Page 20 of 33

maqTaA

Posted: Tue Aug 15, 2006 12:45 pm
by Abdullah Nazir



"souzish-e-ishq meiN yeh dil hee hei qaayim :aatish:

paani hou hou ke bahaa kartaa jo paththar houtaa".


Shaayer: Haider Ali :aatish:


Nazir.


maqTaA

Posted: Tue Aug 15, 2006 12:56 pm
by Abdullah Nazir



"Sawaal-e-bousah per hanskar wo but kehtaa hei ai :aatish:

khayaal-e-bad agar guzre tou istighfaar behtar hei".


Shaayer: Haider Ali :aatish:


Nazir.


Posted: Tue Aug 15, 2006 4:17 pm
by hassan_bashir
kaheN kyaa jo puuchhe koii ham se "Meer"
jahaaN meiN tum aaye the, kyaa kar chale

maqTaA

Posted: Wed Aug 16, 2006 4:30 am
by Abdullah Nazir



"sang-e-dar per tou jabh-saa hei :Safi:

uske zaanoo peh sar nahiN tou nahiN".


Shaayer: Safi Aurangaabaadi


Nazir.


Posted: Wed Aug 16, 2006 11:20 am
by Daanish
Ustad Sho'ra ke maqt'e:


likhta huN Asad, sozish-e-dil se suKhan-e-garm
taa rakh na sakay koi mire Harf par angusht--Ghalib

maqTaA

Posted: Wed Aug 16, 2006 2:22 pm
by Abdullah Nazir



"wo naghma-e-rangeeN sab maiN bhool gayaa :asghar:

ab giryah-e-khooneeN meiN roodaad-e-gulistaaN hei".


Shaayer: asghar Goundwi


Nazir.


Posted: Wed Aug 16, 2006 3:12 pm
by Daanish
maqt'a:

marg-e-MajnooN se aql gum hai Meer
kya diwaane ne maut paayi hai?

Posted: Thu Aug 17, 2006 4:30 am
by Daanish
maqt'a


Naazuk diloN ko shart hai 'Aatish' Khayaal-e-yaar
sheesha Khuda jo de, tau pari ko utaariye
--Khwaja Hyder Ali Aatish

Posted: Thu Aug 17, 2006 3:34 pm
by hassan_bashir
ye vazaa-e-vafaadaarii "aajiz" na badal denaa
vo zaKhm tujhe deN ge tum un ko Ghazal denaa

Posted: Fri Aug 18, 2006 11:31 am
by Daanish
maqta'a


HairaaN huN 'Meer' naz'a meiN ab kya karuN bhala
aHwaal-e-dil bohat hai, mujhe fursat ik nafas



maqTaA

Posted: Fri Aug 18, 2006 11:53 am
by Abdullah Nazir



"khoob hei faislaa-e-ishq m ubaarak :Hasrat:

naghma-e-Aish unheN, naala-e-shabgeer mujhe".


Shaayer: Maulaana Hasrat Mouhaani


Nazir.


Posted: Fri Aug 18, 2006 1:58 pm
by Daanish
maqt'a

Allah ri gumrahi, but-o-butKhaana choRH kar
'Momin' chala hai ka'abe ko ik paarsaa ke saath

maqTaA

Posted: Sat Aug 19, 2006 3:06 pm
by Abdullah Nazir



"ab bhee oo ut aa jo aanaa hei khudaa ke waasTe

gham kalejah khaarahaa hei :atish:-e-naashaad kaa".


Shaayer: Haider Ali :aatish:.


Nazir.


Posted: Sun Aug 20, 2006 2:04 am
by Daanish
maqt'a

mund gayiiN kholtay hi kholtay aankheN Ghalib
yaar laaye miri baaliiN pe use, par kis waqt

maqTaA

Posted: Sun Aug 20, 2006 4:33 am
by Abdullah Nazir



Nazir kaa saath de nahiN sakti shab-e-firaaq

ai shamA tuu bhee meri TeeraH teerah-bakht hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.


Nazir.