Page 3 of 12
Posted: Wed Apr 27, 2005 11:16 am
by najma
aeygii ta,beer KHAWAR! jane kab
khaab ham dekha kiye haiN umr bhar
khawar qureshi
Posted: Wed Apr 27, 2005 1:11 pm
by Mahtab Qadr
agar aye nakhudaa toofaan se larhne ka dam kham hai
idhar kashtee ko mat laana ,idhar paani bahut kam hai
(namaloom)
Posted: Wed Apr 27, 2005 1:14 pm
by najma
ik ajnabii ko samajhta raha maiN kyuuN apna?
wo mere paas raha, phir bhi bhi duur duur raha
khawar qureshi
Posted: Wed Apr 27, 2005 7:28 pm
by najma
ik doosre se poochte haiN log, kya hua?
halaaN-k hay har-ek ko haalaat kii khabar
khawar qureshi
Re: alif
Posted: Wed Apr 27, 2005 8:46 pm
by najma
dunya wrote:
Isii kaa naam hei shayad safar meiN dooriy-e-manzil
saraabaoN per gumaaN paani kaa, paani aankh se oujhal.
waaah bohat khoob dunya!
ek chehra shafaq-e-surkh se ubhra sar-e-shaam
ik sitara miree aaghosh-e-nazar meiN utra
khawar qureshi
Posted: Wed Apr 27, 2005 9:35 pm
by Hashmat Usmani
aaj kia dekhaa KhalaaoN ke sunehre Khowaab meN
reg_zaaroN ke sivaa kuchh bhii nahiiN mah_taab meN
Prem WarbarToni
Posted: Wed Apr 27, 2005 10:44 pm
by najma
aate rahay haiN nazm-e-gulistaaN meiN inqilaab
hotii rahii haiN yuurisheN baad-e-sumoom kii
khawar qureshi
Posted: Wed Apr 27, 2005 11:41 pm
by Hashmat Usmani
ek hameN aawaara kahnaa koii baRaa ilzaam nahiiN
duniyaa_waale dil vaaloN ko aur bahut kuchh kahte haiN
Habiib Jaliib
Posted: Thu Apr 28, 2005 12:11 am
by najma
apni barbaad mohabbat ke maiN charche kar looN
jee meiN aaee hay, bayaaN Gham ke maiN qisse kar looN
khawar qureshi
Posted: Thu Apr 28, 2005 1:52 am
by Hashmat Usmani
amn kaa jo paiGhaam sunaane_waale haiN
galiyoN_galiyoN aag lagaane_waale haiN
Jaamid Deobandii
Posted: Thu Apr 28, 2005 1:56 am
by najma
azdahay makr-o-riya ke kaee takhleeq liye
phir fareb us ne bohat hastii-e-insaaN ko diye
khawar qureshi
Posted: Thu Apr 28, 2005 2:00 am
by najma
aanch phir tez huee jaatii hay
ye lapakte huey sholay bhi haiN kitne shaffaaf
khawar qureshi
Posted: Thu Apr 28, 2005 2:02 am
by Hashmat Usmani
aabaad kar ke shahr-e-KhamoshaaN har ek suu
kis khoj meN hai teGh-e-sitam_gar lagii huii
Faiz AHmad "Faiz"
Posted: Thu Apr 28, 2005 2:09 am
by najma
aag se surkh dehekte huey rukhsaaroN ko
ashk-e-Gham-khaar ka sam zard naheeN kar sakta
khawar qureshi
Posted: Thu Apr 28, 2005 2:17 am
by Hashmat Usmani
ik 'ishq kaa Gham aafat, aur us pe yeh dil aafat
yaa Gham na diyaa hotaa, yaa dil na diyaa hotaa
CharaaGh Hasan "Hasrat"