Page 1 of 1

hayaat le ke chalo

Posted: Sun Dec 12, 2004 8:02 am
by Mahtab Qadr
Hayaat le ke chalo kaiyenaat le ke chalo
chalo to saray zamanay ko sath le ke chalo

Posted: Sun Dec 12, 2004 8:21 am
by Hashmat Usmani
laayii Hayaat, aaye; qazaa le chalii, chale
apnii Khushii na aaye, na apnii Khushii chale!


Meer Taqii "Meer"

Posted: Sun Dec 12, 2004 8:23 am
by Naveed_Ahmad_Naveed
khushamdeed mohtaram.
aap ko dekh kar be had khushi hovi.aur dil ki gehraioN se aap ka istqbaal hai.
sh'er naye navele MB ki manasbat se khoob hai. :)

Re: hayaat le ke chalo

Posted: Sun Dec 12, 2004 8:36 pm
by Jibraan Khalil
Mahtab Qadr wrote:Hayaat le ke chalo kaiyenaat le ke chalo
chalo to saray zamanay ko sath le ke chalo
bhai Mehtab qadr ki nazar :

hum tou kafan bardosh chale ' tum
sar par salamat sehre rakhna

jk.

Posted: Sun Dec 12, 2004 9:39 pm
by Star Mind
Hashmat Usmani wrote:laayii Hayaat, aaye; qazaa le chalii, chale
apnii Khushii na aaye, na apnii Khushii chale!


Meer Taqii "Meer"
MoHtarami Usmani SaaHib, aap ka bahut bahut shukriya, is qad khoobSoorat she'ar share karne par.
JahaaN tak miree naaqiS ma'loomat haiN , yeh she'ar Janab-e-zauq ka hai na k Meer Taqii meer ka.
aap nazara-caani kejeye . shukriya

MokhliS: Zia Baloch

Posted: Fri Dec 17, 2004 2:04 am
by Hashmat Usmani
Star Mind wrote:
Hashmat Usmani wrote:laayii Hayaat, aaye; qazaa le chalii, chale
apnii Khushii na aaye, na apnii Khushii chale!


Meer Taqii "Meer"
MoHtarami Usmani SaaHib, aap ka bahut bahut shukriya, is qad khoobSoorat she'ar share karne par.
JahaaN tak miree naaqiS ma'loomat haiN , yeh she'ar Janab-e-zauq ka hai na k Meer Taqii meer ka.
aap nazara-caani kejeye . shukriya

MokhliS: Zia Baloch
salaam Zia saaHib,

aapkii yaad-daasht masha Allah bahot zabardast hai. yeh Ghalatii meri hii kohna dimaaGhii ka nateeja hai. aapne bajaa farmaayaa yeh she'r ustaad Zauq ka hii hai, maiN na jaane kis dhun meN yeh likh baiTha. Khuda gawaah hai TUN nahiiN thaa :wink:

tasHeeH farmaayii ka shukria.

Posted: Fri Dec 17, 2004 2:07 am
by Hashmat Usmani
qaid-e-Hayaat o band-e-Gham, asl meN donoN ek haiN
maut se pahle aadmii Gham se najaat paaye kiuN?


Ghaalib

Posted: Sat Dec 18, 2004 12:33 am
by Hashmat Usmani
ham ne maana ki taGhaaful na karoge, lekin
Khaak ho jaayeNge ham! tumko Khabar hone tak!!


Ghaalib

Harf-e-"kaaf" se, plz.

Posted: Sun Dec 19, 2004 2:26 pm
by Hashmat Usmani
Hasrat-e-lazzat-e-aazaar rahii jaatii hai
jaada-e-raah-e-vafaa juz dam-e-shamshiir nahiiN


Ghaalib

Harf-e-"noon" se agla she'r, plz.