Page 32 of 33

Posted: Mon Jun 18, 2007 5:38 am
by Ibn-e-siddique
maiN us ko manaauN ke gham-e-dehr se uljhooN
moHsin voh koi kaam bhi karne nahiN deta

Posted: Thu Jun 21, 2007 3:42 pm
by zmufti
vo laakh zood faramosh ho "Fraaz" magar
isse bhee mujh ko bhulaane meN ik zamana laga

Posted: Sat Jun 23, 2007 6:07 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
laakh ruswaa sahee Jigar lekin
khush naz^ar bhee hai khush kheyaal bhee hai!

Jigar MuradAbadi

Posted: Mon Jun 25, 2007 5:09 am
by Ibn-e-siddique
dik ke varaq pe cabt haiN sad mohr-e-daagh-e-ishq
ham karte ZAUQ ishq ka daa'va sanad se haiN

Posted: Tue Jun 26, 2007 6:47 pm
by zmufti
ae saakanaan-e-kuchaa-e-dil_daar dekhanaa
tum ko kahiiN jo Ghalib-e-aashuftaa sar mile

Posted: Sun Jul 01, 2007 3:06 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
batao kaon hai be a'aeb Nazir
ta'ajub kiya khat^a ham ne agar kee!

Abdulah Nazir SaaHib

Posted: Wed Jul 04, 2007 9:24 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
zisar taa paa Jigar woh bhee muHabbat hee muHabbat haiN
magar un kee muHabbat Saaf pehchanee naheeN jatee!

Jigar Muradabadi

Posted: Thu Jul 26, 2007 2:15 pm
by balvinder
hazrat-e-''dil'' ! kuchh to kahiye vaaqayaat-e-ziNdagii
haNs diye haNgaam-e-giriyaa aap yah kyaa raaz hai

''dil'' shahjahaaNpuri

Posted: Sat Jul 28, 2007 12:36 am
by rukhsar
os say wabasta rakhaiN saari umeedaiN tum nay
jis say aifa na hoa koi bhi wa,ada BARLAAS

MURTUZAA BARLAAS
.......................

Posted: Sun Jul 29, 2007 8:01 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
ba'd marne ke miree qabr par aayaa woh "Mir"
yaad aaee mire e'eesa ko dawa mere ba'd!

Mir Taqi Mir

Posted: Mon Jul 30, 2007 10:26 am
by balvinder
jashn-e-ghazal-saraaii meN taaviiq kis liye
koii nahiiN hai bazm-e-suKhan meN, ''ziya'' to hai

''ziya'' fatehabadi

Posted: Wed Aug 01, 2007 4:27 pm
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Khuda naSeeb kare unko daae'mee khushiyaaN
A'dam woh loog jo ham ko udaas rakhte haiN!

A'dam

Posted: Thu Aug 02, 2007 12:45 pm
by balvinder
zabaaN par raaz ki baateiN haiN ''beKhud'' !
kahiiN se aaj bhii aaya hai too kyaa ?

''beKhud'' dehalvi

Posted: Sat Aug 11, 2007 4:18 am
by ummassad
wahi ak khamoosh nagma hey SHAKEEL jaan e hasti
jo zaban tak na aaye jo kalaam tak na pahunchey.

Posted: Mon Aug 13, 2007 12:20 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
Qamar Zara bhee naheeN tum ko khaof-e-ruswaee
chale ho chaandanee shab meN unheeN bulane ko!

Qamar Jalalwi