Page 28 of 33
Posted: Mon Nov 20, 2006 1:53 pm
by hassan_bashir
ik umr pe bhee us kaa aNdaaaaaaaaaaz vahee :Anjum:
kamare meiN qadam rakhnaa sharmaaye huye rakhnaa!
maqTaA
Posted: Tue Nov 21, 2006 5:39 am
by Abdullah Nazir
"khalvat meiN saath yaar ke jaanaa nah thaa kaheeN
arbaab-e-anjuman houe :aatish: khajil tamaam".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
maqTaA
Posted: Tue Nov 21, 2006 6:20 am
by Abdullah Nazir
"Sadma-e-ranj-e-khumaar :aatish: kahaaN tak keejiye
teshah o saaghar baraaye saaqi-e-kaucar uThaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
maqTaA
Posted: Wed Nov 22, 2006 3:12 pm
by Abdullah Nazir
"caabit dahan-e-yaar daleelaoN se kar :aatish:
Hujjat kee jo shaayer ke liye jaa hei tou yeh hei".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Thu Nov 23, 2006 12:19 pm
by hassan_bashir
yuuN to kuChh shaam se pahale bhii udaasii thii :Adeeb:
ab to kuchh aur baRii dil kii lagii shaam ke baad!!!!!!!!!!!
Posted: Fri Nov 24, 2006 10:42 am
by hassan_bashir
Jaan-o-dil hosh-o-khirad sab to Madine pahuNche,
tum naheeN chalte :Raza: sara to samaan gaYaa!
~ Aala Hazrat ~
maqTaA
Posted: Sun Nov 26, 2006 2:34 pm
by Abdullah Nazir
"baRa shour hei luknawo meiN tumhaara
paRhou :Yaas" kuch sheAr acar karne waale".
Shaayer: Yaganah changeze :yaas"
Nazir.
Posted: Tue Nov 28, 2006 6:06 am
by hassan_bashir
tum to shaayar ho :Qateel: aur woh ik aam sa shakhs
us ne chaahaa bhee tumheN aur jataaya bhee naheeN
Posted: Wed Nov 29, 2006 6:48 am
by hassan_bashir
voh jo abhi is raah-guzar se chaak-girebaaN guzraa hai
us aavaaraa deevaane ko *Jaalib Jaalib* kehte haiN!!!
Posted: Thu Nov 30, 2006 12:21 pm
by Zahid Jahangir
paRhta tha Main Namaaz ki soorat jisse Nadeem
Phir yooN howa ke mujh se qaza ho gia wo shakhs
Posted: Thu Nov 30, 2006 7:13 pm
by hassan_bashir
:Raza: nafs dushman hai dam meiN na aanaa
kahaaN tum ne dekhe haiN Chandraane vaale
~ Aala Hazrat ~
maqTaA
Posted: Fri Dec 01, 2006 11:51 am
by Abdullah Nazir
hawaay-e-tund ki dastak hei mustamir :Nazir:
Sadaay-e-larzish-e-dar aati jaati rehti hei.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
Posted: Mon Dec 04, 2006 7:55 am
by hassan_bashir
:kaif: pardes meiN mat yaad karo apnaa makaaN
ab-k baarish ne use tauR giraaaaaaaaaaya hogaa
Posted: Thu Dec 07, 2006 6:37 am
by hassan_bashir
ko'ii :Qais: jii se poochhe, yeh kalaam hai to kis se?
sabhi log jaante haiN k Ghazal to hai bahaana!
maqTaA
Posted: Fri Dec 08, 2006 3:20 am
by Abdullah Nazir
"khayaal aek unkaa baaqi thaa so baaqi ab bhee hei Hasrat
shab-e-gham aur kyaa lene ko aayi thi qaZaa mujh se".
Shaayer: Hasrat Mohaani
Nazir.