Page 4 of 12

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:19 am
by najma
apnoN ne bhi na-jane kyuuN ajnabi hi samjha
esa bhi mujh pe guzra waqt aazmaaishoN ka
khawar qureshi

Posted: Thu Apr 28, 2005 2:53 am
by Hashmat Usmani
ab kaun baat rah gaii, yeh baat bhii gaii
ya'ni, kabhii_kabhii kii mulaaqaat bhii gaii


Mubaarak 'Azeemabadi

Posted: Thu Apr 28, 2005 3:02 am
by najma
aataa hay khauf mujhko ab har naey qadam par
sir se utaarrooN kyuuNkar pushtaara laGhzishoN ka
khawar qureshi

Posted: Thu Apr 28, 2005 3:07 am
by Hashmat Usmani
auroN kaa tajurba jo kuchh ho, magar, ham to, "Firaaq!"
talKhii-e-ziist ko jiine kaa mazaa kahte haiN


Firaaq Gorakhpuri

Posted: Thu Apr 28, 2005 3:08 am
by najma
aazmaaish ke liye saw jaan se haazir thii maiN
aap to bas mera dil hi aazmaa kar reh gaey
najma

Posted: Thu Apr 28, 2005 3:15 am
by Hashmat Usmani
is but_kade meN ma'nii kaa kis se kareN savaal
aadam nahiiN, suurat-e-aadam bahot hai yaaN


Meer Taqii "Meer"

Posted: Thu Apr 28, 2005 11:12 am
by najma
apni saari khushyaaN de kar dard ka sauda kar baiThe
lekin haey rii zalim qismat!ab hameN hosh-o-hawaas kahaaN
khawar qureshi

Posted: Thu Apr 28, 2005 11:34 am
by Hashmat Usmani
uNheN yeh zid k mujhe dekh kar, kisii ko na dekh!
meraa ye shauq k sab se salaam kartaa chaluuN


Shaadaab Laahorii

Posted: Thu Apr 28, 2005 11:35 am
by najma
ab ke baras bhi shehr me tere habs wohii hay, log sabhi
phirte haiN girebaaN chaak kiye, haey tujhe eh,saas kahaaN
khawar qureshi

Posted: Thu Apr 28, 2005 11:50 am
by Hashmat Usmani
ab mujhko hai qaraar to sab ko qaraar hai
dil kia Thahar gayaa k zamaanaa guzar gayaa


Seemaab Akbarabadi

Posted: Thu Apr 28, 2005 12:43 pm
by najma
umaDta hay badal, barasta hay paanii
tamashabanii ashk-e-Gham ki kahaanii
khawar qureshi

Posted: Thu Apr 28, 2005 12:47 pm
by Hashmat Usmani
aabla_paa koii is dasht meN aayaa hogaa
varna aaNdhii meN diyaa kis ne jalaayaa hogaa!


Meena Kumari "Naaz"

Posted: Thu Apr 28, 2005 1:45 pm
by najma
ab zulmatoN meiN dhoonDte phirte haiN rah-guzar
bhaTka tha gujnuoN ke ta,aaqub meiN karawaaN
khawar qureshi

Posted: Thu Apr 28, 2005 1:50 pm
by Hashmat Usmani
udhar ek Harf ki kushtanii, yahaaN laakh 'uzr thaa guftanii
jo kahaa to sun ke uRaa diyaa, jo likhaa to paR ke miTaa diyaa


Faiz AHmad "Faiz"

Posted: Thu Apr 28, 2005 1:56 pm
by najma
uljhii huee hay shauq ki raftaar raah meiN
har gaam par hay rasm ki deewaar raah meiN
khawar qureshi