Page 29 of 33
Posted: Fri Dec 08, 2006 9:08 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]
zaraa see der meiN houjaayegi saHar :Nazir:
chale hou raat kee be-mehr saaAataoN meiN kahaaN
(moHtaram Abdulla Nazir SaHib)[/align]
maqTaA
Posted: Sat Dec 09, 2006 2:39 am
by Abdullah Nazir
"hazaar pardaoN meiN chup jaayeN wo tou kyaa HaaSil
Shakeel dekhne waale Zaroor dekhenge".
Shaayer: Shakeel Badauni
Nazir.
maqTaA
Posted: Mon Dec 11, 2006 5:33 am
by Abdullah Nazir
"BhooleNge Aish meiN bhee nah :aatish: gham o alam
yaad aayenge firaaq ke Sadme viSaal meiN".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Mon Dec 11, 2006 8:04 am
by hassan_bashir
ta'ajjub kyaa lagii jo aag ai :Seemab: seene meiN
hazaaroN dil meiN aNgaare bhare the lag gaii hogii
maqTaA
Posted: Mon Dec 11, 2006 3:25 pm
by Abdullah Nazir
"jauhar shanaas jamA heiN :aatish: hei marikah
shamsheer hei vohi ke jo uryaaN hei in dinaoN".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
maqTaA
Posted: Mon Dec 11, 2006 4:09 pm
by Abdullah Nazir
"dil laraz jaataa hei sunkar her sitaare kaa :Shakeel:
chaand se tanhaayiyaoN meiN kuch kahaa kartaa hooN maiN".
Shaayer: Shakeel Badauni.
Nazir.
Posted: Mon Dec 11, 2006 4:20 pm
by hassan_bashir
koii naam-o-nishaaN puuChhe to ai qaasid bataa dena,
takhallus :Daagh: hai aur aashiqoN k dil meiN rehte haiN!
maqTaA
Posted: Tue Dec 12, 2006 12:08 am
by Abdullah Nazir
""dekh kar yaar ko kehtaa hei yeh dil ai :aatish:
jaan Sadqe nah hou aise kee tou inSaaf nahiN"i.
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Tue Dec 12, 2006 12:12 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]looT lete haiN mujh~e luTne wale Naz^ir
meree qismat meN faqat^ Sabr-o-shakebaee hai!
(moHtaram Abdullah Nazir SaHib)[/align]
maqTaA
Posted: Wed Dec 13, 2006 1:52 am
by Abdullah Nazir
"kuch uski qadr ko mouti se baRhkar hei her ik aansoo
barsne meiN :Safi: kaa deeda-e-tar abr-e-naisaaN hei".
Shaayer: Safi Aurangaabaadi
Nazir.
maqTaA
Posted: Wed Dec 13, 2006 4:08 am
by Abdullah Nazir
"HeiN kahaaN :Seemab: gehraayi ke mouti dastiyaab
kuch Sadaf paare heiN jou chun laaye heiN saaHil se ham".
Shaayer: Seemab Akbarabadi
Nazir.
Posted: Thu Dec 14, 2006 7:53 am
by hassan_bashir
--------------------------------------------------------------------------------------
yeh mehaktii huii Ghazal :makhdoom:
jaise seHra meiN raat phuloN kee!!!!!
--------------------------------------------------------------------------------------
maqTaA
Posted: Fri Dec 15, 2006 2:01 am
by Abdullah Nazir
'yehi andaaz baandhe heiN yehi naaz
qiaamat :Meer: SaaHIb heiN adaa-band".
Shaayer: Meer Taqi :Meer:.
Nazir.
maqTaA
Posted: Fri Dec 15, 2006 12:18 pm
by Abdullah Nazir
b]
"rakhooN umeed-e-karam us se ab maiN kyaa :SaaHir:
keh jab nazar bhee zaalim miraa salaam nah le".
Shaayer: saHir Ludhyaanawi
Nazir.
[/b]
maqTaA
Posted: Sat Dec 16, 2006 5:45 am
by Abdullah Nazir
"aastaan-e-yaar se uThne ka qaSd :aatish: nah kar
chouRkar us dar ko sar deewaar se takraayegaa"..
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.