Page 24 of 33
Posted: Wed Aug 30, 2006 4:27 pm
by zmufti
Momin" baa-Khudaa sihar bayaanii kaa jabhii tak
har ek ko daavaa hai ke mai.n kuchh nahii.n kahataa
maaTaA
Posted: Tue Sep 05, 2006 12:48 am
by Abdullah Nazir
"past o buland dekheN kyaa :Meer: pesh aaye
is dasht se ham ab tou sailaab le chale heiN"
Shayer: Meer Taqi Meer.
Nazir.
Posted: Wed Sep 06, 2006 2:44 pm
by Daanish
us ko bhoole tau hu'e ho Faani
kya karoge woh agar yaad aaya?
maqTaA
Posted: Thu Sep 07, 2006 12:51 am
by Abdullah Nazir
"dil kaa dena hei sehl kyaa ai :meer:
Aashiqi karne ko jigar hei sharT".
Shaayer: Meer Taqi :Meer:
( ye )
Nazir.
Posted: Thu Sep 07, 2006 2:52 am
by Daanish
maqt'a
samajhta, ya na ai Aatish samajhta
dil-e-muztar ko samjhaaya tau hota
--Hyder Ali Aatish
Posted: Fri Sep 08, 2006 5:46 am
by Mayank
buraa samajhuu.N unhe.n mujh se to aisaa ho nahii.n sakataa
ki mai.n Khud bhii to huu.N "Iqbal" apane nuktaachiino.n me.n
Posted: Fri Sep 08, 2006 4:03 pm
by Daanish
maqt'a
Mus'Hafi shab jo chup tuu baiThha thha
kya tujhe kuchh malaal thha, kya thha
Posted: Fri Sep 08, 2006 6:09 pm
by zmufti
puuchho to 'Mir' se kyaa ko_ii nazar pa.Daa hai
cheharaa utar rahaa hai kuchh aaj us javaa.N kaa
Posted: Sat Sep 09, 2006 1:40 am
by Daanish
maqt'a
kabhi DaaGh tauba ki hai, kabhi phir sharaab pii hai
na azaab hi milega, na humeiN sawaab hargiz
Posted: Sat Sep 09, 2006 1:44 am
by Daanish
maqt'a
ai Mus'Hafi kya baat kahuN dard-e-jigar ki
juN juN ke maiN ki uski dawaa, aur bhi chamkaa
Posted: Sat Sep 09, 2006 1:48 am
by Daanish
maqt'a
kahaaN se tuu ne ai Iqbal seekhi hai yeh darveshi
ke charchaa baadshaahoN maiN hai teri beniyaazi ka
maqTaA
Posted: Sat Sep 09, 2006 4:00 am
by Abdullah Nazir
"lagaa maiN gird-e-sar phirne tou bulaa
tumhaaraa Meer SaaHib sar phiraa hei".
Shaayer: Meer Taqi :Meer:
Nazir.
Posted: Sat Sep 09, 2006 5:05 am
by Daanish
maiN ne rokaa raat Ghalib ko, wagarna dekhte
uske sail-e-giryaa meiN, garduuN kaf-e-sailaab thha
Posted: Sat Sep 09, 2006 5:07 am
by Daanish
maqt'a
bazm-e-ahbaab meiN ai DaaGh kabhi haNs bol
dekhte haiN tujhe har waqt pareshaaN bohat
Posted: Sat Sep 09, 2006 5:13 am
by Daanish
maqt'a
banega mehr-e-qayaamat bhi ek Khaal-e-siyaah
jo chehra DaaGh-e-siyah_ru ne aashkaar kiya