Page 1 of 3

Harf-e-"Te" se ash'aar qalam_band kijiiye

Posted: Thu Jun 09, 2005 1:57 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

Harf-e-"Te" se ash'aar likhiiye, plz. "TE" jaise Tamaatar. :roll: :-) :lol:


Takraa hii gaii merii nazar un kii nazar se
dhonaa hii paRaa haath mujhe qalb-o-jigar se


Faiyaaz Kaazmii

Posted: Thu Jun 09, 2005 2:03 am
by najma
TooT jaata hay sheesha-e-dil bhi
koee ummeed TooT jane se

najma

Posted: Thu Jun 09, 2005 2:14 am
by Hashmat Usmani
TooTe huye KhowaaboN ne, hamko yeh sikhaayaa hai
dil ne jise paayaa thaa, aaNkhoN ne gaNwaayaa hai


Shakeel Badaayuunii

Posted: Thu Jun 09, 2005 10:24 am
by najma
TaaNkay haiN jo shabnam ne girebaan-e-sahar meiN
kis deeda-e-giryaaN ne luTaaey thay wo motee

Posted: Thu Jun 09, 2005 2:44 pm
by Taskeen
Tasweer banata hoon tasweer naheen banti
ek khawaab sa dekha hai tabeer naheen banti

Posted: Thu Jun 09, 2005 6:53 pm
by najma
Taskeen wrote:Tasweer banata hoon tasweer naheen banti
ek khawaab sa dekha hai tabeer naheen banti

janab
apka she,r =tay=se shuru hay,jo ghalat hay.saheeh har =Tay = hay(not =tay=)

:-)

Posted: Thu Jun 09, 2005 6:55 pm
by najma
TimTimaatay rahay hasratoN ke diye
muskuratii rahii raat-bhar chandnii
sGhar

Posted: Sat Jun 11, 2005 1:38 am
by najma
Thehro abhi to sub,h ka taaraa hau zau-fishaaN
dekho, mujhe fareb na do, maiN nashe meiN hooN
saGhar

Posted: Sat Jun 11, 2005 1:39 am
by najma
sara_j wrote:tawajjuh se teri phir khul rahe hain

wagarna zakhm tou yo sil chuke the
ye tsawwur walii tay naheeN hay
ye TIMATAR wali Tay hay

"te"

Posted: Sat Jun 11, 2005 7:45 am
by Abdullah Nazir



tamanna thii ke dekhen us gul-e-tar kii haqeeqat ko

magar zaalim andaaz-e-taAlluq hii badal Daalaa.



Nazir.


Posted: Sat Jun 11, 2005 11:55 am
by najma
TooT jaaey jis-tarah ehd-e-jawaanii meiN kamar

sir pe yuuN TooTaa hay mere inqilaab-e-fitna-gar

khawar

Re: "te"

Posted: Sat Jun 11, 2005 11:57 am
by najma
WEBMASTER wrote:


tamanna thii ke dekhen us gul-e-tar kii haqeeqat ko

magar zaalim andaaz-e-taAlluq hii badal Daalaa.



Nazir.


========please note=======


ye tamannaa walii tay naheeN hay
ye TIMATAR wali Tay hay
thanx
:twisted:

Posted: Sat Jun 11, 2005 8:00 pm
by najma
Theekra jese ho miTTii ka kaheeN Thokar meiN
dehr meiN dil ki ye auqaat huee jaatii hay
khawar

Posted: Sun Jun 12, 2005 3:21 am
by shahnaz zafar
toot ker bikhri huee talwaar ke tukrey samait
aur apney haar jaaney ka sabab maloom ker

Posted: Sun Jun 12, 2005 8:46 am
by najma
Theher jaao aaNkhoN meiN thoRaa saa dam hay

unheiN dekh leiN warna hasrat rahe gii