:: aye wat^an ( jashn-e-aazaadi k Hawaale se aek nazm ) ::

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: aye wat^an ( jashn-e-aazaadi k Hawaale se aek nazm ) ::

Post by Star Mind »

Yaaran-e-meHfil , aadaab !

aaj 14 August ki taareeKh hai aur wat^an-e-a'zeez ki aazaadi ka din hai !
is Hawaale se chaNd lamHoN pehle aek moKhtaSar si nazm hogayee ! aap k saath share kar rahaa hoN ! :D HaalaaNke abhi tak meeri aek Ghazal aur aek nazm abhi tak aap k tabSoroN k t^alab gaar haiN :twisted:

to lejeye Nazm Haazir hai !

aye wat^an jashn manaaoNga na aazaadii kaa !
k tu aazaad nahiN meri naz^ar maiN ab tak !

youN to qurbaan dil-o-jaan mire tujh pe magar
maiN hoN ma'zoor koii geet sunaane se tujhe !
zaKhm haiN taaza tire chaahne waaloN k abhi
phool murjhaaye howe haiN tire gulzaaroN key
teri galyoN maiN ajal naach rahaa hai aise
jaise sooraj ki kiran uThti hoii lehroN par
Khoon se laal tiree paak zameeN hai aise
jaise gulshan maiN gulaaboN k damakte ruKhsaar !

chaahne waale tire kab k gaye dunyaa se
ab tiraa koi nahiN , koi nahiN , koi nahiN !
ab to tere hi nigahbaan tire dushman haiN !
saath laate haiN luTeroN ko kabhii baahar se
kabhi Khud hi tujhe neelaam keye dete haiN !
maiN tujhe kaise bataaoN k mire paak wat^an
ab tiraa koi nahiN , koi nahiN , koi nahiN !

haaN mire paak wat^an geet maiN gaaoN kaise
k tu aazaad nahiN meri naz^ar maiN abtak ! :cry: :cry:


...........................................................................

shukriya

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

sara_j wrote:waah zia sahib,

bohat khoob. sach kaha azad hokar bhi aaj azad nahi!

lekin apni azadi phir bhi hum manayenge sahib :-)

bohat ache se aapne jazbat ko qalamband kiye hain.

shukriya.

mukhlis

sara
Sara SaaHiba, aadaab

aap ko meeri ye nazm bahut pasand aaye jis keleye maiN aap ka tah-e-dil se mamnoon hoN ! ye sirf mere nahiN tamaam ahl-e-watan ki aawaaz hai !

aap zaroor manaaye , laken ham nahiN manaayeNge ! tab tak , jab tak SaHeeH ma'znoN maiN mera wat^an aazaad nahiN hotaaa ! kyoN ke

woh intezaar thaa jis ka ye woh saHar to nahiN !

ba-har Haal , nehaayat mamnoon hoN k aap ko meri ye kaavish itnee pasand aayee ! shukriya

moKhliS : Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
Post Reply