Jashn-e-Bahar
Posted: Sun Jul 24, 2005 5:02 am
Tasleemat
Hazreen-e-Mehfil
Aik aour taza ghazal Pesh-e-khidmat he
Steve Almas
Hazreen-e-Mehfil
Aik aour taza ghazal Pesh-e-khidmat he
Steve Almas
Mohtaramalmas ji aap ka nam too main pehlay kai jaga daikh chuka hoon lakin aap ki takhliqat paRhnay ka ittifaq nahi howa tha. ( mayri bad naseebi ) . aik doo jaga aap nay kuch ghalitiyan ki hain un par nazar Dal lijay ga.
1) panah koo yahan alaf kay sath bandhna ghalt hay. ya lafz yoon likha jay ga "pnah" na ka "panaah" agar mayra kaha wazih na hoo sakay too ya mayra nahi roman urdu ka qasoor hoo ga . mazirat kay main roman urdu main apna muddaa biyan karnay say qasir hoon. nazar sahib wazih kar dain gay. is kay ilawa dewar ka wazn ghalt hay.
majmooi toor par ghazal pasand aai. dad qabool farmain
Mohtram Zia SaahibAlmas SaaHib, aadaab
bahut Khoob janaab ! ham maahir to nahiN k tanqeedi pehloN pe nazar rakkheN ! albatta aap ki Ghazal bahut pasand aayee ! daad qabool kejeye!
shukriya
moKhliS : Zia Baloch
Sara JiAlmas ji,
adaab arz hai.
waah kya ghazal kahi aapne paRhker bohat lutfandoz hui. khaas kar shair # 1, 2, 4, aur maqta tou lajawaab hai.
dhair saari daad qubool keejiye.
sara