Page 23 of 33
maqTaA
Posted: Sat Aug 26, 2006 3:45 pm
by Abdullah Nazir
"Zauq is beHr-e-jahaaN meiN kashtiy-e-umr-e-ravaaN
jis jagah per jaalagi wo hee kinaaraa hougayaa".
Shaayer: Zauq
Nazir.
Posted: Sat Aug 26, 2006 6:15 pm
by PK Swami
tahseen.e na.shanaas kaa bhookaa nahee Suhail
maiN aabroo farosh mata.e hunar naheeN !
Suhail Azeemabadee
PK Swami
Posted: Sun Aug 27, 2006 2:22 am
by Daanish
maqt'a
ab na palaT ke aayegi, umr-e-azeez Shaad, Haif!
daulat-e-laazawaal thhi, tuu ne jisay gaNwaa diya
--Shaad Azeemabaadi
tahseen.e na.shanaas kaa bhookaa nahee Suhail
maiN aabroo farosh mata.e hunar naheeN !
Suhail Azeemabadee
Swami SaHeb
yeh shayr paRH kar Saa'eb (ek mash'hoor Faarsi shayar) ka shayr yaad aa gaya. farmaate haiN ke:
"Saa'eb do cheez misakunad qadr-e-shayr ra
taHseen-e-nashinaas-o-sukoot-e-suKhan_shinaas"
ya'ni "ai Saa'eb, do cheezoN se shayr ki qadr kam ho jaati hai/ taHseen-e-nashinaas aur suKhan_shinaas ki Khamoshi..."
Posted: Sun Aug 27, 2006 2:28 am
by Daanish
maqt'a
kisi soorat nahiN jaaN ko qaraar ai Aatish
tapish-e-dil mujhe laachaar liye phhirti hai
--Hyder Ali 'Aatish'
Posted: Sun Aug 27, 2006 2:38 am
by Daanish
maqt'a
woh namuraad-e-ajal bazm-e-yaas meiN bhi nahiN
yahaN bhi 'Faani'-e-aawaarah ka pataa na milaa
--Faani Badaayuni
Posted: Sun Aug 27, 2006 4:21 am
by PK Swami
Swami SaHeb
yeh shayr paRH kar Saa'eb (ek mash'hoor Faarsi shayar) ka shayr yaad aa gaya. farmaate haiN ke:
"Saa'eb do cheez misakunad qadr-e-shayr ra
taHseen-e-nashinaas-o-sukoot-e-suKhan_shinaas"
ya'ni "ai Saa'eb, do cheezoN se shayr ki qadr kam ho jaati hai/ taHseen-e-nashinaas aur suKhan_shinaas ki Khamoshi
Daanish saheb
bohat hee achha sher post kiyaa hai aapne. shukriyaa !
PK Swami
Posted: Sun Aug 27, 2006 4:59 pm
by Daanish
maqt'a
na bandhhe tashnagi-e-shauq ke mazmooN Ghalib
garche dil khholke dariya ko bhi saaHil baandhha
maqTaA
Posted: Mon Aug 28, 2006 1:15 am
by Abdullah Nazir
"Dil ke warq peh cabt heiN Sad muhr-e-daagh-e-ishq
ham karte :Zauq: ishq kaa daAwaa sanad se heiN".
Shaayer: :zauq:
Nazir.
Posted: Mon Aug 28, 2006 7:31 am
by Daanish
maqt'a
jahaaN, par farishtoN ke jalte hoN Ghaafil
wahaaN kis taraH hum guzaara karenge
--Ghaafil
Posted: Tue Aug 29, 2006 2:56 am
by Daanish
maqt'a
ai Dard! ja chukaa hai mira kaam zabt se
maiN Ghamzadah tau qatrah-e-ashk-e-chakeedah huN
--Khwaja Meer Dard
maqTaA
Posted: Tue Aug 29, 2006 4:40 am
by Abdullah Nazir
"Halqa-e-gaisoo-e-khoobaaN peh nah kar chashm siyaah
Meer amrit nahiN houtaa dahan-e-maar ke beech."
Shayer: Meer aqi Meer.
Nazir.
Posted: Tue Aug 29, 2006 12:24 pm
by Daanish
maqt'a
dayaar-e-umr meiN ab qeHat-e-mehr hai 'Faani'
koi ajal ke siwaa, mehrbaaN nahiN miltaa
Faani Badaayuni
maqTaA
Posted: Tue Aug 29, 2006 3:53 pm
by Abdullah Nazir
"kya a pareekhwaaN hei jo raataoN ko jagaade hei :Meer:
shaam se dil jigar o jaan jalaataa hei miyaaN".
Shayer: Meer aqi Meer.
Nazir.
Posted: Wed Aug 30, 2006 3:32 am
by ummassad
sirf khushbu ki kami the ghour ke qaabil SHAKEEL
warna gulshan main koi bhi phool murjhaya nh tha
Posted: Wed Aug 30, 2006 5:19 am
by Daanish
maqt'a
hum suKhan fehm haiN, Ghalib ke tarafdaar nahiN
dekheN keh de koi is sehre se baRHkar sehra