Aek taazah TaraHi Ghazal.... Abdullah Nazir

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Aek taazah TaraHi Ghazal.... Abdullah Nazir

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur Ahbaab-e-sukhan,

Purkhuloos Tasleemaat,

Mirza Ghalib kaa miSraA baTaur-e-TaraH diyaa gayaa thaa:
("gharra-e-auj-e-binaay-e-Aalam-e-imkaaN nah hou")

Is per apni TaraHi ghazal pesh karrahaa hooN:

GHAZAL Roman meiN:

1- dil agar mustaghniy-e-fikr-e-gham-e-dauraaN nah hou
raah-e-ulfat meiN kisi Soorat safar aasaaN nah hou

2- gharq-e-amvaaj-e-balaa houne ko hei kashti miri
naakhudaa kab tak bhalaa andeshay-e-ToofaaN nah hou

3- fikr o fan ke qadrdaaN dunyaa meiN ab kamyaab heiN
tar nah hou khoon-e-jigar se, deeda-e-giryaaN nah hou

4- MaSliHat beeni se gar aankhaoN pah pardah paR gayaa
meri Haq'goyii pah tuu bahr-e-khudaa HairaaN nah hou

5- souchkar rakh her qadam anjaam-e-hasti kii Taraf
"gharra-e-auj-e-binaay'e-Aalam-e-imkaaN nah hou"

6- YooN hii gar jaari rahe mujh per tiraa luTf o karam
khaana-e-dil umr bhar aiy jaan-e-jaaN veeraaN nah hou

7- Hougaie Aadat sii isko naala-e-shabgeer kii
ghair mumkin hei ke Nazir ko gham-e-hijraaN nah hou
======

Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navazkar mujhe shukriya adaa karne kaa mauqaA denge.
Note: Mujh se aek sawaal poochaa gayaa hei: "yaaye faailii yaa mafAooli aur maSdarii (ye) meiN kyaa farq houtaa hei. Qillat-e-ilm aur waqt kii kami ke baa'Aic maiN javaab dene se qaaSir hooN. Ummeed ke is forum per aane waale asaatizah tashreeH farmaakar meri madad farmaayenge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Attachments
a_na_trial_3_f.JPG
a_na_trial_3_f.JPG (105.11 KiB) Viewed 265 times
Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Aek taazah TaraHi Ghazal.... Abdullah Nazir

Post by jawaid badauni »

Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab, Aadaab

Kis qadar teRhee kheer thee jo aap ne isqadar khubsurati se pakaai hai. UstadoN ki zameen meN asaatizah hi kuch kah sakte haiN. Hum se to shayad iss zameen men ek she'r bhi dhang na ho paaye.

Meri janib se daad.O.tahseen aur dili mubarkbaad qubool farmaiye.

Ahqar
Jawaid Badauni



1- dil agar mustaghniy-e-fikr-e-gham-e-dauraaN nah hou
raah-e-ulfat meiN kisi Soorat safar aasaaN nah hou

Khalic ghazal ka nihayat umdah she'r hai. Bahoot Khub.

2- gharq-e-amvaaj-e-balaa houne ko hei kashti miri
naakhudaa kab tak bhalaa andeshay-e-ToofaaN nah hou

"Gharq-e amvaaje-balaa" bahut pasaNd aaya. Chacha
Ghalib ki zameen hai to zahir hai zubaan bhi unn jaisee hi
istaimaal karna hogee.


3- fikr o fan ke qadrdaaN dunyaa meiN ab kamyaab heiN
tar nah hou khoon-e-jigar se, deeda-e-giryaaN nah hou

Misra-e oolah ek talKh haqeeqat hai janab.

4- MaSliHat beeni se gar aankhaoN pah pardah paR gayaa
meri Haq'goyii pah tuu bahr-e-khudaa HairaaN nah hou

"Maslihat beeni" ka jawab nahiN. Bahut haseen she'r hai.

5- souchkar rakh her qadam anjaam-e-hasti kii Taraf
"gharra-e-auj-e-binaay'e-Aalam-e-imkaaN nah hou"

Bahut haseen tazmeen farmaai hai Nazir Sahab aap ne.

6- YooN hii gar jaari rahe mujh per tiraa luTf o karam
khaana-e-dil umr bhar aiy jaan-e-jaaN veeraaN nah hou

Jazba-e taghazzul se bharpoor she'r hai. SubHaan Allah.

