Page 1 of 1

Gar ye sanjog hamara hota___ghazal

Posted: Mon Jul 18, 2005 10:48 pm
by Anmol
Adaab!

Aik naya kalaam le kar hazir hui huN. Ye ghazal do teen maah se likhi hui thi, socha aaj post kar hi dooN. Umeed hay aap sab ko pasand aayegi.

Image

Ghazal

1. Gar ye sanjog hamara hota
Kya zamane ko gawara hota

2. Chaandni raat me hum tum hote
Aur samandar ka kinara hota

3. YaaN maiN jaane ka irada karti
WaaN woh rukne ka ishaara hota

4. Sari dunya ko bhula dete hum
Bus woh ik shaks hamara hota

5. Zindagi bhar woh taRapta rehta
Jo tirey hijr ka maara hota

7. Kash tum dair na karte itni
Hum ne jeevan bhi na haara hota

8. hum k dunya me to barbaad hue
Akhirat ko hi sanwara hota

:Anmol:

Posted: Tue Jul 19, 2005 5:41 am
by Handsome
WOW zaberdast

Posted: Tue Jul 19, 2005 5:59 am
by zmufti
anmol jee
aadaab
very nice
thanks for sharing
zmufti

Posted: Tue Jul 19, 2005 6:57 am
by Tiger
saari dunya ko bhuladete hum
bus wo aik shakhs hamara hota
bahut khubsurat ghazal ka bahut khubsurat share.... or tumharee ghazal tu kya hee ghazal hai

tumhare share k jawab main aik share hazir hai.


saari dunya ko bhula beThe tum
warna har shakhs tumhara hota

Posted: Tue Jul 19, 2005 11:36 am
by Mahtab Qadr
Anmol sahiba bahut khoobsurat ghazal pesh ki aane , Mubarakbaad :)
shukria
Mahtab Qadr

Posted: Sun Jul 24, 2005 9:12 am
by Anmol
Handsome wrote:WOW zaberdast
Wow thanks. :grin: Aap ki besaakhta daad bohot pasand aayi. Actually i should say, baRi handsome daad thi. :wink:

Posted: Sun Jul 24, 2005 9:14 am
by Anmol
zmufti wrote:anmol jee
aadaab
very nice
thanks for sharing
zmufti
Adaab Zarqa ji,

Bophot shukria pazeerayi ka. :grin:

Posted: Sun Jul 24, 2005 9:16 am
by Anmol
Tiger wrote:
saari dunya ko bhuladete hum
bus wo aik shakhs hamara hota
bahut khubsurat ghazal ka bahut khubsurat share.... or tumharee ghazal tu kya hee ghazal hai

tumhare share k jawab main aik share hazir hai.


saari dunya ko bhula beThe tum
warna har shakhs tumhara hota
:-) Thanks Tiger. Tumhari daad se khushi hui.

Posted: Sun Jul 24, 2005 9:17 am
by Anmol
Mahtab Qadr wrote:Anmol sahiba bahut khoobsurat ghazal pesh ki aane , Mubarakbaad :)
shukria
Mahtab Qadr
ThanQ Sir,

Aap ki shabbash paa kar achha laga. :grin:

Re: Gar ye sanjog hamara hota___ghazal

Posted: Sun Jul 24, 2005 4:04 pm
by Amoodi
Anmol wrote:Adaab!

Aik naya kalaam le kar hazir hui huN. Ye ghazal do teen maah se likhi hui thi, socha aaj post kar hi dooN. Umeed hay aap sab ko pasand aayegi.

Image

Ghazal

1. Gar ye sanjog hamara hota
Kya zamane ko gawara hota

2. Chaandni raat me hum tum hote
Aur samandar ka kinara hota

3. YaaN maiN jaane ka irada karti
WaaN woh rukne ka ishaara hota

4. Sari dunya ko bhula dete hum
Bus woh ik shaks hamara hota

5. Zindagi bhar woh taRapta rehta
Jo tirey hijr ka maara hota

7. Kash tum dair na karte itni
Hum ne jeevan bhi na haara hota

8. hum k dunya me to barbaad hue
Akhirat ko hi sanwara hota

:Anmol:
Woh fantastic :grin:

Re: Gar ye sanjog hamara hota___ghazal

Posted: Sun Jul 24, 2005 9:43 pm
by Anmol
sara_j wrote:
Dear anmol,

salaam.

bohat din baad tumhara kalaam parh ker bohat khushi hui,

hamesha ki tarah bohat ache ashaar likhi ho, aur bhi intezar rahega.
zor e qalam aur ziyada.

sara.
ThanQ so much Sara dear. Khush raho. Tumhari raaye se hamesha hosla'afzayi hoti hay. :grin:

Re: Gar ye sanjog hamara hota___ghazal

Posted: Sun Jul 24, 2005 9:44 pm
by Anmol
Amoodi wrote:Woh fantastic :grin:
Bohot shukria Amoodi Bhayya,

Achha laga k tum ne meri ghazal paRhi aur pasand ki. :-)