guzaarish # 6
Posted: Sun Jun 19, 2005 5:41 pm
Sabki Khidmatt meN salaam-e-khloos
moHtermah Sara ji ki irshaad per Haaizir hoN
Mashallah moHteram Abdullah Nazir Saheb ne bohat hi khoobsurat " misra-e-terHah diay hai. bohat dilnasheeN hai.
aik naacheez si adna koshish Haazir hai, gar qabul aftadd...
waqt Haa'il hai dermiyaaN yaaro!
"tum kehaN aur meN kehaaN yaaro!"
dil kee Haalat bayaan kerne ko
saath deti nahiN azbaaN yaaro
mauj mastee k din ga'e ab tau
dil meN reht'e heN gham nehaaN yaaro
aisee be-gaanagee ki surat hai
khud kaa miltaa nahiN nishaaN yaaro
weHshat-e-dil thakan musaafat ki
mere lehje se hai AyaaN yaaro
kuch kahe koee de mujhe aawaaz
yuN nah lo aur imteHaaN yaaro
le ga'ee umr saare suud meray
haath meN reh ga'e ziyaaN yaaro
aa k peeri meN yeh huaa idraak
ikk khudaa ki hai bas amaaN yaaro
aapni raaey se zaroor mutle fermaaiaye gaa
intezaar rahe gaa
wassalam