Page 4 of 33
maqTaA
Posted: Sat Feb 11, 2006 1:06 pm
by Abdullah Nazir
"jo kisi kaa sheAr nakhwat se nahiN sunte :Zafar:
kaan un loagaoN ke sunkar yeh ghazal khul jaayeNge."
Shayer: Zafar.
Nazir.
Posted: Sat Feb 11, 2006 8:23 pm
by ummassad
MEER in neem baaz aankhon main
saari masti sharaab ki si hya
Posted: Sun Feb 12, 2006 4:52 am
by Daanish
kadurat se dil apna paak rakh ai Shaad! peeri meiN
ke jis ko muNh dikhaana hai, yeh aaina usi ka hai--Shaad Azeemabadi
Posted: Mon Feb 13, 2006 6:34 pm
by ummassad
IQBAL koi mahram apna nahi jahan main
maloom kya kisiko dard-e-nihan hamara
Posted: Tue Feb 14, 2006 12:19 pm
by Daanish
hum na kehte thhe ke Haali chup raho
raast_goii meiN hai ruswaaii bohat--Haali
Posted: Wed Feb 15, 2006 8:37 pm
by ummassad
MOHSIN gareeb loog tu tinkoon ka dheir hain
malby main dabgya kabhi paani main bahgye
Posted: Thu Feb 16, 2006 1:57 am
by Daanish
nazar meiN hai hamari jaada-e-raah-e-fanaa Ghalib
ke yeh shiraaza hai aalam ke ajzaa-e-pareshaaN ka--Ghalib
"maqTaA"
Posted: Thu Feb 16, 2006 2:18 am
by Abdullah Nazir
u]"reikhi ke tumheeN ustaad nahiN hou :Ghalib:
sunte heiN agle zamaane meiN koii Meer bhi thaa".[/u]
Shayer: Ghalib.
Nazir.
maqTaA
Posted: Fri Feb 17, 2006 2:39 am
by Abdullah Nazir
"Faani ham tou jeete jii wo mayyit heiN be gour o kafan
ghurbat jis ko raas nah aayi, aur waTan bhii chouT gayaa."
Shayer: Fani Badauni.
Nazir.
Posted: Fri Feb 17, 2006 4:08 am
by Daanish
hai dil-e-shoriida-e-Ghalib tilism-e-pech-o-taab
raham kar apni tamanna par ke kis mushkil meiN hai--Ghalib
maqTaA
Posted: Sat Feb 18, 2006 1:38 am
by Abdullah Nazir
"Faani Decan meiN aake yeh uqdah khulaa ke ham
HindoustaaN meiN rehte heiN HindoustaaN se door."
Shayer: Faani Badauni.
Nazir.
Posted: Sat Feb 18, 2006 3:30 am
by Daanish
yeh mehakti hui ghazal Makhdoom
jaise sehraa meiN raat phooloN ki
Posted: Sat Feb 18, 2006 6:22 am
by ummassad
han ne majnoon pe ladakpen main ASAD
sang uttahaya tha ki ser yaad aaya
MaqTaA
Posted: Sat Feb 18, 2006 12:09 pm
by Abdullah Nazir
":Asghar: mujhe junooN nahiN lekin yeh Haal hei
ghabraarahaa hooN dekh ke deewaar o dar ko maiN."
Shaayer: Asghar GounDwi.
Nazir.
maqTaA
Posted: Sun Feb 19, 2006 2:50 pm
by Abdullah Nazir
"tuu garmiy-e-nigaah se ai :Zauq: dekh le
oos naazneeN kaa jalva-e-tagh'eer-e-baagh-e-Husn."
Shayer: Zauq.
Nazir.