Page 5 of 12
Posted: Thu Apr 28, 2005 2:17 pm
by Hashmat Usmani
apne liye haiN donoN baraabar, ai duniyaa_waalo!
kia but_Khaana, kia mai_Khaana, Khaana_badosh haiN
Sa'eed "Raahii"
Posted: Thu Apr 28, 2005 2:36 pm
by najma
amn-e-aalam ke mudda,ee haiN wohii
saaNp haiN jin ki aasteenoN meiN
najma
Posted: Thu Apr 28, 2005 5:57 pm
by Hashmat Usmani
is adaa se vo vafaa karte haiN
koii jaane k vafaa karte haiN
DaaGh Dehlavii
Posted: Thu Apr 28, 2005 6:32 pm
by najma
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hay tirii zulf ke sar hone tak
Ghalib
Posted: Thu Apr 28, 2005 8:16 pm
by Hashmat Usmani
ab iraadoN pe bharosa hai, na taubaa pe yaqiiN
mujhko le jaaye kahaaN tashna_labii shaam ke ba'd
Krishn "Adeeb"
Posted: Thu Apr 28, 2005 8:24 pm
by najma
abr-e-reHmat tha ke thi ishq ki bijlee yaarab
jal gayee mizra-e-hasti, tu ugaa dana-e-dil
Posted: Thu Apr 28, 2005 8:39 pm
by Hashmat Usmani
ek be_kasii hai hijr ke maaroN ke saath_saath
TuuTaa hai meraa dil bhii sahaaroN ke saath_saath
YaHya Jasdanwala
Posted: Thu Apr 28, 2005 8:48 pm
by najma
andhere meiN ujale ka nishaaN haiN
ye jugnuu aaftaaboN se baRe haiN
bakhsh
Posted: Thu Apr 28, 2005 8:51 pm
by Hashmat Usmani
aise mausam bhii guzaare ham ne
subHeN jab apnii thiiN, shaameN uskii
Parveen Shaakir
Posted: Thu Apr 28, 2005 10:30 pm
by najma
ek saahil hi tha girdaab-e-shinaasaa pehle
ab to har dil ke safeene meiN bhanwar lagta hay
bakhsh lyalpurii
Posted: Fri Apr 29, 2005 12:44 am
by Hashmat Usmani
apne chehre se zulfeN haTaa diijiye
aur phir chaand kaa saamnaa kiijiye
Waajida Tabassum
Posted: Fri Apr 29, 2005 12:47 am
by najma
us adaalat ke kaTehre meiN khaRe haiN ham , jahaaN
nutq-e-goyaaee tarastaa hay bayaanoN ke liye
''bakhsh lyalpuree''
Posted: Fri Apr 29, 2005 12:57 am
by Hashmat Usmani
ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahiiN imkaaN jaanaaN
yaad kia tujh ko dilaayeN teraa paimaaN jaanaaN
AHmad Faraaz
Posted: Fri Apr 29, 2005 12:59 am
by najma
ek saahil hi tha girdaab shinaasaa pehle
ab to har dil ke safeene meiN bhaNwar lagta hay
Posted: Fri Apr 29, 2005 1:14 am
by Hashmat Usmani
apne diivaan ko galiyoN meN liye phirtaa huuN
hai koii jo hunar-e-zaKhm_numaaii le le?
AHmad Faraaz