Page 3 of 4
ghain
Posted: Sun Dec 10, 2006 12:33 pm
by Abdullah Nazir
ghair tou ghair heiN apnaoN se bhee kaisi ummeed
aaj baaqi nah rahee rasm rawaadaari kee.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
ghain
Posted: Mon Dec 11, 2006 6:26 am
by Abdullah Nazir
ghaneemat hei ke wo bhoole nahiN meri muHabbat ko
mulaaqaateN agar houngi tou phir baateN bahut houNgi.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Dec 11, 2006 7:56 am
by hassan_bashir
Gham mujhe, hasrat mujhe, vahshat mujhe, saudaa mujhe,
ek dil deke Khudaa ne de diyaa kyaaaaaa kyaaaaaa mujhe!
ghain
Posted: Mon Dec 11, 2006 3:30 pm
by Abdullah Nazir
b]
gharaZ nahiN mujhe dunyaa ke dardmandaoN se
tiri nigaah-e-karam se mujhe muHabbat hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.i
Nazir.
[/b]
ghain
Posted: Mon Dec 11, 2006 4:00 pm
by Abdullah Nazir
ghaflat shiAar aap wo apni micaal hei
is per bhee mujhko Hasrat-e-shaam-e-viSaal hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"ghain"
Posted: Tue Dec 12, 2006 2:45 am
by Abdullah Nazir
gham nahiN koii agar saath nah dunyaa ne diyaa
tuu agar saath hei mere, tou hei dunyaa meri.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
ghain
Posted: Wed Dec 13, 2006 4:03 am
by Abdullah Nazir
gham nahiN hougaa, agar khud se bichaR jaaooN maiN
Hijr kee shab se tou behtar hei keh maut aajaaye
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Thu Dec 14, 2006 7:55 am
by hassan_bashir
--------------------------------------------------------------------------------------
Ghalib na kar huzoor meiN yuuN baar-baar arz,
zaahir hai teraa Haal sab un par kahe baGhair!
--------------------------------------------------------------------------------------
"zaahir"
Posted: Fri Dec 15, 2006 1:57 am
by Abdullah Nazir
ghaflat-e-yaar ne dil touR diyaa thaa lekin
ab zaraa mujh peh inaayat hei tou masroor hooN maiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
"ghain"
Posted: Mon Dec 18, 2006 8:05 pm
by Abdullah Nazir
gharaZ nahiN mujhe dunyaa kee kaj-adaayi se
magar taghaaful-e-bejaa tiraa qubool nahiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Dec 18, 2006 8:09 pm
by hassan_bashir
Ghair kyaa jaaniye kyoN mujhako buraa kahate haiN
aap kahate haiN jo aisaa to bajaa kahate haiN!!!!!!!!
ghain
Posted: Tue Dec 19, 2006 6:35 am
by Abdullah Nazir
[align=center]gham-e-dil ne jo bakhshi talkhiy-e-dard-e-nihaaN mujhko
tiri bedaad ne pahounchaadiyaa jaane kahaaN mujhko
Shayer: Abdullah Nazir.[/align]
Nazir.
Posted: Mon Dec 25, 2006 10:43 am
by balvinder
ghaafil na misl-e-barq ho shaadee se khandaazan
baaraan-e-gham se hai gil-e-aadam khameer kee
khwaaja haidar ali ''aatish''
"ghain"
Posted: Sat Jan 06, 2007 6:20 am
by Abdullah Nazir
gham-e-dil partau-e-naqsh-e-khayaal-e-yaar jaisaa hei
"magar meri zabaaN iske siwaa kuch aur kehti hei".
Nazir.
Posted: Sat Jan 06, 2007 3:40 pm
by Zee
aaj tau sham e ghareeban hai
dil ki haalat bhi kuch nirali hai