Page 6 of 33
maqTaA
Posted: Fri Mar 10, 2006 3:49 am
by Abdullah Nazir
[n]
"her aek ko HaaSil hei Safi Haqq-e-taSarruf
dunyaa-e-takhayyul nahiN jaageer kis ki."
Nazir.
[/b]
maqTaA
Posted: Fri Mar 17, 2006 3:56 am
by Abdullah Nazir
"ai :zauq: hei ghazab nigah-e-yaar al-Hafeez
wo kyaa bache ke jis pe yeh teer-e-qaSaa chale"
Shaayer: zauq.
Nazir.
maaTaA
Posted: Fri Mar 17, 2006 4:33 am
by Abdullah Nazir
"bus qalam SafHa-e-hasti se uThaa ab aatish
Dhal chuke sheAr jo thay maar se Dhalne waale."
Shaayer: aatish.
Nazir.
maqTaA
Posted: Fri Mar 17, 2006 3:45 pm
by Abdullah Nazir
"ai :zauq: agar hei housh tou dunyaa se door bhaag
is mai-kade meiN kaam nahiN houshyaar kaa."
Shaayer: Zauq.
Nazir.
Posted: Sun Mar 19, 2006 10:01 am
by zmufti
kabhuu jaayegii udhar sabaa to ye kahiyo us se ki bewafaa
magar ek "Meer"-e-shikastaa-paa tere baaG-e-taazaa me.n Khaar thaa
Posted: Tue Mar 21, 2006 1:14 am
by ummassad
koi ay SHAKEEL puchey yh junoun nahi tu kya hy
ki usi ke ho gye hum jo na ho saka hamara
maqTaA
Posted: Tue Mar 21, 2006 12:35 pm
by Abdullah Nazir
"tuu ne wo Sauda zabaan-e-reikhtah ieejaad ki
paRhke ik Aalam oThaataa hei tire ashAar faiZ."
Shaayer: Sauda
Nazir.
maqTaA
Posted: Sat Mar 25, 2006 12:49 pm
by Abdullah Nazir
"furqat meiN dil jalaataa hei shauq-e-viSaal-e-yaar
ik aag si lagi houi :aatish: badan meiN hei."
Shaayer: Khwaajah Haider Ali aatish
Nazir.
maqTaA
Posted: Sat Mar 25, 2006 1:34 pm
by Abdullah Nazir
"khadang-e-yaar mire dil se kis TaraH nikle
keh us ke saath hei ai Zauq meri jaan lagi."
Shaayer: Sheikh Mohammed Ibrahim Zauq.
Nazir.
Posted: Sat Mar 25, 2006 5:07 pm
by ummassad
yh aor baat hy ke ALI hum na sun saky
aawaz usne di hy hamain her muqam se
maqTaA
Posted: Mon Mar 27, 2006 1:35 am
by Abdullah Nazir
[size-18][color-blue]
"yeh bhi Hasrat koii tadbeer-e-sukooN hei, kyaa khoob
dil-e-betaab se kehte hou unheN yaad nah kar."
Shaayer: Hasrat Mouhaani
[/color]
Nazir.
[/size]
Posted: Tue Mar 28, 2006 3:40 am
by ummassad
yeh bada ayeb hay mujh main ay AKBER
dil main jo aaye keh guzerta houn
maqTaA
Posted: Wed Mar 29, 2006 3:24 am
by Abdullah Nazir
"kaAba-e-maqSood kaa kis din nahiN kartaa Tawaaf
gird phirtaa hooN maiN aatish rouz kooy-e-yaar ke."
Shaayer: aatish.
[/color]
Nazir.
maqTaA
Posted: Thu Mar 30, 2006 3:47 am
by Abdullah Nazir
"shab-e-viSaal meiN us chera-e-munawwar se
haTaa ke zulf ko :aatish: balaa ko Taal diyaa."
Shaayer: aatish
Nazir.
Posted: Thu Mar 30, 2006 5:44 pm
by ummassad
uski qurbut bhi moujaza hy SHAFAQ
mout bhi misl.e. zindagi deekhey