Nazir Abdullaah, Abdullaah Nazir ho gaye

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Nazir Abdullaah, Abdullaah Nazir ho gaye

Post by jawaid badauni »

Azeezo: Salam qubool kijiye

MaiN NazmeN to sabhi per kahta rahta hooN magar aaj
Mohtaram Abdullah Nazir sahab per kuch ashAAr kahker jo
Khooshi mujhe ho rahee hai mere bayan se bahar hai. Yeh
Nazm Mohtram Nazir sahab keh oss “Interview” per mabnee
hai jo bahut arse qabl Fatima sahibah ne liya tha magar
Bahin Sara kee rahnumaii ke tufail mujhe aaj hi dekhna
naseeb hoa hai. Interview paRhta gaya aur she’r kahta gaya,
aur bus ho gaii Nazm.Interview ka link:

http://mehfil.urdustan.net/viewtopic.php?t=9657

Ummid hai ujlat meN kahi hoii is nazm ko pasaNd farmayeNge.

Nacheez,
Jawaid Badauni
-------------------------------------------------------------------------

Bhool baiThe naam ilm.o.fun meN aise kho gaye
Nazir Abdullaah, Abdullaah Nazir ho gaye

Baap se virse meN har insaaN ko mil jata hai dhan
Unko virse meN mila ilm.o.hunar, funne suKhan

Ek Khand.har se uTha laaye the deevane “Ghareeb”
Aur wohee deevaan le aaya unheN fun ke qareeb

Kia “Ghareeb” ashAAr meN tere kahsish thee marhaba
Jin ko paRhkar ek Abdullaah, Nazir ban gaya

Hazrat-e “Talib” ki islaahoN ne dikhlaya kamal
Tifl-e maktab ko bana daala suKhanwar be misaal

PaaooN baRhte hi rahe ik manzil-e kamyaab tak
Ibteda-e Shairee se “Gauhar-e Shabtaab” tak

Baadshah-e fun haiN phir bhi dil meN sub ka ehtraam
Hazrat-e Nazir tumahre zarf ko mera slaam

Kaash har dilmeN yahee jazba yehi andaaz ho
Hum se barham ho nah koii ek pal naraaz ho

Ihtraame ahl-e fun ki paasdaari dekhiye
Sub ko behtar maante haiN inkesaari dekhiye

Jaante to khoob hoNge fun meN apna woh maqam
Phir bhee karte haiN woh har ahl-e suKhan ka ahteram

Hazrat-e Nazir suKhan ke mahfiloN ki shaan haiN
“Urdubandhan” ho keh “Urdustaan” sub ki jaan haiN

“Mahfile sheir.O.Sukhan” ki hai unhee se aab.o.taab
Ab “Aligarians” meN bhi aate jaate haiN janab

Chund lamhe hazrat-e Nazir Thahar jaayeN jahan
KyooN nah ban jaaye SuKhan ka ek maiKhana wahan

Hai doa meri woh qaid-e ranj se aazad hoN
Ya Ilahi woh hamesh shaad hoN aabaad hoN

Saya-e Nazir rahe sir peh hamare ai Khooda
Ho unheN “ M’Abood-e barhaq” umr-e toolaani ataa
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

waaah waaah waaah
bohat khoob
jawaid bhaaee sahib!!!!!

aap ne itnii khoobsooratii se manzoom ta,aaruuf karwaya hay hamar har dil-azeez ustad JANAB ABDULLAAH NAZIR SAHIB kaa, keh dil khush hogaya.

aap ko ye bhi malika hasil hay

waah waah
dilii daad qubool farmaiyye

khair andesh
najm
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

najma wrote:waaah waaah waaah

Bahin Najma SahibaH

Nazm ki pazeeraaii meN aap ka Khuloos shamil hai. MaiN Nazir sahab ka bahut ihtraam karta hooN. Yeh nazm jo unke interview per "based" hai mere jazbaat ki tarjumani kartee hai. Mujhe Khooshi hai aap ne apnee graNqadr daad.o.tahseen se nawaaza warna Urdu bandhan per kuch bhi bhejiye jawab kum hi aa pate haiN. MaiN koii shikwa nahiN karta magar iss Khamoshee se shayar ki himmat TooT jaati hai.

Ek baar phir aap ka shukria.

Aur haaN yeh aap Najma se Najm kaise ho gayeeN? (ha ha ha ha).

