Page 30 of 33
maqTaA
Posted: Sun Dec 17, 2006 5:54 am
by Abdullah Nazir
" ghayib aankhaoN se khayaal-e-yaar ai :aatish nah hou
jaan ke ooper banegi dil agar meHzooN houaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
maqTaA
Posted: Mon Dec 18, 2006 3:45 am
by Abdullah Nazir
"Meer ke deen o mazhab ko kyaa poochte hou ab un ne tou
qashqah kheenchaa dair meiN baiThaa kab ka tark islaam kiyaa".
Shaayer: Meer Taqi :Meer:
Nazir.
maqTaA
Posted: Mon Dec 18, 2006 4:24 am
by Abdullah Nazir
"khaaksaari ne usi din raushnee paayee thee Zauq
aadam-e-khaaki kaa jis din aab o gil paidaa houaa".
Shaayer: Zauq
Nazir.
Posted: Mon Dec 18, 2006 12:06 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
[align=center]gardish-e-waqt se miltee naheeN furSat Nazir
dastaan-e-dil-e-betaab sunaooN kese?
(MoHtaram A'bdullah A'bdul ReHmaan YahiYah A'llal Muallamee Nazir SaHib)[/align]
maqTaA
Posted: Mon Dec 18, 2006 6:50 pm
by Abdullah Nazir
"aayaa hooN noor le ke maiN bazm-e-sukhan meiN :Zauq:
aankhaoN peh sab biThaayenge ahl-e-sukhan mujhe".
Shaayer: :zauq:
Nazir.
Posted: Mon Dec 18, 2006 8:06 pm
by hassan_bashir
har nafas umr-e-guzashtaa kii hai mayyat "Fani"
zindagii naam hai muR muR ke jiYe jaane kaa
maqTaA
Posted: Tue Dec 19, 2006 6:41 am
by Abdullah Nazir
[align=center]"maAshooq tou hei per wo aubaash kaj ravish hei
kyaa kehiye Meer jee ne dil ko kahaN lagaayaa"
Shaayer: Meer Taqi :Meer:[/align]
Nazir.
Posted: Thu Dec 21, 2006 8:16 am
by hassan_bashir
'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa
yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se
Posted: Sun Dec 24, 2006 6:12 am
by hassan_bashir
voh jhuk k phir miree turbat pe kar rahe haiN salaam
isii adaaaa ne to :Maahir: kii jaaaaaan le liiiiiii thiiiiiiiii
Posted: Mon Dec 25, 2006 10:24 am
by balvinder
qismat se hee laachaar hoo'n ai ''zauq'' vagarnaa
har fann mein hoo'n main taaq mujhe kyaa nahee'n aataa
ustaad ''zauq''
maqTaA
Posted: Tue Dec 26, 2006 4:37 am
by Abdullah Nazir
"ab chaman meiNjaa nikalte heiN tou jee lagtaa nahiN
phool gul se Meer us dihn dil bahujt bahlaachuke".
Shaayer: Meer Taqi Meer
Nazir.
Posted: Thu Dec 28, 2006 10:16 am
by balvinder
kyaa mubaarak ho meraa dasht-e-junoo'n ai ''naasikh''
bezaa-e-boom bhee toote to humaa paidaa ho
maqTaA
Posted: Mon Jan 01, 2007 3:57 am
by Abdullah Nazir
"deewaanah hei kis chaand se rukhsaar kaa :aatish:
zanjeer kaa ghul qehqahah hei kabk-e-dari kaa".
Shaayer: Haider Ali :aatish:
Nazir.
Posted: Tue Jan 16, 2007 6:35 am
by hassan_bashir
ye fazaa raas na aayegii tumheN ai :Najmi:
yaad guzare hue lamhaat kii taazaah na karo
maqTaA
Posted: Fri Jan 19, 2007 6:11 am
by Abdullah Nazir
Nazir miri wafaa kaa diyaa us ne yeh Silah
angaare bhardiye dil-e-khaanah-kharaab meiN
Shaayer: Nazir.
Nazir.