salaam dosto,
maiN ne yeh geet do ek saal qabl qalam_band kiyaa thaa aur ise URDUSTAN par chaspaaN bhii kiyaa thaa...aaj Maaham saaHiba kii nazm dekhii to yaad aayaa ki ek geet maiN ne bhii likhaa thaa, sochaa aap sabke saath share kar luN. to, mulaaHizah farmaaiye:
shaadii kii machii haii dhoom, Khushii is roz luTaaii jaatii hai
seenoN se saraasar ranj_o_alam kii baat bhulaaii jaatii hai
poshaak-e-'uroosii pahnaa kar, har rang ke phooloN ko laa kar
KhushiyoN ke taraane gaa gaa kar, dulhan bhii sajaaii jaatii hai
kaliyoN ko chaman se chun chun karsahre ko banaayaa jaataa hai
zulfoN ko saNwaaraa jaataa hai, mehndii bhii lagaaii jaatii hai
gulshan ne bhii apnii rang o mahek ruKh_saar-e-HasiiN par Daalii hai
surKhii ko churaa kar phooloN se hoNToN ko pilaaii jaatii hai
armaan_o_Khushii aur 'aish_o_tarab ke meeThe taraane gaa gaa kar
mastaana_adaa tarzeN dil kii veena se sunaaii jaatii hai
tum shaad raho, Khush_haal raho; duulhaa_dulhan!
"Sai'hbaa_Jii!" du'aa ko meHfil meN is tarHa sunaaii jaatii hai
dulhan...shaadii ka ek geet...meri ek adnaa sii koshish
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
-
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact: