Page 22 of 33
Posted: Thu Aug 24, 2006 3:58 pm
by PK Swami
bhalaa ham Salaam aakhir, na aseer hoNge kab tak
k jahaaN hai daam unkaa, vaheeN aashiyaaN hamaraa !
Salaam Sandalvee
PK Swami
Posted: Fri Aug 25, 2006 5:50 am
by Daanish
maqt'a
gardish-e-baKht hai ya gardish-e-parkaar Aatish
paaoN uThhta nahiN is daairah-e-dauraaN se
Posted: Fri Aug 25, 2006 11:57 am
by hassan_bashir
"Qais" ke taur-o-tareeq ab bhi vuhii haiN, yaaro!
aur hoN ge jo buRhaape meiN sudhar jaate haiN!!!
Posted: Fri Aug 25, 2006 12:10 pm
by Daanish
maqt'a
jaari thhi Asad, daaGh-e-jigar se miri teHseel
aatishkadah, jaagiir-e-samandar na hu'a thha--Ghalib
Posted: Fri Aug 25, 2006 12:39 pm
by hassan_bashir
"Asad" Khushii se mere haath paaNv phuul gae
kahaa jo us ne zaraa mere paaNv daab to de
Posted: Sat Aug 26, 2006 1:34 am
by ummassad
aakhr baar jo aaya tha mery naam WASI
main ney us khat ko kaalije se laga rakha hey.
Posted: Sat Aug 26, 2006 2:56 am
by Daanish
door baiThha Ghubaar-e-Meer us se
ishq bin yeh adab nahiN aata
maqTaA
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:20 am
by Abdullah Nazir
"hawaay-e-shauq-e-aHibbaa ubharti hei :ameer:
wagarnah tujh meiN kaheeN Taaqat-e-safar bhee hei".
Shaayer: :ameer: Meenaayi
Nazir.
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:22 am
by Daanish
maqt'a
ghairat-e-yousuf hai yeh waqt-e-azeez
'meer' is ko raaigaaN khotaa hai kya
maqtaA
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:30 am
by Abdullah Nazir
"jab :meer: khoon apnaa bouseh ke badle Thehraa
tab khauf keejiye kyaa peshaaniyaoN kee cheeN se".
Shaayer: Meer Taqi :Meer:
Nazir.
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:37 am
by Daanish
maqt'a
zamaana meiN koi tujh sa nahiN hai saif-e-zabaaN
rahegi ma'arika meiN Aatish aabroo teri
maqTaA
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:44 am
by Abdullah Nazir
"tuu kis kee yaad meiN ai :MuSHafi" jooN abr routaa hei
keh bijli kee TaraH kaondeN heiN ai zaalim tiri aaheN".
Shaayer: HuSHafi
Nazir.
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:48 am
by Daanish
'maqta'a
talab kareN bhi, tau kya shai talab kareN ai Shaad
humeeN ko aap nahiN apna mudda'a ma'aloom
Shaad Azeemabadi
maqTaA"
Posted: Sat Aug 26, 2006 4:00 am
by Abdullah Nazir
"jaataa hei band aankheN kiye :Zauq: kyaa keh dekh
yeh raah-e-koo-e-yaar hei koo-e-Adam nahiN".
Shaayer: Zauq
Nazir.
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:40 pm
by Daanish
maqt'a
kalaam-e-Yaas se duniya meiN phir ik aag lagi
yeh kaun, Hazrat-e-Aatish ka hum_zabaaN niklaa--Yaas Yagaana