Mukhlis
Jawaid Badauni
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Jisqadar bhii shukriyah adaa karuN kam hei

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Agar maiN aapki is mehrbaani ke liye shukr adaa nah karuN tou mujh saa kamzarf insaan dunyaa bhar meiN nahiN hougaa. Kiyaa karuN 3 din se internet ke bill kii adaayagi meiN deri kii vajah se line disconnect kardi gaii thii. Jab bill kaa mablagh adaa kardiyaa gayaa tou aek aur mushkil pesh aayi ke ghar kii wiring meiN gaRbaR hougaii. Baharhaal kahaa jaataa hei "ghaayib ke paas uskaa uzr houtaa hei". Is liye maiN javaab dene meiN takheer ke liye aap se muAafi kaa khwastgaar hooN.

Aap ne tou kamal kardiyaa ke maiN apne interview maiN bhi apne mafhoom ko vazaahat ke saath nah adaa karsakaa, aap ne aek nazm meiN itne pur acar andaaz meiN bayaan kardiyaa hei.

Aapki nazm paRhtaa gayaa aur aayieenah dekhtaa rahaa ke kyaa waaqAii maiN itne khuloos aur muHabbat kaa mustaHiq hooN. DoosraoN se tou nahiN ! lekin Jawaid Badayuni Saahib se is khuloos o muHabbat kaa mustaHiq hii nahiN balke haqdaar bhii hooN. Lekin agar sau baar to kyaa hazaar baar bhii shukriya adaa karun tou bhii yehi kahnaa paRegaa:

"Haq tou yeh hei ke haq adaa nah houaa"

HaaN itnaa zaroor kehnaa chaahoongaa ke maiN aapka iHsan mand hooN.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Nazir Abdullaah, Abdullaah Nazir ho gaye

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:

-------------------------------------------------------------------------

Bhool baiThe naam ilm.o.fun meN aise kho gaye
Nazir Abdullaah, Abdullaah Nazir ho gaye

Baap se virse meN har insaaN ko mil jata hai dhan
Unko virse meN mila ilm.o.hunar, funne suKhan

Ek Khand.har se uTha laaye the deevane “Ghareeb”
Aur wohee deevaan le aaya unheN fun ke qareeb

Kia “Ghareeb” ashAAr meN tere kahsish thee marhaba
Jin ko paRhkar ek Abdullaah, Nazir ban gaya

Hazrat-e “Talib” ki islaahoN ne dikhlaya kamal
Tifl-e maktab ko bana daala suKhanwar be misaal

PaaooN baRhte hi rahe ik manzil-e kamyaab tak
Ibteda-e Shairee se “Gauhar-e Shabtaab” tak

Baadshah-e fun haiN phir bhi dil meN sub ka ehtraam
Hazrat-e Nazir tumahre zarf ko mera slaam

Kaash har dilmeN yahee jazba yehi andaaz ho
Hum se barham ho nah koii ek pal naraaz ho

Ihtraame ahl-e fun ki paasdaari dekhiye
Sub ko behtar maante haiN inkesaari dekhiye

Jaante to khoob hoNge fun meN apna woh maqam
Phir bhee karte haiN woh har ahl-e suKhan ka ahteram

Hazrat-e Nazir suKhan ke mahfiloN ki shaan haiN
“Urdubandhan” ho keh “Urdustaan” sub ki jaan haiN

“Mahfile sheir.O.Sukhan” ki hai unhee se aab.o.taab
Ab “Aligarians” meN bhi aate jaate haiN janab

Chund lamhe hazrat-e Nazir Thahar jaayeN jahan
KyooN nah ban jaaye SuKhan ka ek maiKhana wahan

Hai doa meri woh qaid-e ranj se aazad hoN
Ya Ilahi woh hamesh shaad hoN aabaad hoN

Saya-e Nazir rahe sir peh hamare ai Khooda
Ho unheN “ M’Abood-e barhaq” umr-e toolaani ataa

Jawaid bhai,

salaam.

Bohat khoob! is duniya mein bohat kam log mukhlis aur sachche hote hain, jinme se aek Ustad-e-mohtaram hain.

aapne jis khoobi se ye nazm Ustad-e-mohtaram Nazir saahib ke liye likhe hain hum aapke bohat mamnoon hain :rose .

nazm ke har shair per dil se waah! nikli hai aur aapko aek baar phir is umdah kavish per dil ki gehraiyon se daad aur mubarakbaad pesh karti hoon qubool keejiye.

sara

Bahin Sara SahibaH

Meri kahi hoii Nazm aap ko pasand aaii yeh to aap pahle bhi kah chuki thiN lekin aap ne post per reply diya iss se mujhe aur bhi achcha mahsoos hoa. Hamare urdu bandhan meN reply zara sust aate haiN. Kya karooN maiN Khood masroof rahata hooN. Lagta hai ab mujhe iss site per mazeed tawajjo dena hogee.

