Page 5 of 33

Posted: Sun Feb 19, 2006 10:26 pm
by ummassad
SHAJI kal chaman main jo tanha gye they
bohath unke naqesh.e.khadem yaad aaye

maqTaA

Posted: Mon Feb 20, 2006 3:19 am
by Abdullah Nazir



"paiham sujood paay-e-Sanam per dam-e-vidaaA

:Mumin: khudaa ko bhool gaye iZTiraab meiN."


Shaayer: Mumin.


Nazir.


Posted: Mon Feb 20, 2006 10:51 am
by Shummu
Iftakhaar Aarif kay tund-o-taiz lehjay per na jaa ....
Iftakhaar Aarif ki aankhon main uljhtay khwaab dekh ....

maqTaA

Posted: Mon Feb 20, 2006 7:59 pm
by Abdullah Nazir



":aatish: kahaaN tak apne navishte ko rouooN maiN

likhkhaa nah yaar ne miri teHreer kaa javaab."


Shaayer: aatish.



Nazir.


Posted: Mon Feb 20, 2006 8:34 pm
by Jibraan Khalil
kabhi na oosko jalayegi kal ki dhoop Qamar
jo aaj chaa'oN ka koie daraKht bolega

Qamar Sahrie

maqTaA

Posted: Thu Feb 23, 2006 1:53 am
by Abdullah Nazir



"sitaarah aajkal chamkaa houaa hei apnaa ai aatish

muaafiq hei falak oos maah-roo ki mehrbaani hei."


Shayer: aathish.


Nazir,


Posted: Sat Feb 25, 2006 4:17 am
by ummassad
ye masail.a.tasavouf yh tera bain GALIB
tujhe hum wali samajhte jo na badakhar hota

maqTaA

Posted: Sat Feb 25, 2006 3:14 pm
by Abdullah Nazir


"neend aati hei kise :aathish: firaaq-e-yaar meiN

khwaab ko nafrat hei apne deeda-e-bedaar se."


Shaayer: aathis.


Nazir.


MaqTaA

Posted: Sun Feb 26, 2006 6:34 pm
by Abdullah Nazir



"tum bhii deewaane hou :aatish:likhte heiN aayi bahaar

baiThe kyaa karte hou chaak uThkar girebaaN keejiye."


Shaayer: :aatish:


Nazir.


maqTaA

Posted: Fri Mar 03, 2006 1:44 am
by Abdullah Nazir



"Mumin heiN apne naalaoN ke Sadqe ke kehte heiN

unko bhii aaj neend nah aayi tamaam shab."


Shaayer: Mumin.


Nazir.


maqTaA

Posted: Fri Mar 03, 2006 4:36 pm
by Abdullah Nazir



"jab taSavvur beech oon zulfaoN ke jhapke hei palak

karte heiN oonko khayaal apne meiN :saudaa: shaanah ham."


Shaayer: saudaa.


Nazir.


Posted: Mon Mar 06, 2006 6:34 am
by ummassad
iqbal koi mahram apna nahi jahan main
maloom ky kisi ko dard.e.nihan hamara

maqTaA

Posted: Tue Mar 07, 2006 2:22 am
by Abdullah Nazir



"seemaab kashmakasj ,eoM laajosj nakaaM jeoM ;aaljpiM

HindoustaaN nahiN hei qaumaoN ki kehkashaaN hei."


Shaayer: Seemaab akbaraabaadi


Nazir,


Posted: Wed Mar 08, 2006 3:15 am
by Daanish
teeshe baghair mar na saka kohkan Asad
sargashta-e-khumaar-e-rusoom-o-quyood thha--Ghalib

maqTaA

Posted: Wed Mar 08, 2006 3:49 am
by Abdullah Nazir



badan meiN rooH ko aane se kaam kyaa thaa :ameer:

chalan dikhaane ko aayi thii be-wafaayi ka.


Shaayer: ameer meenaayi


Nazir.