Page 26 of 33
Posted: Tue Sep 12, 2006 2:10 am
by Daanish
maqt'a
ya mazaaq-e-deed ki tohmat na lete, ai Jigar
ya mujassam dil, sarapaa aankh ban kar dekhte
Posted: Wed Sep 13, 2006 3:10 am
by Daanish
chhoRHi Asad na hum ne gadaai meiN dil lagi
saail hu'e, tau a'ashiq-e-ahl-e-karam hu'e
maqTaA
Posted: Wed Sep 13, 2006 5:18 pm
by Abdullah Nazir
"khaa sab ne kalaam-e-Daagh sunkar
ghaneemat hei yeh dam HindustaaN meiN".
Shaayer: :Daagh:
Nazir.
Posted: Thu Sep 14, 2006 4:08 am
by Daanish
guzarti hai jo dil-e-ishq par, na pooch Jigar
yeh Khaas raaz-e-moHabbat hai, raaz rehne de
Posted: Fri Sep 15, 2006 2:41 am
by Daanish
balaa-e-jaaN hai Ghalib uski har baat
ibaarat kya, ishaarat kya, adaa kyaa
Posted: Fri Sep 15, 2006 2:32 pm
by zmufti
mujh se karate hai.n "Qateel" is liye kuch log hasad
kyo.n mere sher hai.n maqabuul hasiinaao.n me.n
Posted: Sat Sep 16, 2006 2:11 am
by Daanish
Haqeeqat khul gayi Hasrat tire tark-e-moHabbat ki
tujhe tau ab woh pehle se bhi baRh kar yaad aate haiN
Posted: Sat Sep 16, 2006 2:32 am
by Daanish
maqt'a
is a'had ko na jaaniye aglaa sa a'had Meer
woh daur ab nahiN woh zameeN aasmaaN nahiN
maqTaA
Posted: Sat Sep 16, 2006 5:32 am
by Abdullah Nazir
"yaad-e-door-uftaadagaaN hei :aatish: oos but se baAeed
dhyaan kab maulaa ko aayaa banda-e-aazaad kaa".
Shaayer: :aatish:
Nazir.
Posted: Sun Sep 17, 2006 12:42 pm
by Mayank
'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN
Posted: Sun Sep 17, 2006 12:57 pm
by Daanish
maqt'a
ai MusHafi gardan_kashi us shoKh se mat kar
jab kheenche woh talwaar tuu gardan ko jhuka jaa
--Ghulam Hamdani 'Mus'Hafi'
maqTaA
Posted: Tue Sep 19, 2006 3:24 am
by Abdullah Nazir
"kahaa us bat se jab martaa hei Mumin
kahaa maiN kyaa karuN marZi khudaa kee".
Shaayer: :mumin:
Nazir.
Posted: Tue Sep 19, 2006 1:10 pm
by Daanish
maqt'a
aap kya irshaad farmaate haiN? farmaa dijiye
sab yeh kehte haiN Jigar deewana hai, deewaana hai
maqTaA
Posted: Wed Sep 20, 2006 2:45 am
by Abdullah Nazir
"ab kahaaN aah mujhe furSat-e-yak laHzah :jigar:
seena-e-ishq bhee hei nishtar-e-faryaad bhee hei".
Shaayer: Jigar Muradabaadi
Nazir.
Posted: Wed Sep 20, 2006 3:11 pm
by Daanish
bedaad-e-ishq se nahiN Darta magar Asad
jis dil pe naaz thha mujhe woh dil nahiN raha