Nazm kee pazeeraaii ke liye mamnoon hooN. Main ne haq baat kahi hai jo aaj bhi subko bhaati hai. Aaindah bhi aapke tabsaroN ka intezar rahega. Agar foorsat mile to iss Nazm ki kitabat kar dejiyega jis ki aap mahir haiN. Koii ujlat nahiN hai jab waqt mile aapko.

Niyazmand

Apka Bhai

Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Jisqadar bhii shukriyah adaa karuN kam hei

Post by jawaid badauni »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Agar maiN aapki is mehrbaani ke liye shukr adaa nah karuN tou mujh saa kamzarf insaan dunyaa bhar meiN nahiN hougaa. Kiyaa karuN 3 din se internet ke bill kii adaayagi meiN deri kii vajah se line disconnect kardi gaii thii. Jab bill kaa mablagh adaa kardiyaa gayaa tou aek aur mushkil pesh aayi ke ghar kii wiring meiN gaRbaR hougaii. Baharhaal kahaa jaataa hei "ghaayib ke paas uskaa uzr houtaa hei". Is liye maiN javaab dene meiN takheer ke liye aap se muAafi kaa khwastgaar hooN.

Aap ne tou kamal kardiyaa ke maiN apne interview maiN bhi apne mafhoom ko vazaahat ke saath nah adaa karsakaa, aap ne aek nazm meiN itne pur acar andaaz meiN bayaan kardiyaa hei.

Aapki nazm paRhtaa gayaa aur aayieenah dekhtaa rahaa ke kyaa waaqAii maiN itne khuloos aur muHabbat kaa mustaHiq hooN. DoosraoN se tou nahiN ! lekin Jawaid Badayuni Saahib se is khuloos o muHabbat kaa mustaHiq hii nahiN balke haqdaar bhii hooN. Lekin agar sau baar to kyaa hazaar baar bhii shukriya adaa karun tou bhii yehi kahnaa paRegaa:

"Haq tou yeh hei ke haq adaa nah houaa"

HaaN itnaa zaroor kehnaa chaahoongaa ke maiN aapka iHsan mand hooN.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

Mohtarmee wa mokarramee Abdullah Nazir Sahab
Aadaab

Aapka Khat dekh kar bahut Khooshee hoii. MaiN taKheer ya kise bhi baat ki buzurgoN se shikayat nahiN karta hooN. Mujhe to Khooshee iss baat ki hai keh deegar membran ke saath aap ko bhi meri yeh adna kavish pasaNd aaii. DostoN se lekar aa.iza' tak aisa koii nahiN jis per maiN ne nazm nah kahee ho magar aap per she'r kah kar mujhe ajeeb se Khooshi mahsoos hoii.

Ehsaan ya shukriye ka sawal to tab tha agar maiN kise ghair zaroori mobaligha aaraaii se kaam leta. Main ne haq baat kahee hai jo aaj bhi sub ko pasaNd aati hai. HaN nadim hooN to sirf iss per keh shayad aap ke tamam ausaaf muKhtcar nazm meN shamil nah kar saka. MaiN amuman kalam ujlat meN kahta hooN agar koii bhi kalam ek sitting meN nah kah saka to woh hamesha ke liye rah jata hai.

Ummid hai dao.oN meN shamil rakheNge.

Ahqar,

Jawaid Badauni
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

jawaid badauni wrote:
najma wrote:waaah waaah waaah
bohat khoob
jawaid bhaaee sahib!!!!!

aap ne itnii khoobsooratii se manzoom ta,aaruuf karwaya hay hamar har dil-azeez ustad JANAB ABDULLAAH NAZIR SAHIB kaa, keh dil khush hogaya.

aap ko ye bhi malika hasil hay

waah waah
dilii daad qubool farmaiyye

khair andesh
najm

Bahin Najma SahibaH

Nazm ki pazeeraaii meN aap ka Khuloos shamil hai. MaiN Nazir sahab ka bahut ihtraam karta hooN. Yeh nazm jo unke interview per "based" hai mere jazbaat ki tarjumani kartee hai. Mujhe Khooshi hai aap ne apnee graNqadr daad.o.tahseen se nawaaza warna Urdu bandhan per kuch bhi bhejiye jawab kum hi aa pate haiN. MaiN koii shikwa nahiN karta magar iss Khamoshee se shayar ki himmat TooT jaati hai.

Ek baar phir aap ka shukria.

Aur haaN yeh aap Najma se Najm kaise ho gayeeN? (ha ha ha ha).

