:: nahiN bahaar to kyaa , gul ki justjoo to kareN ! ::
Posted: Fri Aug 12, 2005 8:45 am
Yaaraan-e-meHfil, aadaab arz hai !
aek t^aveel muddat k baa'd aap ki Khidmat maiN aek taaza Ghazal k saath Haazir hoN ! . ummed hai k asaatiza rahnumaayee farmaayeNge !
1.
nahiN bahaar to kyaa , gul ki justjoo to kareN
bahut udaas hai dil, koi guftgoo to kareN !
2.
dayaar-e-i'shq maiN raushan koi chiraaGh to ho
tu koi Gher sahii , teri aarzoo to kareN
3.
kabhii kabhii to Z^aroorii hai dil ka KhooN rona
ba-qadr-e-z^arf-e-jigar , sharH-e-raNg-o-boo to kareN !
4.
Sadaa-e-dil to falak se bhi aage jaatii hai
koi sune na sune , aap haao hoo to kareN !
5.
bahaar doR k aayegi dil k SiHraa maiN
chaman chaman si umaNgoN ki guftgoo to kareN !
agle do ash'aar baaham marboot^ haiN !
6.
sunaa hai dasht-e-GhazaalaaN se koi aayaa hai
isee bahaane chalo, zikr-e-maah-roo to kareN !
7.
bujhee bujhee si nigaahoN ki baat ho to sahii
KhizaaN KhizaaN si moHabbat ki guftgoo to kareN !
8.
hazaaroN raaz moHabbat k faash hojaayeN !
hamaare Gham ki jahaaN waale justjoo to kareN !
9.
Gham-e-Hayaat na jal jaaye gar to maiN jaanoN !
Gham-e-junooN ko kabhii , us k roo-baroo to kareN !
10.
hamaari tishna-labii , SubH tak miTe na miTe
sharaab-e-Husn se pur , i'shq ka saboo to kareN !
11.
ye daaGh daaGh jabeeN dhul k noor barsaaye !
janaab-e-shaiKh mire ashk se waZ^oo to kareN !
aur ab maqt^a'
12.
ye aur baat Zia koi gul khile na khile !
ham apne qalb-o-jigar ko lahoo lahoo to kareN !
................................................................................
jo comments de us ka bhi bhalaa , jo na de us ka bhi bhalaa !
shukriya !
moKhliS : Zia Baloch