Page 31 of 33
maqTaA
Posted: Mon Jan 22, 2007 4:36 am
by Abdullah Nazir
"khaana-e-dil ke siwaa aatish-e-gham se ai :zauq:
saamne aankhaoN ke ghar kis ne hei jalte dekhaa".
Shaayer: zauq
Nazir.
maqTaA
Posted: Tue Jan 23, 2007 5:28 am
by Abdullah Nazir
Nazir-e-dasht-gard se poochaaa gayaa jo Haal-e-dil
oos ne dar-e-Habeeb per apnaa kalaam rakh diyaa.
Shaayer: Abdujllah Nazir.
Nazir.
maqTaA
Posted: Wed Jan 24, 2007 12:15 am
by Abdullah Nazir
"Ghalib hameN nah cheR keh ab joush-e-ashk se
baiThe heiN ham tahayya-e-ToofaaN kiye houe".
Shayer: Mirzaa Ghalib.
Nazir.
Posted: Wed Apr 04, 2007 4:30 pm
by hassan_bashir
"wo jo sheroN meiN hai ik shay, pas-e-alfaaz, 'Nadiim'
Us kaa alfaaz meiN izhaar naheeN ho saktaa"
Posted: Sat Apr 14, 2007 12:43 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Mir ke deen-o-mazhab ka puch~te kiya ho un ne to
kishka kh~eeNcha daer meN beTh~a kab ka tark Islaam kiya!
Posted: Mon Apr 30, 2007 9:56 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ph~ool ph~ir zakhm bane haiN NaSir
ph~ir khazaooN ko dua'a de koee!
NaSir Kaz^ami
Posted: Thu May 03, 2007 9:21 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Sara JabeeN SaHibah shukriyah!
Shakeel is darjah mayosee shuru'-e-i'shq meN kaesee
abh~ee to aor hona hai kharaab aahistah aahistah!
Shakeel Badauni
Posted: Wed May 09, 2007 9:28 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Shaokat hamare saath~ a'jab Haadicah huwa
ham reh gae hamara zamanah guzar geya!
Prof. Shaokat Wasti
Posted: Tue May 22, 2007 8:23 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
bas ke hooN Ghalib aseeree meN bhee aatish zer-e-paa
mo-e-aatish deedah hai Halah meree zanjeer kaa!
Asad Ullah Khan Ghalib
Posted: Wed Jun 06, 2007 10:07 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
letaa hai jo inteqaam khaled
reZan hai Woh rehnumaa naheeN hai.
Khaled Yusuf
Posted: Fri Jun 08, 2007 10:49 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
phool phir Zakhm bane haiN NaSir
phir KhiZaooN ko dua'a de koee!
NaSir KaZami!
Posted: Sun Jun 10, 2007 8:48 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
us aakhree naz^ar meN a'jab dard thaa Muneer
jaane kaa us ke ranj mujhe u'mr bhar rahaa!
Muneer NiaZee!
Posted: Mon Jun 11, 2007 6:33 am
by zmufti
ma'al-e-ba.ndagii ai "Josh" taubaa
Khudaa-e-meharabaa.N hai aur mai.n huu.N
Posted: Mon Jun 11, 2007 9:37 am
by muhammad_19k
bohat Khoob
Posted: Tue Jun 12, 2007 3:04 pm
by zmufti
aayaa huu.N nuur leke mai.n bazm-e-suKhan me.n 'Zauq'
aa.Nkho.n pe sab biThaaye.Nge ahal-e-suKhan mujhe