7- Hougaie Aadat sii isko naala-e-shabgeer kii
ghair mumkin hei ke Nazir ko gham-e-hijraaN nah hou

"Naala-e-shabgeer", kya kahna. KahaN se laate haiN yeh alfaz
Nazir Sahab hameN bhi bataa deejiye inn alfaz tak pahooNchne meN
hameN kitne saal aur lageNge. Maqta' bahut pasaNd aaya.
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Post by Mahtab Qadr »

Abdullah Bhai salam e masnoon

Mashallah aapki ye Ghalib ki zameen mai ghazal pasand ai. khas taur par mandarja zail ashaar bahut achay lagay. shukra aur daad qubool farmaiN.
shukria
Mahtab Qadr
dil agar mustaghniy-e-fikr-e-gham-e-dauraaN nah hou
raah-e-ulfat meiN kisi Soorat safar aasaaN nah hou

fikr o fan ke qadrdaaN dunyaa meiN ab kamyaab heiN
tar nah hou khoon-e-jigar se, deeda-e-giryaaN nah hou

MaSliHat beeni se gar aankhaoN pah pardah paR gayaa
meri Haq'goyii pah tuu bahr-e-khudaa HairaaN nah hou
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtarami A.Nazir SaaHib, aadaab :)

waah janaab kyaa hi baat hai . Ghalib ki zameen maiN itne KhoobSoorat phool waah jee waah ! maan gaye janaab ! itnee mushkil zameen maiN aise Ghazal nikaalnaa aap hi ka KhaaSSa hai ! bahut Khoob
DheroN daad qabool kejeye ! shukriya

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
poet
nau-waarid
Posts: 23
Joined: Wed Jun 15, 2005 5:51 pm

Post by poet »

nazar sahib dad kay sath hazir hain. wagarna man aanam ka man daman. ham is qabil too nahi ka aisi ustadana ghazal par bharpoor dad day sakain.
ghair mumkin hay ka "shair" koo gham a hijraN na hoo.
tasruf kay lay mazirat kha.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriya

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badayuni Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Kiyunkeh mubaalighah bhii aek juzw-e-adab hei, mujhe aapka mandarja-e-zeil tabsirah achchaa lagaa:

Mohtarmee Abdullah Nazir Sahab, Aadaab

Kis qadar teRhee kheer thee jo aap ne isqadar khubsurati se pakaai hai. UstadoN ki zameen meN asaatizah hi kuch kah sakte haiN. Hum se to shayad iss zameen men ek she'r bhi dhang na ho paaye.

Meri janib se daad.O.tahseen aur dili mubarkbaad qubool farmaiye.

Ahqar
Jawaid Badauni


1- dil agar mustaghniy-e-fikr-e-gham-e-dauraaN nah hou
raah-e-ulfat meiN kisi Soorat safar aasaaN nah hou

Khalic ghazal ka nihayat umdah she'r hai. Bahoot Khub.

2- gharq-e-amvaaj-e-balaa houne ko hei kashti miri
naakhudaa kab tak bhalaa andeshay-e-ToofaaN nah hou

"Gharq-e amvaaje-balaa" bahut pasaNd aaya. Chacha
Ghalib ki zameen hai to zahir hai zubaan bhi unn jaisee hi
istaimaal karna hogee.

3- fikr o fan ke qadrdaaN dunyaa meiN ab kamyaab heiN
tar nah hou khoon-e-jigar se, deeda-e-giryaaN nah hou

Misra-e oolah ek talKh haqeeqat hai janab.

4- MaSliHat beeni se gar aankhaoN pah pardah paR gayaa
meri Haq'goyii pah tuu bahr-e-khudaa HairaaN nah hou

"Maslihat beeni" ka jawab nahiN. Bahut haseen she'r hai.

5- souchkar rakh her qadam anjaam-e-hasti kii Taraf
"gharra-e-auj-e-binaay'e-Aalam-e-imkaaN nah hou"

Bahut haseen tazmeen farmaai hai Nazir Sahab aap ne.

6- YooN hii gar jaari rahe mujh per tiraa luTf o karam
khaana-e-dil umr bhar aiy jaan-e-jaaN veeraaN nah hou

Jazba-e taghazzul se bharpoor she'r hai. SubHaan Allah.

7- Hougaie Aadat sii isko naala-e-shabgeer kii
ghair mumkin hei ke Nazir ko gham-e-hijraaN nah hou

"Naala-e-shabgeer", kya kahna. KahaN se laate haiN yeh alfaz
Nazir Sahab hameN bhi bataa deejiye inn alfaz tak pahooNchne meN
hameN kitne saal aur lageNge. Maqta' bahut pasaNd aaya


Aapki dilkash tabsirah nigaari aur Hauslah afzaayi ke aage meri shamA-e-ghazal bujhi bujhi sii lagti hei.

MaiN aapka tah-e-dil se shukriyah adaa kartaa hooN aur javaab dene meiN takheer ke liye muAafii bhii chaahtaa hooN. Ummeed ke aap is qism kii takheer se manoos bhii hougaye hounge.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

moHtaramii wa mukarramii,

salaam-e-masnoon,

aapkii yeh Ghazal bhii hamesha kii taraH be_Had masHoor_kun hai...paRh kar ham bahot lutf_andoz huye. Ghaalib kii zameen meN Ghazal kahna kaar-e-aasaaN to nahiiN magar aapne iskaa Haq adaa kar diyaa aur yehii vajah hai ki ustaad ustaad hote haiN aur chele chele...:-) Ghaalib kii taraH aapne bhii izaafat ka bahtareen iste'maal kiyaa hai. bahot Khoob.

is naa_ahl kii daad qubool farmaaiye. share karne ke liye shukria az Had.

Hashmat
Image
Post Reply