Page 7 of 33

maqTaA

Posted: Fri Mar 31, 2006 2:54 am
by Abdullah Nazir
[size-18]


"unke bousaoN ki tamannaa hei labaoN ko :aatish:

aayhine kisb-e-Safaa karte heiN jin gaalaoN se."


Shaayer: aatish.


Nazir.

[/size]

Aadab

Posted: Fri Mar 31, 2006 8:40 am
by Muzaffar Ahmad Muzaffar
bas KeH HooN Ghalib aseeree meN bhi aatish zeer-e-pa

moe'e aatish dedah hai Halqah meree zanjeer ka.

Mirza Asad Ullah KhaN Ghalib

maqTaA

Posted: Sat Apr 01, 2006 10:06 am
by Abdullah Nazir
[color=blue


"Sunaa karte thay shohrah Zauq jin ki paarsaayi kaa

wo sab yaar-e-kharaabaat apne nikle ham-nasheeN nikle".


Shaayher: Zauq

[/color]
Nazir.


Posted: Mon Apr 03, 2006 12:56 am
by ummassad
qiyamat yaqeenan qhareeb aarahi hy
KUHMAAR ab tu masjid main janelage hain

maqTaA

Posted: Mon Apr 03, 2006 6:06 pm
by Abdullah Nazir



"Yaar ne waAdah faraamoushi jo ham se ki to ki

maut kaa waAdah to ai :aatish: wafaa houjaayegaa.l"


Shaayer: aatish.


Nazir,


Posted: Wed Apr 05, 2006 1:31 am
by ummassad
ishq main hum nibha chuky sub se ay KHUMAAR
bus ak zalim hayath baqi hy

Posted: Wed Apr 05, 2006 12:57 pm
by zmufti
jisse aap ginte they aashnaa jisse aap kehte they bawafa
MaiN wohi hoN momin-e-mubtala tumhieN yaad ho keh na yaad ho

maqTaA

Posted: Thu Apr 06, 2006 12:01 am
by Abdullah Nazir



"ghazal kyaa ik shaar-e-maAnavi gardish meiN hei :asghar:

yahaaN afsous gunjaayish nahiN faryaad o maatam ki."


Shaayer: asghar gounDavi


Nazir.


Posted: Thu Apr 06, 2006 4:54 pm
by ummassad
Allh aaina tv kabhi deekh lo KHUMAAR
tum kiya thy aor ishaq main kiya ho ke rah gaye

maqTaA

Posted: Fri Apr 07, 2006 2:48 am
by Abdullah Nazir
[size-18]


pahonchaa tou hougaa samA-e-mubaarak meiN Haal-e- Meer

Is per bhi jee meiN aaye to dil ko lagaayiye.


Shaayer: Meer Taqi Meer


Nazir.

[/size]

maqTaA

Posted: Sat Apr 08, 2006 1:45 am
by Abdullah Nazir



"murghaan-e-qafas ko phoolaoN ne ai Shaad ye kehlaa bhejaa hei

aanaa hei jo tum ko aajaaou aise meiN abhi shaadaab heiN ham".


Shaayer: Shaad Azeemaabaadi


Nazir.


maqTaA

Posted: Tue Apr 11, 2006 3:47 pm
by Abdullah Nazir



"zauq ne ho zulf ko cheRaa to le mujh se qasam

tuu ne khud cheRaa use aujr barham itnaa hougayaa."


Shaayer: Zauq


Nazir.


maqTaA

Posted: Fri Apr 14, 2006 5:00 am
by Abdullah Nazir



"Sauda yeh qiSSah qad se nah koutaah housake

hei Husn-e-zulf-e-yaar se umr-e-daraaz-e-ishq."


Shaayer: Sauda


Nazir.


Posted: Sat Apr 15, 2006 10:14 am
by zmufti
hotii hai is me.n husn kii tauhiin ai 'Majaz'
itanaa na ahal-e-ishq ko rusavaa kare ko_ii

Posted: Sat Apr 15, 2006 10:16 am
by zmufti
magar falak kii adaavat usii ke ghar se na thii
jahaa.N 'Faraz' na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa