Page 1 of 3

Harf-e-"HE" [Halve waalii HE] se ash'aar likhiiye.

Posted: Sun Jul 24, 2005 5:11 am
by Hashmat Usmani
salaam dosto,

Harf-e-"HE" [Halve waalii HE] se ash'aar likhiiye...shukria.
pahla she'r hai:


Haadise kia kia tumhaarii be_ruKhii se ho gaye
saarii duniyaa ke liye ham ajnabii se ho gaye


SaaGhar Nizaamii

Posted: Sun Jul 24, 2005 1:59 pm
by RAUSHNEE
hawadas say uljh ker muskurana meri fitrat hai
nakamiyon pe ashk bahana mujhe nahi ata


mein jhoot bool rahi hon

"Hai"

Posted: Sun Jul 24, 2005 3:16 pm
by Abdullah Nazir



Hijaab meiN bhii wo rekhakr nah chup sakaa mujh se

Junoon-e-shauq ne dii thii mujhe nazar aisi



Nazir.


Posted: Tue Jul 26, 2005 2:47 am
by Hashmat Usmani
Haal uskaa tere chehre pe likhaa lagtaa hai
vo chup_chaap khaRaa hai, teraa kia lagtaa hai


Shahzaad AHmad

Posted: Tue Jul 26, 2005 3:23 am
by Hashmat Usmani
Haal-e-dil maiN ne jo duniyaa ko sunaanaa chaahaa
mujh ko har shaKhs ne dil apnaa dikhaanaa chaahaa


Karraar Noorii

Posted: Tue Jul 26, 2005 4:35 pm
by PK Swami
Husn se baRh kar koi sabr aazmaa hotaa naheeN
vaada.e fardaa qayaamat tak vafaa hotaa naheeN

zarra kaHlayegaa zarra, laakh chamke misle meHr
but rahegaa but, parastish se khudaa hotaa naheeN

PK Swami

Posted: Wed Jul 27, 2005 1:57 am
by Hashmat Usmani
HairaaN! huuN dil ko rouuN k piituuN jigar ko maiN
maqduur ho to saath rakhuuN nauHa_gar ko maiN


Mirza Asadullah KhaaN "Ghaalib"

Posted: Wed Jul 27, 2005 5:51 am
by Hashmat Usmani
Hairat se tak rahaa hai jahaan-e-vafaa mujhe
tum ne banaa diyaa hai moHabbat meN kia mujhe


SaaGhar Nizaamii

Posted: Thu Jul 28, 2005 6:31 pm
by Hashmat Usmani
Haq vafaa kaa jo ham jataane lage
aap kuchh kah ke muskuraane lage


Altaaf Husain "Haalii"

"Hai"

Posted: Fri Jul 29, 2005 4:23 am
by Abdullah Nazir



Hareef-e-ishq rahi bekali zamane kii

MaiN tum se kaih nah sakaa dil kii baat bhii kulkar.



Nazir.


Posted: Fri Jul 29, 2005 6:03 am
by Hashmat Usmani
Hasrat hai tujhe saamne baiThe kabhii dekhuuN
maiN tujh se muKhaatib huuN, teraa Haal bhii puuchhuuN


Kishwar Naaheed

Posted: Sun Jul 31, 2005 5:58 am
by Hashmat Usmani
Husn-e-be_parvaah ko Khud_biin_o_Khud_aaraa kar diyaa
kia kiyaa maiN ne k izhaar-e-tamannaa kar diyaa


Hasrat Moohaanii

"Hai" se

Posted: Mon Aug 01, 2005 4:05 pm
by Abdullah Nazir



Hasrat-e-vaSl meiN jab raat guzar jaati hei

bewafaa teri sharaarat mujhe yaad aati hei.




Nazir.


Posted: Wed Aug 03, 2005 8:21 pm
by zmufti
hasad se dil agar afsurda hai garm-e-tamasha ho
keh chashm-e-tang shayad kacrat-e-nazara se wa ho

Posted: Fri Aug 05, 2005 8:16 am
by zmufti
hayat shola mizaj-o-ghayur-o-shor angaiz
sarisht is ki hai mushkil kashi jafa talabi