Page 3 of 33
Posted: Thu Feb 02, 2006 11:40 pm
by ummassad
GALIB bura na maan jo waaiz bura kahey
aisa kabhi koi hy ki sab accha kahain jise
maqTaA"
Posted: Sat Feb 04, 2006 8:01 am
by Abdullah Nazir
furqat meiN dil jalaataa hei shauq-e-viSaal-e-yaar
ik aag sii lagi houi :aatish: badan meiN hei.
Shayer: :aatish:
Nazir.
Posted: Sat Feb 04, 2006 3:20 pm
by Kashmala
us ki aankhon ko kabhi ghaur say daikhaa hay Faraz
ronay waalon ki tarah jaagnay waalon jaisi
Ahmad Faraz.
maqTaA
Posted: Sun Feb 05, 2006 3:17 am
by Abdullah Nazir
"Kehtaa hei wo ham :daagh: ko dil meiN nahiN rakhte
maiN chaahuN jagah de mujhe dil daar zaraa si."
Shayer: Daagh.
Nazir.
maqTaA
Posted: Mon Feb 06, 2006 5:55 am
by Abdullah Nazir
"Kabhi DAAGH is per bharousah nah karnaa
kisi kii yeh dunyaa-e-faani nahiN hei.".
Shayer: DAAGH
Nazir,[/i]
Posted: Tue Feb 07, 2006 4:44 am
by Hashmat Usmani
haiN aur bhii dunyaa meN suKhan_war bahot achchhe
kahte haiN k "Ghaalib" kaa hai andaaz-e-bayaaN aut
MaqTaA
Posted: Tue Feb 07, 2006 4:49 am
by Abdullah Nazir
LaAl o yaaqoot ki ai DAAGH jo hei farmaayish
bhej do un ke liye lakht-e-jigar, paara-e-dil.
Shayer: DAAGH.
Posted: Wed Feb 08, 2006 2:20 am
by Daanish
nahiN dekha hai lekin tujhko pahchaana hai Aatish ne
bajaa hai ai sanam! jo tujh ko daawa hai khudaai ka
Qais-o-Farhaad-o-Wamiq-o-Momin
mar gaye sab hi, kya daba hai ishq!
maqTaA
Posted: Wed Feb 08, 2006 3:23 am
by Abdullah Nazir
Sauda nigaah-e-deeda-e-teHqeeq ke HuZoor
Jalvah her aek zarreh meiN hei aaftaab kaa."
Shayer: :Sauda:
Nazir.
Posted: Thu Feb 09, 2006 3:18 am
by Daanish
'Sauda' tiri fariyaad se aankhoN meiN kati raat
aati hai seher hone ko, tuk tu kahiN mar bhi
Posted: Thu Feb 09, 2006 6:32 am
by Daanish
paida kahaaN haiN aise paraa gandah tab'a log?
afsos tum ko Meer se sohbat nahiN rahi--Meer
Posted: Fri Feb 10, 2006 4:05 am
by ummassad
vo aaye bazam main itna tu MEER ne dekha
phir iske baad charagoun main rooshni na rahi
maqTaA
Posted: Fri Feb 10, 2006 4:26 am
by Abdullah Nazir
"Ddddani hei :Yaas: apne ranj o gham kii Tughyaani
jhoom jhoom kar kyaa kyaa yeh ghaTaa barasti hei."
Shayer: Yaganah changezi :Yaas:
Nazir.
Posted: Fri Feb 10, 2006 2:03 pm
by Daanish
balaa-e-jaaN hai, Ghalib! us ki har baat
ibaarat kya? ishaarat kya? adaa kya?
Posted: Sat Feb 11, 2006 11:57 am
by Shummu
Main usko manaaun ke gham-e-dehr se uljhooN
MoHsin wo koi kaam bhi karney nahin deta
(mohsin naqvi)