33
Posted: Thu Aug 10, 2006 3:14 am
by Daanish
har waqt yaar thha rag-e-jaaN se qareebtar
'Tasleem' tu Kharaab phhira umr bhar kahaaN
--Munshi Ameerullah 'Tasleem' Lucknawi
Posted: Thu Aug 10, 2006 11:11 am
by hassan_bashir
maktab-e-ishq kaa 'Momin' hai niraalaa dastuur,
us ko chhuTTii na milii jis ko sabaq yaad huaa!!
Posted: Sat Aug 12, 2006 2:56 am
by Daanish
murGhaan-e-qafas ko phooloN ne ai Shaad yeh kehla bhejaa hai
aa jao jo tum ko aana ho, aise meiN abhi shaadaab haiN hum
--Shaad Azeemabadi
maqTaA
Posted: Sat Aug 12, 2006 7:06 am
by Abdullah Nazir
"samajhtaa yaa nah ai :aatish: samajhtaa
dil-e-muZtar ko samjhaaya tou houtaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Sat Aug 12, 2006 4:09 pm
by Daanish
qayaamat hai ke howe mudda'i ka humsafar Ghalib
woh kaafir jo Khuda ko bhi na saunpa jaaye hai mujh se
Posted: Sat Aug 12, 2006 5:10 pm
by ummassad
gamoun ki dhoop see dertey nahi hain vo AMJED
kisi nigah ky jo saibaan main rehty rehtey hain
Posted: Sat Aug 12, 2006 5:41 pm
by Daanish
saadah purkaar haiN KhoobaaN Ghalib
hum se paimaan-e-wafaa baandhte hain
Posted: Sun Aug 13, 2006 11:29 pm
by ummassad
koi aey shakeel pouchey yeh janoon nahi tu kiya hey
keh usi ke hogaiye hum jo nh hosaka hamaaara
Posted: Mon Aug 14, 2006 1:52 am
by Daanish
Haali suKhan meiN Shefta se mustafeed hai
Ghalib ka mu'ataqid hai, muqallid hai Meer ka
maqTaA
Posted: Mon Aug 14, 2006 2:06 pm
by Abdullah Nazir
"fikr ko Seemaab aazadi kee dekar wusAateNr
martabe ham ne ghazal ke be-nihaayat kardiye"
Shaayer: seemaab akbaraabaadi
Nazir.
Posted: Mon Aug 14, 2006 2:12 pm
by Daanish
apne andaaz ki bhi ek Ghazal paRH Momin
aaKhir is bazm meiN koi tau suKhandaaN hoga
maqTaA
Posted: Mon Aug 14, 2006 2:16 pm
by Abdullah Nazir
jitne hamraah thay wo bhool gaye ai :nazir:
kaun suntaa hei bhalaa gard-e-safar kee baateN
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Tue Aug 15, 2006 2:11 am
by Daanish
dil qaid-e-ta'lluq se nikal sakta nahiN Zauq
kya dar nahiN is Khaana-e-zindaaN ke liye hai--Zauq
Posted: Tue Aug 15, 2006 2:16 am
by Daanish
safHa-e-hasti pe, ik Harf-e-Ghalat hai Sauda
jab mujhe dekhne baiThho, tau uThha jaata huN
maqTaA
Posted: Tue Aug 15, 2006 12:24 pm
by Abdullah Nazir
"ahl-e-dil dil per ai :seemaab: kyaa kartaa acar
be-dili kaa sheAr gouyaa naghma-e-bezaaz thaa".
Shaayer: Seemaab Akbaraabaadi
Nazir.