Aek maAmooli sii Ghazal Abdullah Nazir.

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Aek maAmooli sii Ghazal Abdullah Nazir.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-meHfil aur aHbab-e-sukhan

Purkhuloos Tasleemaat, :rose


Apni aek taazah seedhi saadah ghazal pesh karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar khaaksar ko shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

G H A Z A L roman meiN.

1- Kaifiyyat-e-dil jaanaaN, tum ne nahiN pehchaani
Hulchal hei samundar meiN, her mauj hei Toofaani
2- Dunyaay-e-muHabbat meiN, kis baat kii Hairaani
Tum ko bhii pareshaani, mujhko bhii pareshaani
3- Mastoor hii rehne de, aiy dasht kii veeraani
Izhaar-e-haqeeqat se, houti hei pashemaani
4- lafzaoN meiN bayaaN kyaa hou, paighaam-e-wafaa us kaa
jou kal bhii thaa laacaani, aur aaj bhii laacaani
5- manzil tou hameshah hei, Thoukar meiN musaafir kii
phir gard-e-safar kaisi, aur kaisi tan-aasaani
6- ik shoAbadah-gar ko maiN, kiyuN apnaa samajh baiThaa
afsous ke mujh se bhii, sarzad houie naadaani
7- ik junbish-e-abroo per, qurbaan maiN houjaataa
kab tujh ko yaqeeN aayaa, kab baat miri maani
8- hei Tarz-e-wafaadaari, yaa Husn-e-taAalluq hei
aate hii tire dar per, jhuk jaati hei paishaani
9- ik aayienah-khaane meiN, sao rang kii shakleN heiN
dunyaa tire mele meiN, khalqat houie deewaani
10- Nazir se nah karnaa tum, waAdah kabhi milne kaa
insaaN kaa bharousa kiyaa, insaan tou hei faani
=====



Aapka Mukhlis,
Nazir.

Attachments
a_na_trial_7_f.JPG
a_na_trial_7_f.JPG (96.8 KiB) Viewed 178 times
Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarram-e-bandah Naz^ir SaaHeb: aadaab!

aap kee yeh "ma'moolee" Ghazal naz^ar-nawaaz huyee! agar yeh aap kaa :ma'moolee: kalaam hai to ph`ir a'laa darjeh kaa kis ko kehte haiN? :-)

Ghazal kaa andaaz Khoob hai. Khayaal, bayaan, bandish sab hee u'mdah haiN aur aap kee puKhtah-mashqee ke aa,eenah-daar haiN. meree daad qubool keejiYe.

aaj kal :Taar-e-Anfaas-e-Ghazal: zer-e-mut^aali,a'h hai! lut^f aa rahaa hai!

Sarwar A. Raz "SArwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
PK Swami
-
-
Posts: 102
Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
Location: Delhi
Contact:

Post by PK Swami »

Respected Nazir Saheb
aadaab.

kai dinoN baad aanaa huaa. aap kee ghazal paRh kar bohat hee achhaa lagaa. bohat hee dilkash ghazal banee hai. mubaarakbaad haazir hai. sabhee ashaar behatareen haiN.

1- Kaifiyyat-e-dil jaanaaN, tum ne nahiN pehchaani
Hulchal hei samundar meiN, her mauj hei Toofaani

2- Dunyaay-e-muHabbat meiN, kis baat kii Hairaani
Tum ko bhii pareshaani, mujhko bhii pareshaani

3- Mastoor hii rehne de, aiy dasht kii veeraani
Izhaar-e-haqeeqat se, houti hei pashemaani

4- lafzaoN meiN bayaaN kyaa hou, paighaam-e-wafaa us kaa
jou kal bhii thaa laacaani, aur aaj bhii laacaani

5- manzil tou hameshah hei, Thoukar meiN musaafir kii
phir gard-e-safar kaisi, aur kaisi tan-aasaani

6- ik shoAbadah-gar ko maiN, kiyuN apnaa samajh baiThaa
afsous ke mujh se bhii, sarzad houie naadaani

7- ik junbish-e-abroo per, qurbaan maiN houjaataa
kab tujh ko yaqeeN aayaa, kab baat miri maani

kyaa baat hai! waaH !

8- hei Tarz-e-wafaadaari, yaa Husn-e-taAalluq hei
aate hii tire dar per, jhuk jaati hei paishaani

waah waah ! andaaz.e bayaaN kyaa khoob hai!

9- ik aayienah-khaane meiN, sao rang kii shakleN heiN
dunyaa tire mele meiN, khalqat houie deewaani

10- Nazir se nah karnaa tum, waAdah kabhi milne kaa
insaaN kaa bharousa kiyaa, insaan tou hei faani

regards.
P K Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Post by Anmol »

Waah waah waah...........bohot hi zabrdast ghazal irshaad farmayi aap ne, Nazir Sahib.
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
Post Reply