Mukhlis
Jawaid Badauni

jawaid bhaee sahib!

aadaab

ham jaldi meiN apna naam bhi mukammal na likh sakay.khair hamare naam ki takhtii to durust hay :grin:

aap ne bajaa farmaya. yahaaN akcar yehi dekhne ko aya hay k log doosre sho,raa ki hausla afzaee nahii kar rahy. hamare khyal meiN to apas meiN zaroor hameiN eh doosre ki hasla afzaee karni chahiyye.yaqeen kijiye keh ham apnii danist meiN zaroor esa karte haiN, lekin ba,z auqaat ham bhi jab dil-bardaashtah ho jate haiN to khaas dhiyaan naheeN dete.
acha to yehii hay k ham sirf apne hi kalam ko ehmiyyat na deN, sabhi k kalam paRheN aur un par raey bhi zaroor deN.
ummeed hay k ab esa hoga.

hameiN apka ye point bohat bhala laga

khush rahiyye

khair andesh

najma
:-)
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

janaab Jawaid saHib

salaam arz hai

Mohataram Abdullah Nazir ki nazr kiye gaye ye ash'aar hameN bahot pasand aaye
Baadshah-e fun haiN phir bhi dil meN sub ka ehtraam
Hazrat-e Nazir tumahre zarf ko mera slaam

Kaash har dilmeN yahee jazba yehi andaaz ho
Hum se barham ho nah koii ek pal naraaz ho

Ihtraame ahl-e fun ki paasdaari dekhiye
Sub ko behtar maante haiN inkesaari dekhiye

Jaante to khoob hoNge fun meN apna woh maqam
Phir bhee karte haiN woh har ahl-e suKhan ka ahteram

Chund lamhe hazrat-e Nazir Thahar jaayeN jahan
KyooN nah ban jaaye SuKhan ka ek maiKhana wahan
vaah janaab, khoob kahaa, daad qubool kijiye, be.shak aap ke ye ash'aar janaab-e-nazir ki shakhsiyyat ki saHeeH akkaasi karte haiN
Hai doa meri woh qaid-e ranj se aazad hoN
Ha Ilahi woh hamesh shaad hoN aabaad hoN

Saya-e Nazir rahe sir peh hamare ai Khooda
Ho unheN “ M’Abood-e barhaq” umr-e toolaani ataa
aameen, aur is khoobsurat khiraaj-e-teHseen-o-aqeedat per hamaari jaanib se daad aur mubarak.baad qubool kijiye

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Ibn-e-siddique wrote:janaab Jawaid saHib

salaam arz hai

Mohataram Abdullah Nazir ki nazr kiye gaye ye ash'aar hameN bahot pasand aaye
Baadshah-e fun haiN phir bhi dil meN sub ka ehtraam
Hazrat-e Nazir tumahre zarf ko mera slaam

Kaash har dilmeN yahee jazba yehi andaaz ho
Hum se barham ho nah koii ek pal naraaz ho

Ihtraame ahl-e fun ki paasdaari dekhiye
Sub ko behtar maante haiN inkesaari dekhiye

Jaante to khoob hoNge fun meN apna woh maqam
Phir bhee karte haiN woh har ahl-e suKhan ka ahteram

Chund lamhe hazrat-e Nazir Thahar jaayeN jahan
KyooN nah ban jaaye SuKhan ka ek maiKhana wahan
vaah janaab, khoob kahaa, daad qubool kijiye, be.shak aap ke ye ash'aar janaab-e-nazir ki shakhsiyyat ki saHeeH akkaasi karte haiN
Hai doa meri woh qaid-e ranj se aazad hoN
Ha Ilahi woh hamesh shaad hoN aabaad hoN

Saya-e Nazir rahe sir peh hamare ai Khooda
Ho unheN “ M’Abood-e barhaq” umr-e toolaani ataa
aameen, aur is khoobsurat khiraaj-e-teHseen-o-aqeedat per hamaari jaanib se daad aur mubarak.baad qubool kijiye

amjad

Mohtram Amjad Sahab,

Kisee deegar site per aap ne iss nazm ki pazeeraaii ki thee aur maiN aap se shukriya bhi kah chuka hooN. Haq baat sub ko achchee lagtee hai. MaiN ne iss Nazm meN kisee mubalighe se kaam nahiN liya hai. Such to yeh hai Buzurg Shayar ke bahut se ausaaf iss meN shamil hi nahiN.

Aap ki daa.o.tahsen ke liye ek baar phir bahut bahut shukriya.

Khairtalab,
Jawaid Badauni
Post Reply