Page 27 of 33
Posted: Wed Sep 20, 2006 3:12 pm
by Daanish
bayaaN Khwaab ki taraH jo kar raha hai
yeh qissa hai jab ka ke Aatish jawaaN thha
Posted: Fri Sep 22, 2006 3:26 am
by Daanish
maqt'a
baat sachhi kahi, aur ungliyaaN uthhiiN sab ki
sach meiN Haali koi ruswaai si ruswaai hai
Posted: Fri Sep 22, 2006 3:50 am
by Daanish
maqt'a
hogaa koi aisaa bhi ke Ghalib ko na jaane
shayar tau woh achha hai, pa badnaam bohat hai
maqTaA
Posted: Fri Sep 22, 2006 7:25 am
by Abdullah Nazir
"chalaa pahloo se jab ai :Zauq: wo aaraam-e-jaan o dil
kahaa aaraam ne mujh se ke lou aaraam chaltaa hei".
Shaayer: :zauq:
Nazir.
maqTaA
Posted: Sun Sep 24, 2006 10:28 am
by Abdullah Nazir
"oos balaay-e-jaaN se :aatish: dekhiye kaise bane
dil houaa sheeshe se naazuk dil se naazuk khooy-e-doust".
Shaayer: :aatish:
Nazir.
Posted: Sat Sep 30, 2006 3:23 am
by ummassad
buskh houn GALIB aseeri main bhi aatish zeerpa
mou.e.aatish deeda hey halqa meri zanjeer ka
maqTaA
Posted: Sat Oct 07, 2006 3:59 pm
by Abdullah Nazir
"samajh meiN hee nahiN aati hei koii baat :zauq: uski
koii jaane tou kyaa jaane koii samjhe tou kyaa samjhe"
Shaayer: zauq
Nazir.
maqTaA
Posted: Sat Oct 07, 2006 7:22 pm
by Abdullah Nazir
"baagh-e-Aalam kee hawaa :aatish: nah raas aayi mujhe
doust jis gul kaa rahaa maiN wo miraa dushman rahaa".
Shaayer: :aatish:
Nazir.
Posted: Tue Nov 07, 2006 6:53 am
by Abdullah Nazir
"gulhaay-e-rang rang se hei raunaq-e-chaman
ai :zauq: is jahaaN meiN hei zeb ikhtilaaf se".
Shaayer: zauq
Nazir.
maqTaA
Posted: Mon Nov 13, 2006 9:12 am
by Abdullah Nazir
"Ai ahl-e-Aql kiyuN hou use fikr-e-naam o nang
Hasrat kharaab0e0ishq hei ruswaay0e0ishq hei".
Shaayer:Hsrat Mouhani:
Nazir.
Posted: Fri Nov 17, 2006 1:09 pm
by hassan_bashir
pheNk do kaaT ke jaR naKhl-e-tamannaa kii :Ameer:
phuul kam-baKht meiN aaye na kabhii phal aaye
Posted: Sat Nov 18, 2006 6:19 pm
by hassan_bashir
fareb-e-saaqii-e-mahafil na puuChhiye "Majrooh"
sharaab ek hai badale hue haiN paimaane!
maqTaA
Posted: Sun Nov 19, 2006 3:30 am
by Abdullah Nazir
"dard-e-firaaq :aatish: taRpaarahaa hei ham ko
ik haath dil sanbhaale hei ik jigar sanbhaale".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Sun Nov 19, 2006 11:36 am
by hassan_bashir
mujh ko jiNhoN ne qatl kiyaa hai koii uNheN batalaaye :Nazeer:
merii laash ke pahaluu meiN vo apanaa KhaNjar bhuul gaye!
maqTaA
Posted: Sun Nov 19, 2006 5:45 pm
by Abdullah Nazir
khud kami be-vajh :aatish: kee nahiN
yeh bhee hei meri TaraH jooyaa-e-yaar.
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.