Page 21 of 33
Posted: Sun Aug 20, 2006 8:28 am
by zmufti
diyaa dikhaaa_ii mujhe to usii kaa jalvaa "Meer"
pa.Dii jahaa.N me.n jaa kar nazar jahaa.N merii
Posted: Sun Aug 20, 2006 12:15 pm
by Daanish
maqt'a
Haafiza mard-e-nikunaam na meerad hargiz
murda aanast ke naamash ba nikui na burand
Haafiz-e-Shiraazi
"ai Haafiz mard-e-nikunaam hargiz nahiN marta
murdah haiN woh log jo uske nek naam ko nahiN lete"
maqTaA
Posted: Mon Aug 21, 2006 6:28 am
by Abdullah Nazir
b]
"hijr-e-jaanaaN meiN jou sao ghamzaoN se aati hei :ameer:
khuftagaan-e-khaak kee Soorat sulaa jaati hei neend".
Shaayer: :ameer: Meenayi.
Nazir.
[/b]
Posted: Mon Aug 21, 2006 1:38 pm
by Daanish
taaraaj-e-kaavish-e-Gham-e-hijraN hu'a Asad
seena, ke thha dafeena, goharhaa-e-raaz ka--Ghalib
Posted: Mon Aug 21, 2006 1:56 pm
by Daanish
'Momin' na sahii bosa-e-paa, sajdah karenge
yeh but hai jo auroN ka, tau apna bhi Khuda hai
maqTaA
Posted: Mon Aug 21, 2006 6:23 pm
by Abdullah Nazir
"jou monH meiN yaar kee aataa hei bak jaataa hei ai :aatish:
nah ulTi hee samajhtaa hei nah wo rashk-e-qamar seedhi".
Shaayer:Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Tue Aug 22, 2006 3:48 am
by Daanish
maqt'a
'Faani' ko ya junooN hai, ya teri aarzoo hai
kal naam le ke tera, deewaana_waar roya
maqTaA
Posted: Tue Aug 22, 2006 5:53 am
by Abdullah Nazir
"MaiN kyaa kahooN ke sharm se kaise jhukaake sar
poochaa unhouN ne Hasrat-e-beemaar kaa mizaaj".
Shaayer: Hasrat Mouhani
Nazir.
maqTaA
Posted: Wed Aug 23, 2006 3:34 am
by Abdullah Nazir
"wo be-sabab heiN khafaa mujh se kyaa kahooN Hasrat
mujhe tou yaad nahiN hei koii quSoor kee baat".
Shaayer: Hasrat Mouhani.
Nazir.
Posted: Wed Aug 23, 2006 6:59 am
by Daanish
'maqt'a'
maikashi ke baab meiN 'NaasiKh' janaab-e-'Dard' se
sun le misr'a, jab talak bas chal sakay, saaGhar chalay
Posted: Wed Aug 23, 2006 11:18 am
by Daanish
maqt'a
apne kaamoN meiN raho mashGhuul tum ai Ghaafilo
is ki baatoN par na jaao, 'NaasiKh' ik deewana hai
maqTaA
Posted: Wed Aug 23, 2006 11:20 am
by Abdullah Nazir
"route rute margayaa ik barqvash kee yaad meiN
qismat-e-aatish meiN likhkhee thee qaZaa barsaat kee".
Shaayer: Haider Ali :aathish:.
Nazir.
Posted: Wed Aug 23, 2006 11:33 am
by Daanish
'maqt'a'
'AsGhar' Ghazal meiN chaahiye woh mauj-e-zindagi
jo Husn hai butoN meiN, jo masti sharaab meiN--'AsGhar' Gondawi
maqTaA
Posted: Wed Aug 23, 2006 11:41 am
by Abdullah Nazir
"khanjar-e-naaz ne kushtaoN se :ameer:
chaal wo kee ke qaZaa lauT gayi
Shaayer: ameer meenaayi
Nazir.
Posted: Thu Aug 24, 2006 3:23 am
by Daanish
maqt'a
yahaN fasaana-e-dair-o-haram nahiN AsGhar
yeh maikadah hai, yahaN beKhudi ka a'alam hai